-- Shirk --

1252 views 26 replies
Reply to Topic
Ashii

Age: 124
Total Posts: 31001
Points: 0

Location:
France, France
okkkkkkkk friends..
one more boring topic,,,
plz yahan koi bewakoofon wali post na kare,,, thnx

SHIRK kya hota hai,,
i know ab sab kahein ge k iss bewakoof ko yeh bhi nahi pata,,,
okk imagine mujhe wakai nahi pata,,
now tell me shirk kya hota hai,, i ve heard a lot abt it,, k bohottt bara gunah hai balke saabb se bara gunah
par kyun ???

koi to explain kare k woh aisa kya amal hai jiss ko karne se insaan maafi k kabil nahi rehta

(as usual,,, koiiii copy paste nahi chale ga,, and plzz koi SMILE bhi nahi)
Posted 21 Nov 2004

~Fragi~ says
Allah k siwa kisi ko bhi mushkil khusha hajat rawa samajhna shirk hai ... kissi aur ko abadatoon k liye samajhna shirk hai ... kissi aur key naam per manatein aur niaz charhana shirk hai....

Allah k siwa kissi aur ko abadat mein shareek karna shirk hai

ALlah kee wahadaniat per yakeen na karna shirk hia
Posted 21 Nov 2004

Freddy says
loog jo khuda sei manganay kay bajayee mizaroon pay jatay hain woe be shirk kartay hain...........

pechlay saal meray ami abu hajj kaar kay ayee woe batatay hain kay waha aesay loog mileen jo kehtay thay hajj kay baad hum apnay ghar janay kay bajayee pehlay daata sahib(lahore) hazri deein gey......un ka manana ye tha kay agar hum aesa nahi kreen gey tu hamara hajj complete nahi ho ga..............

jo loog Hazrat Muhammad(PBUH) ko khuda ki zaat sei compare kartay hain woe be shirk kartay hain.....

Hum mein sei bohot sei loog aesay hain jo faraz kay bajayee sunnatoon ko prefer kartay hain....jo khuda ki juga uss kay rasool(PBUH) ki "EBADAAT" kartay hain....
darasaal anjanay mein woe shirk kartay hain...........
they even don't know what they are doing .............

madinaa mein hazoor(PBUH) kay roza mubarik mein loog "parchiyaan" likh likh kay phenkatay hain.......un parchioon mein unhoon nein apni apni wish likhi hoti hai......unheen aesa karnay sei mana karnay kay leye waha kay mohafiz un pay dunday barsatay hain........paar unheen koi asaar nahi hota.................

even loog waha ja kay sajdaay kartay hain..........un paar be dunday barastay hain paar kisi paar asaar nahi hota..............ye shirk nahi tu kya hai ?????

khuda hameen deen ki samaj aata farmayee..ameen!
Posted 21 Nov 2004

~Fragi~ says
Sum Ameen . .so true freedy
Posted 21 Nov 2004

Ashii says
RITTTTTTE..
thnx freddy and frangi :)

parrr yar,,
jo baat mujhe samajh nahi aati,,,,, hmmm
(ok now u ll say i ask too much questions,, par khair)

yarrr,, ibadat ka kya matlab hota hai
i mean theek hai aap ne aik sajda kar diya,, aur ibadat poori ho gai ??
come on yar,, i ve heard soche samjhe bager sajda karna takrein marne k barabar hai

sache dil se Khuda ko maana to yeh hua na k aap Khuda ki kahi baat bhi maano... yeh nahi k bass dua kar li Khuda se sajda kar liya aur baaki jo dil aae karo
amaal apni aur apne ghar walon ki marzi se karo,,
Khuda se zyada dunya se daro k 'log kya kahein ge'

SHIRK TO YEH HUA NA
wot do u say
Posted 21 Nov 2004

SupidGuy says
yara zyadah nahi pata

but,

Shirk... i think yeah hai ke kisi doosri zaat ko ALLAH(SWT) ke barabar samujhna........

like Shoaib(faradiya) said

faradiya said:

jo loog Hazrat Muhammad(PBUH) ko khuda ki zaat sei compare kartay hain woe be shirk kartay hain.....

Hum mein sei bohot sei loog aesay hain jo faraz kay bajayee sunnatoon ko prefer kartay hain....jo khuda ki juga uss kay rasool(PBUH) ki "EBADAAT" kartay hain....
darasaal anjanay mein woe shirk kartay hain...........
they even don't know what they are doing .............

kya naa ke Sajda sirf ALLAH(SWT) ko hi karna chahiye.........

agar shirk ki baat Yaqeen pe Depend karti hai tu...........

phir hamm jab Ill(beemaar) hote hein tu ALLAH(swt) ki taraf Rujoo (contact) karne ki bajaye Dr ke paas kioon jate hein?????

iss ko kya kahein gein???

i thnink baat Intensions & Directions ki hai....

agar hamari Intensions sahi Direction mai hein tu........i think sahi hai........

agar ham har kaam ko ALLAH(SWT) ka Hukam aur Hazrat Muhammad(PBUH)ke tareeqay pe karein gein tu sahi hei.......

once i asked a Masla to a Aalim........ unhoon ne yeah baat kahi ke ALLAH(SWT) ka hukam Hazrat Muhammad(PBUH) ka tareeqa aur Hadees yeahi hai Deen

simply Shirk ALLAH(SWT) ke ilawa kisi doosray ki Ibadat karna yaa usse iss Laaiq Samujhna.....i think yeahi hai Shirk......

aur I think yeah who Gunah hai jo Touba se maaf nahi hota …..phir bhi…………….

mein koshish karoon ga ke kisi Aalim se pooch kar next time post karoon ga........

(ALLAH(SWT) maaf kare agar kuch ghalt kah dia ho tu)

Posted 21 Nov 2004

SALL said:

okkkkkkkk friends..
one more boring topic,,,
plz yahan koi gadha bewakoofon wali post na kare,,, thnx

SHIRK kya hota hai,,
i know ab sab kahein ge k iss bewakoof ko yeh bhi nahi pata,,,
okk imagine mujhe wakai nahi pata,,
now tell me shirk kya hota hai,, i ve heard a lot abt it,, k bohottt bara gunah hai balke saabb se bara gunah
par kyun ???

koi to explain kare k woh aisa kya amal hai jiss ko karne se insaan maafi k kabil nahi rehta

(as usual,,, koiiii copy paste nahi chale ga,, and plzz koi SMILE bhi nahi)

hello miss excuse me...dekh kar likha karo...
Posted 21 Nov 2004

Freddy says
uss nein mana be kea tha koi..................na karay ........paar phir be
Posted 21 Nov 2004

Ashii says
thnx AB
but see,, jahan tak Dr ka taluk hai to yeh to Allah miyan ne bhi kaha k pehle dawa phir dua,,, to yeh to aik alag masla hua na,,, shirk se iss ka koi taluk nahi

par mera question yeh tha k
Khuda k siwa kissi ko sajda karna shirk hai.. rite
Khuda k siwa kissi aur ki ibadat karna bhi shirk hai,, rite
Khuda k ilawa kissi ko mushkil kusha samajhna bhi shirk hota hai

par jahan tak yakeen ki baat hai,,,, kissi ko sajda hum tab karte hein jab uss pe yakeen karte hein, aur yakeen karne ka matlab yeh bhi hua k uss ki kahi harr baat ko manein,, ussi k kahe raste pe chalein

hum log sajda to Khuda ko karte hein par mante sirfa apne dil ki hein,, ibadat khuda ki karte hein par darte logon se hein
wot do u say abt it ???
Posted 22 Nov 2004

Ashii says
shahrukh khan said:

hello miss excuse me...dekh kar likha karo...

hmmm,, now wot s wrong,,,
kissi ko warn karne k saath agar aap reason bhi bata dein to meherbani hogi
Posted 22 Nov 2004

warning kahan hai???????
Posted 22 Nov 2004

I agree with Fragi

us ne gadha kehne par mind kia hay
Posted 22 Nov 2004

muslim says
God says in Quran keh ASK THOSE WHO KNOWS .agr yeh Quran hay to doctors kay pas jana jaiz nahin balkay wajib hay
Posted 22 Nov 2004

Posted 22 Nov 2004

SupidGuy says

sall said:

thnx AB
no thnx we are a part of JB family!

but see,, jahan tak Dr ka taluk hai to yeh to Allah miyan ne bhi kaha k pehle dawa phir dua,,, to yeh to aik alag masla hua na,,, shirk se iss ka koi taluk nahi

talluq hai naa……Its matter of belief bhei………………aur jo tum ne kaha ke ALLAH(swt) neb hi kaha ke pahle Dawa phir Duaa……I disagree………….ke ilaaj Sunnat hai tu Ehtiyaat wajib……………..
Dawa itself khud kuch nahi hai……………..i mean koi bhi cheez uss waqt tak kuch nahi kar sakti jab tak ALLAH(SWT) uss kaam ka hona naa chahein tu…………..like dekhoo Aag(fire) mai jalane ki sift(property) ALLAH(SWT) ne rakhi hai…….like Hazrat Ibrahim(Aleihissalam) ko aag nahi nahi jalaya……..well I don’t think so ke woh Nabi it was their Belief ke ALLAH(swt) ke chahne se hi sab kuch ho ga………

So, in my opinion Belief hi base hi kisi bhi cheez ki…………mein apni Maan Ji ko iss liye nahi piyaar karta ke ALLAH(SWT) ka hukam hai ………..iss liye ke mein ne apne Bachpan se Maan ko hi apne qareeb paya…….yeah tu hamien bari age mai pata chalta hai ke ALLAH(swt) hi ham ka Start & End hein………
I hope aap loog samujh gaye hoon gein……………..

sall said:

par mera question yeh tha k
Khuda k siwa kissi ko sajda karna shirk hai.. rite
Khuda k siwa kissi aur ki ibadat karna bhi shirk hai,, rite
Khuda k ilawa kissi ko mushkil kusha samajhna bhi shirk hota hai

there are so many ppl in the world jo har Religion ko maante hein……..aur apni inner satisfaction ke liye woh wohi karte hein jo unhain satisfy karta hai…………in my primary school there was a Christian Girl jo ham sab ke saath Holy Quran bhi parhti thi…….but it doesn’t mean ke woh muslim ho gai……….
In cyber world there are so many Islamic Website which are made by Non-Muslims……………but woh agar muslim nahi hein tu kya woh Jannat mei jaye gein?????
Nahi naa…………….
So, Yaqeen is the base for me……………ham iss baat or topic various dimensions se dekh sakte hein………………..
Which I don’t wana mention…….kioon ke post lambi ho rahi hei……………

sall said:

par jahan tak yakeen ki baat hai,,,, kissi ko sajda hum tab karte hein jab uss pe yakeen karte hein, aur yakeen karne ka matlab yeh bhi hua k uss ki kahi harr baat ko manein,, ussi k kahe raste pe chalein

hum log sajda to Khuda ko karte hein par mante sirfa apne dil ki hein,, ibadat khuda ki karte hein par darte logon se hein
wot do u say abt it ???

aur yeah baat ke maante apne dil ki hein tu……..i think 2 reasons hein………

firstly, ke Man is the puppet of Mistake……….mistakes ho jati hein………….we shud be careful in the way……….

Secondly, ke we are Materialistic!......................dil ki baat manna aise ki majboori hai………aur Islam se woh deny nahi kar sakte……

It all my opinion!

koi masla koi tension then ask me...............

Posted 22 Nov 2004

Ashii says
i didtn say k dil ki baat maana gunah hai
par agar hamara dil Khuda k kahe k khilaf kuch karne ko chahe to most of the time hum rukte nahi

insaan galti ka putlaaa,, ufffffffff
yeh sunnn sunn k tang aa gai hu me
coz hum logon ne iss baat ka matlab yeh liya hai k,, khud ko insaan sabit karna ho to galti kar do
jitni bari galti,, aap utne hi zyada insaan honge
grrrrrrrrrrr
Posted 22 Nov 2004

Sall, yur quest's very deep. Scholars worte volumes on this subject. I will relate one eg from Quran for clearification.
In surat Younus, Allah SWT relates story of a group which travels in a ship enjoying the journey as the cool sea breeze pleases them, suddenly tides turn high and wind rages upon them while they are caught in the middle of the ocean. At this point they ask Allah while making their religion (deen) pure, beg for safety. Allah answers their call and pulls their ship to the coast. People who were pledging to offer thanks when they were in trouble, now forgot their pledges and were consumed by affairs of life....

...making religion pure meant that when they know there's no one to save them against this clamity but Allah, their hopes were only pinned upon Him. this is the pure Eman. Bringing anyone to share this uniqueness of Allah is shirk.
Posted 23 Nov 2004

Multifaceted practicality of it requires good understanding.
Two kinds of shirk - Saghirah & kabirah - should be understood in proper context. Shik kabirah is associating partners in worship of Allah - worshipping others than Allah and expect other dieties to respond to their call (Mushriks of Mecca had this very problem). Other aspect of it is to consider someone, beside Allah, as lord, cherrisher, nourisher...
Committing this kind of shirk thows one out of the fold of Islam. Shirk saghirah - minor shirk (not to be taken lightly) can prevent one from becoming a believer. This is the kind of shirk when one accepts the notion of oneness of Allah but acts contarary to it. Example of it like one who thinks his job and boss hold the provisions for him, for him to loose his job is like end of the world. Another example is of one who worships (or at least accept the oneness of Allah) but his desires takeover his submission to his Lord.

Prophet SAW, in a long narration, clearified that a person cannot be a believer unless Allah and His messenger are more beloved to him than anything (even himself).
Meaning, two important thing - there are levels of Eman, and submission of acts, opinions, desires, even thought is true eman. Tiniest shortness of highest level of Eman indicative of some traces of shirk (saghirah). This is my humble understanding. Allah knows the best.
Posted 23 Nov 2004

Ashii says
(was just trying to bring SD back to jb)
khekehekee..
kdn

thnxx a lot SD
i was expecting this answer,,
but thnxx a lot to those u tried to answer.. stooopîd, frangi, freddy

u know wot,, few days ago i was watching a prog and that guy said something strange abt shirk,, something i never thought ab
he said iss dunya k khauf se ya apni wakti khushi k liye khuda ki nafarmani karna bhi shirk hai (as u said shirk saghira)
iss liye k Allah pe iman laane ka matlab sirf sajda ya kalma nahi hai,,, uss se darna aur sirf uss ka kahan maana hi asal imaan hai
aur jab asal imaan poora nahi kiya to matlab k shirk kiya

hum log,, including myself, my family, everyone i know bohoott se kaam sirf iss liye karte hein k logon ka darr hota hai,,
aik jumla jo meri bardasht se bahir hai "log kya kahein ge" itna sunne mei aata hai k dimag kharab ho gaya hai
aaj tak me ne kissi ko yeh kehte nahi suna k Allah miyan kya kahein ge

shirk hi to hai yeh....
khair,,, pata nahi kya hoga
Allah miyan sab ko seedha rasta dikha'ain
Ameen
Posted 23 Nov 2004

SupidGuy says

Sall is it close now?????

Posted 26 Nov 2004

friend_16 says
shirk ...
Allah kay saath kisi ko shareek tehrana .. kisi bhe tarhaan ..
1. ibadaat kernay main .. jo cheez faida day rahee hote hai .. loog us ki ibadat shoro ker daitay hein.. ye nahi sochtay us kay peechay kis ka haath hai..
2. apnay dil ka kehna maanna instead of Allah .. actually hamara nafs hum par itna galib ho kay hum usee ki baat maannay kay majbooor hoo jain..

ye saab saab say bara gunnah is liay hai coz jaab insaan ye soochta hai kay agar aik khuda naraz hoo gia tu kia hua doosra tu hai na .. aik nahi bohat say khudaoon ko maannay lagta hai .. logoon ka ghulaam baan jata hai...

The people of Fire will cry out to the people of Paradise: "Give us some water, or some of that which Allah has given you." But the blesses shall reply: "Allah has forbidden both to the unbelievers, who made their religion a pastime and an idle sport, and who were beguiled by their earthly life."
   On this day We will forget them as they forgot the meeting of the day: for they denied Our revelations.
Sura:7, Ayat: 50-51

Posted 26 Nov 2004

~Fragi~ says
TeenTracker said:

I agree with Fragi

us ne gadha kehne par mind kia hay

thz for agreeing wid me
Posted 26 Nov 2004

valandrian says
bd22001bd22001bd22001bd22001bd22001bd22001bd22001bd22001bd22001bd22001bd22001bd22001bd22001bd22001bd22001bd22001bd22001bd22001bd22001bd22001bd22001
bd22001bd22001bd22001bd22001bd22001bd22001bd22001bd22001bd22001bd22001bd22001bd22001bd22001bd22001bd22001bd22001bd22001bd22001bd22001bd22001

bd22001
Posted 24 Apr 2018

Posted 16 Sep 2018

Posted 19 Oct 2018

Posted 07 Nov 2018

Posted 19 Nov 2018

Reply to Topic