SALL said:wot do u say ?¿
kya zyada zaroori hai,, Allah miyan se maafi ya phir galti ki talafi ??
reason ?
BadShaH1 said:amm... talafi kia hota hei??
faradiya said:sall jee gulti ki talafee tu tub kareen gey jub hameen uss kay gulat honay ka ehsass ho ga ...asal cheez tu ehsas hai .insaan ko jub ehsass hota hai kay mein nein woe gulat kea hai ore mujay uss ki talafi karni chaheyee asal mein wahi paar uss nein khuda sei maafi maang li khuda tu neyatoon ko dekhta hai zaroori nahi kay bakayedaa vozoo kaar kay masalay paar beth kay insaan maafi mangay...
maafi ore talafi asal mein aik he cheez hai ..agar maafi ka khayaal dil mein ayee ga tu talafii kareen gey...
But kuch chezeen aesi hoti hain jin ki insaan talafi nahi kaar sakta waha sirf ore sirf maafi he chalti hai ..
suppose tum gari chala rahi ho kisi ka bacha acchank samnay aa jayee ore maar jayee...tum uss ki talafi kesay karoo gey ?? beshaak ess mein tumhari gulti nahi but you should feel sorry and will try to do something for them but what ?