Age: 124
7578 days old here
Total Posts: 5562
Points: 0
Location:
San Marino, San Marino
mehroomi....
yaar pabandi BHI iska reason hai kahoongi main tu...lekin kes qism ki pabandi akhir bohut see pabnadiyan tu khud insan ke haq main hotee hain or usko ye baat hi nahi pata hotee....
frustration sirf pabnadi se nahi iskey tu bohut sare reasons hain... like generation gap jobless lake of confidance etc
Age: 124
7784 days old here
Total Posts: 31001
Points: 0
Location:
France, France
pabandi insaan k liye achi hai ya nahi yeh baad ki baat hai frustration tab paida hoti hai jab hum dil se iss pabandi ko na manein, beshak upper se jo bhi kahein
hmmmm yep, mehroomi bhi,, kuch mehroomiyan woh hoti hein jo pabandi ki waja se hi hoti hein aur baki life mei kuch situation aisi ho jae k insaan jo chahe woh ho na sake
hum pakis k frustrate hone ka asal reason kya hai pabandi ya mehroomi ???
Age: 124
7578 days old here
Total Posts: 5562
Points: 0
Location:
San Marino, San Marino
frustrate tu yaar mehroomi hi hoyee na..aik hi baat hoyee... tu hamara/logon ka attitude or kuch beja pabandiya bhi hamarey frustration ka sabab bantee hain..
Age: 124
7679 days old here
Total Posts: 10089
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
pakistan main tu i think is waja say zaiada hai kay jaab gareeb loog amerooon ko yoon khulay aaam paisay karch kertay deekthay hein tu bhee unko mehroomi ka ihsaas hota hai ... phir ye mehmroomi aksar frustration main tabdeel hoo jatee hai..
Age: 124
7784 days old here
Total Posts: 31001
Points: 0
Location:
France, France
han yar aik reason yeh bhi hai but beleive me i ve seen ppl jo k Masha Allah bohot ameer hein,, harr asaaish hai unn k paas but still nihayat bhooki niyyat wale log
Age: 124
7400 days old here
Total Posts: 4265
Points: 0
Location:
Antarctica, Antarctica
kehte hain na ke kissi ki aankhon main bhuuk hai... waise hi hote hain woh loog
yeh bhi aksar dekha jaata hai ke paisa to bahut hai lekin sakoon naheen hai, to wohi ameer loog ghareeb ko khush deikh kar apni mehroomi ko roote hain...
yeh khuda ne bhi kia dunya banaayi, eik doosre ko deikh kar soochte hain ke yeh kitna khush hai aur patta naheen ke woh bhi tumhaare baare main yehi soochta hai...
Age: 124
7784 days old here
Total Posts: 31001
Points: 0
Location:
France, France
yehi to yehi to yehii toooooooo.. sab kuch hote hue niyat kyun bhooki rehti hai sabb kuch hote hue kyun nashukre aur mehroomi ka shikar rehte hein log kyuuuunnnnnnnnnnnnnnnnn
Age: 124
7400 days old here
Total Posts: 4265
Points: 0
Location:
Antarctica, Antarctica
is kyon ka jawaab mushkil hai.
bas yehi dunya hai... aur yehi zindagi
jab khuda insaan banane ja rahe tha to farishtoon ne kaha tha ke na karo aisa, hum thore hain aap ki ibadat karne wale. yeh loog fasaad kareinge, hasd kareinge, aur na jaane kia kia kareinge... lekin khuda ne dunya banai, no problem lekin insaan jo hain woh bas.....
kia kaha jaye ab...
eik family thi, bahut hi ameer, har jagga un ke ghar the aur europe main bhi unhon ne naukar rakhe hue the... paisa bahut tha lekin us ghar par jab beemaari aayi to woh paisa kissi kaam ka naheen raha, tab unko paise ki keemat patta challi... hum loog samjhte hain ke humaare paas paisa hai aur hum sub kuch khareed sakte hain lekin khuda humain bata deta hai ke kuch naheen kar sakte aggar main na chahoon
challo yeh bahut sa lecture ho gaya, lekin kyon ka jawaab phir bhi naheen milla....
Age: 124
7784 days old here
Total Posts: 31001
Points: 0
Location:
France, France
french muslims nahi hein khuda pe harr baat liye bharoosa karne ko nahi mante 30 days k roze nahi rakhte k khuda ki di hui naimaton ki kadar karna seekh sakein
yeh sab to humein sikhaya gaya hai,, non muslims se kya gila shikwa
Age: 124
7784 days old here
Total Posts: 31001
Points: 0
Location:
France, France
agar aisa hai sofi to phir hum log roze mei gussa kyun karte hein aftari hote hi khane pe toot k kyun parte hein gareebon ka ehsas agar wakai jaagta to kya halaat woh hote jo hein ??
Age: 124
7400 days old here
Total Posts: 4265
Points: 0
Location:
Antarctica, Antarctica
but my dear sis, ab tum frustrated ho rahi ho... roze ke liye acha naheen hai, abhi dekho takreeban 5 hours hain roze ko. abhi se itni frustration hogi to baad main kia hoga...
how is ur little one. main ne kissi forum main parha tha ke u had a little baby....
Age: 124
7445 days old here
Total Posts: 2288
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
aik saccha muslim jub apnay jesay dosray muslims ko ghalat rahoon paar chaltay dekhta hai tu kya woe frustrate nahi hota ?
frustration tu insani nature mein hai ....jesay hansna,rona, bhook lagna natural hai eseyeee tarha frustration be natural hai.
koi supernatural humen he ho ga jesay frustration nahi hoti ho gey.....hmmm jesay sadahrath(bhudda)..uss nein apni zindagi kay bohot sei saal janglooon mein guzaray...for what ? i think for controlling the nature...jub woe wapis ayaa tu uss ka khana aik chireyaa kay bachay kay khanay kay barabar tha ...uss ko na gussa aata tha na koi havass ore na he koi talab....uss nein aesa sakoon pa leya tha jo kay hazaroon pills mil kay be nahi pohancha sakti...
but unfortunatelly uss kay followers nein ussay kay statue bana leye ore uss azeem insaan ko khuda bana dea. agar ye na hota tu shaied ajj mein uss kay afkaar apni nisaab ki kitaboon mein paar rahay hotay like shakespeare and barnard shah...kue kay uss kay afkaar ko aik mazhaab ka darja dei deya geya ..ore mazhaab kay mamlay mein hum sub xtreamist hain.
i think jub insaan apni life sei unsatisfy hota hai tu waha frustration paeda hoti hai....ghareeb ess leye frustrated hotay hain kay un kay pass paesa nahi woe choti choti chezoon kay leye tarastay rehtay hain. ..amir ess leye hotay hain kay un kay pass sakoon nahi...woe un chooti chooti khushoon kay leye tarastay hain jo paesay sei nahi haredi ja sakteen.
duniyaa mein rahna hai tu frustration ka sath zindagi kay ehtatam tuk rahay ga..if you don't want to frustrated just control the nature!