Age: 124
7838 days old here
Total Posts: 56416
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
which kind of friend u want to need
Jo aap ko zaheen bana day
maaloomaat barha day.
Chhor kar na jaaye
naata torr kar na jaaye.
Aap ko bore na karay
aap ki tanhai mein shor na karay.
Aap ko dhoka na day
shikaayat ka moqa na day.
Bay jaa taareef na karay
aap ka mazaaq na uraaye
Aap ka maal na churaaye
aap say kuchh na chhupaaye
aap ka raaz na bataaye
Aap kay saath rahay
kaheen na jaaye
Jab pukaara fauran aa jaaye
Jo aap ko maaloom woh us ko maaloom
jo us ko maaloom woh aap ko maaloom. Naadaano ko irfan day
bay zabaano ko bayaan day
Murdo kay haalaat bataaye
zindo ko raah dikhaaye.
Har mushkil ka hull bata day aur seedhi raah dikha day.
Woh to kab say aap say dosti kayliay bay chain hai. Aap dosti kayliay tayyaar hein? To phir uthiay, aur aaj hi us say dosti kar lein.
Naam pata maaloom hai? Masjid ki kisi almaari mein para hoga, ghar kay kisi taaq par rakha hoga.
Us ka naam Qur'an hai. Yeh tamaam khoobiyaan Qur'an mein hein. Aaj hi usay dost bana lein. Yaad rahay woh apni baat manwaanay ki shart zaroor lagaata hai. Aap us ki baat maanein, woh aap ko kaamyaab kar dayga.
Age: 124
7548 days old here
Total Posts: 9535
Points: 0
Location:
United States, United States
ALI aur ZAFAR ki kahani not Ali Zafar (the singer)
Ali or Zafar bohat achey dost they.In ki dosti college ke pehley din se thi yeh en ka second samester saath tha. Ek din college ke baad Ali or Zafar nein net cafe jane ka program banaya. Ali ko zayada net ke bare mein nahin pata tha, lekin phir bhi woh Zafar ke saath net cafe chal diya. Cafe pohnch ker Zafar nein Ali ki ek e-mail id banaye aur ussay bataya ke mails check or send aur chat kasey kertey hain. Ali ke net pe zayada dost nahin they.. es ko e-mails sirf es ke college ke friends ki taraf se ati thein.. ek din phir jabh woh dono net cafe aye to apni id login ker ke Ali chat rooms mein chala gaya.. wahaan ek Farah naam ki larki nein es ki id click ker ke es se baatein kerna shuru ho gayi.. us nein es se es ka asl aur naam wagira poocha Ali nein bhi es se poocha to us nein apna naam Farah bataya aur es nein Ali aur itefaaqan woh dono ek hi shaher se they. Esi tarha baatein kertey kertey en mein dosti ho gayi.. aur ek dusre ke batye huey time ke mutabiq yeh dono net pe a jatey. Pehley Pehley to bus haal chal ki batein hoti thein phir baad mein yeh dono openly ek dusre se apni baatein share kerne lagey. Ali bhi bohat khush tha ke es ko Farah jasii itni achi dost mil gayi.
Phir kafi dinnon baad Zafar aur Ali phir se college ke baad net cafe gaye. Ali nein jabh apni id login ki to dekha Farah bhi online thi. woh behadh khush ho gaya. Phir salam dua aur idher udher ki batein ker ke achanak Ali nein poocha " Farah tum kahan se baat ker rahi ho" to Farah nein bataya ke Net Cafe se. to phir Ali nein heraan hoker poocha kon se net cafe se, to phir Farah nein net cafe ka naam bataya. Abh Ali ki khushi ki koi intehaa nahin thi kyun ke us nein usi net cafe ka naam bataya tha jis mein Ali bhi tha. phir Ali nein poocha " Farah tum nein kiss color ke kapre pehein hain" to woh boli "pink color ke" Achanak Ali nein dekha es ke saath wala cabin khali tha per us ke saath waley cabin mein ek larki bheti thi aur usnein Pink color ke kapre pehne they. Ali utth ker us ke paas gaya aur shor macha ker poochne laga ,.. "tum Farah hona, tum Farah hona" per woh larki boli " aap ko ghalat fehmi hui hai mera naam Farah nahin Sadia hai". Ali mayoosi se wapis a ker apne cabin mein bhet gaya to Farah ka message aya ke "Ali mein tumhare saath waley ke saath waley cabin mein nahin samney waley cabin mein bheti hoon" Ali nein thora sa side pe ho ker samney waley cabin mein dekhna chaha to Zafar apna ser samey waley cabin se nikal ker haath hilatey hue bola " kasi lagi Farah?"
Age: 124
7838 days old here
Total Posts: 56416
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
paki_fan said: