darad badh ker khud dawa hojaye to hum kea keren
wo bhi hum se khafa hojaye to hum kea kerein
hum zaban se to kuch kahein to app ka shikwa baja
koi aanso lab kosha hojaye to hum kea kerein
apni janib sey to ki hum ney humesha ehteyat
phir bhi bholey sey khata hojaye to hum kea kerein
hum saza k mustahik hotey to koi gam na tha
be khata hukum-e-saza hojaye to hum kea kerein
mazrt kerney ko to hum ker lein mager kis juram ki
be-sabab wo khafa hojaein to hum kea kerein