Humari Urdu!

1708 views 15 replies
Reply to Topic
hudz9

Age: 38
Total Posts: 306
Points: 0

Location:
Hyderabad, India
Kaabe kii hai havas kabhii kuu-e-butaan kii hai ,
mujh ko Khabar nahii merii miTTii kahaa kii hai!!


[kuu-e-butaan=beloved’s street>


Kuchh taazagii ho lazzat-e-aazaar ke liye ,
har dam mujhe talaash naye aasamaan kii hai!!


[lazzat-e-aazar=flavour of pain; thrill of pain>


Hasarat baras rahii hai mere mazaar se ,
kehte hai sab ye qabr kisii naujavaan kii hai!!


Qaasid kii guftaguu se tasallii ho kis tarah,
chhipatii nahii vo jo terii zabaan kii hai !!


Sun kar meraa fasaanaa-e-Gam us ne ye kahaa,
ho jaaye jhuuT sach, yahii Khuubii bayaan kii hai!!


Kyuun kar na aa_e Khuld se aadam zamiin par,
mauzuuN vahii vo Khuub hai, jo shay jahaaN kii hai!!


[Khuld=paradise; mauzuuN=fit, well balanced>


URDU hai jisakaa naam hamii jaanate hai ‘Daag’ ,
hindustaan mein dhuum hamaarii zabaaN kii hai

Posted 27 Nov 2004

Reply to Topic