~ Philosophy ~

4618 views 128 replies
Reply to Topic
Ashii

Age: 124
Total Posts: 31001
Points: 0

Location:
France, France
anyone interested in philosophy ??
Posted 29 Aug 2004

Ashii says
how do u know ??


it s said that there have been nearly 124000 messengers/prophets
can anyone name all these 124000 prophets ???
Posted 03 Sep 2004

WAFA says
WELL I DUN KNOW MUCH ABOUT IT...BUT ALL THE PROPHETS OF ALLAH HAVE ONE THING IN COMMON THEY PREACH THAT THER IS NONE WORTHY OF WORSHIP BUT ALLAH
Posted 03 Sep 2004

Ashii says
RITE...

but we also believe that JESUS was a prophet
we cant blame him for his followers calling him "son of GOD"

same could b the case with boudha,,, ppl worship him but he never asked for it
eh ??
Posted 03 Sep 2004

WAFA says
yea rite jesus was prophet of Allah..jesus never said that he is SOn of..

but sall i really didn't know about buddha..may be
Posted 03 Sep 2004

Ashii says
i donno either yar

it was just a question,, kya naa
waise i ve read same abt socrate

could b true na ??
Posted 03 Sep 2004

WAFA says
may be...
Posted 03 Sep 2004

Ashii says
abhi hum thak gae hein,,

no more philo
Posted 03 Sep 2004

WAFA says
abhi hum bhi thak gaye hain
no more posts

tata
enjoyed wid u n dev take carezz
Posted 03 Sep 2004

Guest_005 says
Posted 04 Sep 2004

WAFA says
yahan hansna mana hay raja
Posted 04 Sep 2004

Ashii says
thak gae hein to so na ja k yar




silly dumbo
yahan daant nikalne ki jaga nahi hai
answer karna hai to theek warna bahir jao


Posted 04 Sep 2004

WAFA says
lo saall hum so ker phir uth bhi gaye aur aap abhi sonay ko bol rahee hain
Posted 04 Sep 2004

Guest_005 says
to fir kia karoon yaham main
Posted 04 Sep 2004

Ashii says
woh act hum ne aap ka msg hi abhi check kiya na





today s question
we normaly divide living beings in 3 groups: plants, animal, humans
wot is the difference btw them ???



agar ap ka fasadi dimag kaam karta hai to u can try to answer this,, warna post nhai karna yahan..
Posted 04 Sep 2004

Ashii says
may b animals can think too,, it s just we dont understand their language,, ehh, wot do u say ??


well,, wot u want to say is,,, WE HUMANS r best of Allah's creation, bcoz of our
reason
intelectual power

but yeh dono alag alag cheezein hein,,,
animals r very intelligent too,,, monkeys, parrots, etc..
moreover an intelligent person dont necessarily make THE RIGHT choice... for ex hitler wasnt stupid but wot he did was horrible ;)

reason hmm,, yep rite,, our reason can lead us to the right choice buttttt.. sometimes it stops us from helping a person in danger, coz humein khud ko khatra ho sakta hai


so wot is that thing which makes us a perfect being,, a HUMAN ??


(umm,, we better leave JINNs for the moment,, humans se nibat lein pehle )
Posted 04 Sep 2004

Freddy says
pyaray bachoo the only difference is we can chat in janubaba forum on sall's philosophy using our computers but plants and animals can't do it.
Posted 04 Sep 2004

Freddy says
abb ye na keh dena they also do that but hameen nazar nahi aata ya phir ye jo kabi kabi kisi topic mein koi aesi post hoti hai jis mein kuch nahi likha hota ya only smiles hoti hain woe actually plants ore animals nein ki hoti hain
Posted 04 Sep 2004

Freddy says
agar such pochoo tu i don't like philosophers ..there's no more philosophy left agar hamara ess baat paar yakeen ho kay khuda nein hameen paeda kea hai ore Muhammad(PBUH) khuda kay rasaool hain jinhoon nein hameen zindagi guzaranay ka tareeka batayaa hai...they taught us every thing that what is moon ,what is stars,what is sky, how to meet peoples ,how to deal with peoples,how to treat peoples...why God made us,what is good and what is bad....

the reason why i don't like philosophers is unhoon nein hamesha aandkhi cheezoo ko he apna mozoo banyaa jo cheezee un ki samaj mein nahi ayeen unhoon nein usay aesa bana kay paesh kea kay uss kay natejay mein logoon nein un cheezoon ko khuda samajana shuru kaar dea ...hava ,suraj,chand,sitaray,pahar ye sub logoon nein khuda bana leyee ...agar philosopher enn chezoo ki juga ess baray mein sochatay kay insaan ki basic zaroorat kya hai ...kesay pyar mohabaat sei raha ja sakta hai...tu ajj duniyaa ki halaat kuch ore he hoti...

kheer ye tu bohot lumbi behass hai agar tum ko shook hai ess tarha ki behass ka then you can talk with me warna mujay tu daar hai tum sei ye itna lumba parha be nahi jayee ga
Posted 04 Sep 2004

Ashii says
undekha to Khuda ka wujood bhi hai
dont we beleive it or dont we search for Him :)


act there r 2 groups of philosophers,,, one who dont believe in a 'creator' and others who beleive that there is a super power (GOD)
kissi philosopher ne kabhi bhi suraj, chand ya sitaron ko khuda nahi kaha,, balke ulta socrat was the fisrt one (known in history) who didnt beleive in greek mythology, and told ppl that there must b "someone" else who created this whole world

btw,, insaan ko kiss tareeke se zindagi guzarni chaiye aik nahi uncountable philosophers and prophets bata chuke hein,,, galti hamari hai k inn sab baton ko ignore kar dete hein

philosopher is like a doctor,, generalist bhi hein aur specialists bhi,, depends on their domains
andekhi cheez ko talash karna hi to talash hai,, jo samne hai usse kya dhoondna, albatta usse samjha zuroor ja sakta hai



u can write vvv long mails,,, i dont mind reading, but plzz kuch copy paste nahi chale ga,, khud se likhna
Posted 05 Sep 2004

Freddy says
well well
Posted 05 Sep 2004

Freddy says
agar kisi philosopher nein kabi ye nahi kaha kay suraj chand ore sitray khuda hain tu logoon nein un ko khuda kesay maan leya ?? actually it's in humen nature kay hum kisi na kisi higher unseen or seen power kay ghulam rehna chahta hai esee leye shehanshahi system nikla ....zamana jahalat mein jub koi taufaan aata tha ya koi aesi bemari jis ka unheen pata nahi hota tha jis ka woe mukabala nahi kaar saktay thay tu woe uss ko apnay sei zeyada koi takatwaar cheez samajtay thay ..kue kay woe cheez un ki samaj mein nahi aati thi ess leye woe samjatay thay kay ye cheez (may be usay be woe tuafaan ko be insaan he samajtay hoon) hum sei naraz hai ess leye hum paar ye tabahee ayee hai.....

just imagine tum ajj sei hazaroon saal pehlay ka koi insaan hoo tumheen nahi pata kay hava kya hai ..tuafaan kue aata hai..suraj kue nikalta hai..barish kue hoti hai.....tum kisi wadi mein ya pahaar paar jaha be tum rehti hoo waha shikaar karnay bahir nikli ho apni bhook mitanay kay leye kay achanak bohot zoor sei hava chalnay lugti hai darahaat hilnay lugtay hain pathar apni juga choor detay even tumharay apnay panoon be zameen paar mushkil sei rukhay ja rahay hain ....tum ye he samjoo gey koi tumheen apni takaat sei dhuka denay ki koshish kaar raha ...tum fight karoo gey ..ghunsay maroo gey ..latay chalaoo gey magar kuch nahi ho ga akeeer jub tum nakaam ho jaoo gey tu tumharay dil mein khuoof aana shuru ho jayee ga kue kay tum uss cheeez ka mukabala nahi kaar saki ...tum shikasat kha jaoo gey ore tum zameen paar beth jaoo gey ya kisi cheez ko mazbooti sei pakar looo gey ..tumharay dil mein ye khoaesh paeda ho gey koi tumheen ess musebaat sei nikalay tum kisi sei help mangnay ki koshish karoo gey magar kis sei ??? you don't know God ..tub tumm use cheeez sei madad mangoo gey jis nein tumheen ess haal ko pohanchahyaa hai ore jesay he tum madaad mangti ho woe tufaan bund ho jata hai hava ruk jati hai darahat thum jatay hain tum ko be kharay rehnay mein koi mushkil nahi rehti theek yahi sei tum aik mazhaab ki buneyaad ruk doe gey....tum apnay jesay dosray logoo ko bataoo gey kay tum nein kya kea tu woe sub ruk geya...halakay taufaan ki jitna time tha woe tu apnay time paar he ruka ....kuch believe kareen gey ore kuch nahi...phir kuch arsay kay baad vesa he taufaan phir aata hai ...tum tu dobara wohi karna shur kaar doe gey jo tum nein kea ore woe ruk geya magar jinhoo nein yakeen nahi kea wo uss kay halaaf lareen gey jesay woe sheer cheetay kay halaf lartay thay ore usay maar bhagatay thay magar ye kya ye tu kisi saurat mein shikast he nahi khata kay achanak kisi ko tumhari baat yaad aa jayee gey ..wo be wohi karnay ki koshish karay ga jo tum nein kaha tha ..thori deer baad taufaan thum jata hai kue kay usay tu thumna he tha magar woe taufaan un loogoon ki halat badal deta hai...woe shikast khana sekh jatay hain ore uss bala ko jo koi haar cheez ko tinkoo ki tarha bakheer deti hai koi higher unseen power tasleem kaar letay hain...ore tum ko aik honourable hasti maan letay hain kue kay uss sei najayeet ka rusta tu tum he nein dekhaa unheen....Here your are the philosoper who taught them how to deal with that storm..tum nein un sei muhtalif socha ore baat be un ki samaj mein aa geye...
Posted 05 Sep 2004

Freddy says
kuch arsay kay baad tumhari zindagi ka time pora ho geya ore tum apnay halekay hakeki sei ja mili tu un loogoon ko daar hoa aab hameen ess bala sei kon bachayee ga tu un mein sei aik akalmand kay mind mein ye khayal ayaa kay kue nahi hum esay hamesha kay leye mehfooz kaar kay apnay pass rukh lein ..logoon nein pocha woe kesay tu uss nein uss tree ki taraf eshara kea jis ki shaheen bohot lumbi lubmi thi ore jo tumhara pasandeda darahata thay jis kay sayee mein tum dhoob sei mehfooz rehnay kay leye bethati thi...abb woe tree be mukadass tehra kue kay tum uss kay nichay bethati thi tu uss mein koi na koi hass baat tu ho gey.....buss tu woe darahat be mukadass tehra..

esee tarha jesay jesay zamana tarake karta geye neye neye logoo nein neye neye bateen kaheen ore chand suraj aaj ki poja shuru ho geye ore enn batoon ko batanay waloo kay mujasmay be baan geye...

phir khuda nein jub insaanoo ko bhutaktay hoyee dekha unheen andheray mein hath paoon martay dekha tu khuda ko reham aa he geye uss nein unheen sedha rusta dekhana kay leye messengers bhejay ....
Posted 05 Sep 2004

Freddy says
khuda kay wajood ka yakeen honay kay baad un zaheen logoon ka mind be change hoa jinheen loog philosophers kay naam sei pokartay hain ore unhoon nein apnay way sei logoon ko khuda paar yekeen karnay ka rusta dekhayaa ore khuda ko dhoondnay nikal paray....aik ayaa uss nein unaalkhuk ka nara lagayaa yanii mein he khuda hoon (insaan he khuda hai) uss kay naray ka mutlab ye tha kay jub tuk mein hoon tub tuk khuda hai...yani meray marnay ka baad na meray leye koi khuda rahay ga na koi mazhab jo kuch be hai woe abi hai jub tum mein zindaa hoon...usay uss wakat kay logoon nein phansi paar charha dea....phir koi ore utha ore uss nein khuda kay wajood sei he inkaar kaar dea....kisi nein kaha zameen chipti hai sub nein uss paar yakeen kaar leye...magar phir baad mein kisi nein kaha nahi zameen ghool hai logoon nein uss paar be yakeen kaar leya...
Posted 05 Sep 2004

Freddy says
loog bhutaktay rahay jo jis nein kaha woe maan leya samaj mein nahi ayaa magar maan leya...logoon ko bhutaknay sei bachanay kay leye khuda nein apni kitabeen bhejeen kay sirf ye he rehnamai hai ess ko pakar loo haar raaz sei parda uth jayee ga...

actually tum na be chahoo tu you have to believe on God khuda paar yakeen karnay sei maut asaan ho jati hai....jub tum ko believe ho kay maranay kay baad be koi zindagi hai tu tum khusi khusi maar sakti hoo but agar tum ko belive nahi ho ga tu tumharay leye marna bohot takleef dei ho ga ...kue kay sirf ye he aik aesi cheez hai jis ka haar haal mein insaan ko yakeen hai kay ye ho kaar he rahay gey...
Posted 05 Sep 2004

Freddy says
abb mujay cheer he dea hai tu meri fav poetry be sunani paray gey agar tum ko history ka kuch pata hai tub he ye shaeri tumhari samaj mein ayee gey

Nukta-ey nuksh bana detay ho mita detay ho
janay kis jurm-ay tamana ki saza detay ho
kabi pathar ko bana detay ho heeray ki kani
kabi heroon ko be miti mein mila detay ho
zindagi kitnay he murdoon ko ata ki jis nein
woe masehaa be saleeboon pay saja detay ho
hae-shay deeed jo kaar bethay saray toor koi
toor he baan kay tajali sei jala detay ho
bechoo yousaf ko kabi miser kay bazaroon mein
aekheray kaar shahey miser bana detay ho
jazboo masti ki jo manzil mein pohanchat hai koi
beth kaar dil mein AnalKhak ki sada detay ho
khud he lagvatay ho phir kofaar kay fatvay uss paar
khud he mansoor ko soli pay charha detay hoo
apni hasti be woe ek rooz ghanva bethta hai
apnay darshan ki lagan jis ko laga detay ho

koi ranjhaa jo kabi khojnay niklay tum ko
tum usay jung kay belay mein rula detay ho
justajoo lei kay tumhari jo chalay Qais koi
uss ko majnoo kisi laila ka bana detay ho
juat sasi kay agar maan mein tumhari jagay
uss ko taptay hoay thul mein jala detay ho
sohni ghar tum ko mahevaal tasavoor kaar lei
uss ko bephri hoi lehroon mein baha detay ho
Khud jo chahoo tu saray aersh bula kaar mehboob
Aik he raat mein meraaj kara detay ho

tum ek ghoorakh dhunda hoo
Posted 05 Sep 2004

Freddy says
baki phir kabi
Posted 05 Sep 2004

Guest_005 says
hmmm
Posted 05 Sep 2004

Ashii says
Ur example was really good,, that is actually the base of believe…   par agar me sirf aik chote se wakea ki waja se hawa ya toofan ko koi super power (or khuda) maan lu, to its just coz me ne sirf yahan tak socha k toofan mujh se zyada takatwar hai,,,   agar me yeh sochti k toofan ko itni takat di kiss ne, kiss waja se hawa different speeds se chalti hai kyun chalti hai, kyun woh kabhi pleasant breezing hoti hai aur kyun kabhi toofan ban jati hai to yakeenan me toofan ko khuda na manti…..
And that s wot a philosopher do
same is with ppl who ll believe me…   har shaks jo khud ko bohot akalmand kehta hai zaroori nahi k woh ho bhi,,
jo example aap ne di, uss mei chahe poori dunya meri baat maane chahe nahi,, but im not a philosopher,,     im just a normal person who is a bit more intelligent than others, but my moral thoughts r so limited….

It s exactly like in history we can find several «jhoote nabi»   ya phir now a day jhoote peer fakeer…    ppl believing something doest make that thing right.
Aap baat ko jhoote logon ki taraf le gae ho,,, zahir hai har zamane mei ache bure log hote hein,,   jab jhoota nabi ho sakta hai to jhoota philosopher kyun nahi ??
Im not saying k philospher ka label laga k aap jo baat kaho ge woh sach hogi,,,   par thora sa rasta tae karna,, safar shuru na karne se behtar hai,,
raste se bhatak jana to khair aik alag hi baat hai..

Aik baat me ne pehle bhi shyad kahi,,, there r 2 groups, one who believe in GOD and others who dont….   par dono ka safar start aik hi jaga se hota hai,, agay ja k raste badal jaate hein..
U talked abt Hallaj,, he was killed by other muslims,, jab k he was a muslims too, even his believes were stronger than others..   par uss wakt ppl called him ‘wrong’
Sirf aam log hi nahi muslims scholors were unable to understand his message,,

to masla yeh nahi k philosophers (for me hallaj was a philosopher too) nai nai batein nikalte hein,,, masla hum jaise limited soch rakhne waale log hein, problem hum logon k slothful minds hein,, jo kuch samajhne ki koshish nahi karte..

Allah ne apne nabi bheje, apni kitabein bheji,, par shuru mei kya hua, no one believed them,, wot happend with moses, y only a slave nation believed him ??
and wot abt jesus,, he was crucified by jerusalems’ religious community…
and our prophet (pbuh)   not much ppl believed him in the start, jo mushkil unhein uthani pari everyone knows abt it…

nabi ya prophets woh philosopher hote hein jo sahi rasta dhoond lete hein,, our Prophet (pbuh) used to spend his time in «gaar e hira»       wot was he suppose to do there, do u have an idea ??       
ibadat ??       
kiss ki ibadat ??     
nabuwat to unhein 40 ki age mei mili thi,, par uss se pehle wot he did in gaar e hira,,      
simply meditation :)


hmmmm..   sab itna asaan nahi jitna hum logon ne bana liya hai,,,
just imagine agar aap aik muslim family mei na paida hue hote ??
jaisi life abhi hum sab guzar rahe hein (aankhein band kar k, bager soche samjhe) waisi hi life guzar rahe hote,,,   Islam sacha deen hai yeh kaise samajh aati aap ko ??
i suppose wahi to nazil na hoti aap pe ;)

to basss,,    it s not coz hum aik perfect religion se taluk rakhte hein k we r perfect,,      we believe in ONE GOD,, but do we really ‘believe’ him
ummmm,, i realy doubt that…
imaan pakka hone liye soch ka clear hona zaroori hai
woh suna hai na
""na khuda to milte hein
ba khuda nahi milta""

oupss,,, am i going too far ??
khair koi baat nahi not much ppl will read this post,,   hehehhee…
ok okkkk aaj liye itna kaafi hai,,,    ehemmm,, abhi to hum ne nashta bhi nahi kiya,, imagine khana kha liya hota to kya hi baat thi,, hehehee..

heyy vvv nice poetry,,   i really love it,, (NFAK)
yeh likhi kiss ne hai ??


aap ne itni achi poetry suna di,, ab hamari bhi sunn lijiye
veid qurana parh parh thakke
sajde kardeyan ghis gae mathay
na rab teerath na rab makke
jiss paaya tis noor anwar..
ishq di nawein nawein bahaar..

hmm,, if u need translation ask me :)


(adii,, thnx for ur intelligent and such useful comments )
Posted 05 Sep 2004

WAFA says


sall right....hum sab ko yeh sochna chahye kay hum muslim kyun hay juss b coz hum aik muslim family main paida hui.i mean hum jitna shuker kerian woh kum hay kay hum aik muslim family main paida hui, per following what our parents are foloowing..is that enough??..hum kyun maan rahay hian kay sirf Allah hi ibaadat kay laiq hay?????
kis sirf iss liye kyunkay hamarey parents yeh mantey hain, PHIR HUM MEIN AUR AIK NON MUSLIM MEIN KAI FARQ REH JAATA HAY..WOH BHI APNAY PARENTS KAY RELIGION KO FOLLOW KER RAHA HAY AUR HUM BHI...
humein yeh jannay kia koshish kernee chahyee kay kia waqaee QURAN ALLAH KI BHEJI HUI KITTAB HAY..in sawallon ka jawaab dhoondnay kia koshish keray insaan tu duniya aur akhirat dono usko mil jaingay


AE KHUDDDA AE KHUDDA
JISS NAY KI JUSTUJOO
MIL GAYA USKO TU
SAB KA TU RAHNUMMA



Posted 06 Sep 2004

Guest_005 says
nice sall ji ...










laikin last main ...

main to kuch kaha bhi nahi
Posted 06 Sep 2004

Reply to Topic