ap ka sher plz sher chain

18272 views 448 replies
Reply to Topic
ONLYARBAB

Age: 39
Total Posts: 7964
Points: 0

Location:
peshawar, Pakistan
salam friends aik chain shoro kerte hain may aik sher kehta hoon us k akhri lafz say aap aik sher kahin so plz reply ok lets start
the game start

       tum they to meri sham may tha subah ka aalam
       tum jab say gay sham jhalakti hay sahar main



noon

sher plz
Posted 30 Dec 2004

paki_fan says
ahaan.. nice game

hmm thori hard ho gi lekin.. good..


NIGAH E WALLI MAY WO TAASEER DAIKHI
BADALTI HAZARON KI TAQDEER DAIKHI



i.......
Posted 31 Dec 2004

ONLYARBAB says
salam


yeh acha hay k aapas k bharam totnay na paayin
kabhi bhi doston ko aazma kar kuch nahi milta

alif
salam
Posted 02 Jan 2005

paki_fan says
aaj kuch ais tarha se yaad woh aayi
ke jaise koi mehman ghar main dabe paaon aaye
aana tha to kuch us tarha aate
hum ko ho yaqeen ki hai woh aaye
tum to aansoon se bhi kamtar nikle
woh bhi nikle to garaj kar nikle
aa kabhi tujhe milaon aansoon se
ke teri yaad main yeh kaise baras kar nikle


e
Posted 02 Jan 2005

ONLYARBAB says
salam


youn to guzar raha hay har ik pal khushi k saath
phir bhi koi kami kiyon zindagi k saath

hay

thanks zeeshan

salam
Posted 04 Jan 2005

ONLYARBAB says
salam


zeeshan aur mat roo plz
mujhe bhi rona aarha hay
Posted 04 Jan 2005

ONLYARBAB says
salam


zeeshan aur mat roo plz
mujhe bhi rona aarha hay
salam
Posted 04 Jan 2005

paki_fan says
je rona kiun a raha hai
Posted 04 Jan 2005

paki_fan says

Ho gayi ho gar hum say koi khata humain maaf kardna
Sabab humaray kabhi jo tumhaara dil dukha humain maaf kardena
Zindagi kay kisi mor par yeah aankhain jo ho jayen band
Ho gi tum se bas itni ilteja humain maaf kardena ..


a??
Posted 04 Jan 2005

ONLYARBAB says
kiya baat hay zeeshan very good
Posted 04 Jan 2005

ONLYARBAB says
salam


apne mehboob ki tasweer bananey k liye
may chala rang gulaboon say churaney k liye


ye
salam
Posted 04 Jan 2005

paki_fan says
very nice

Posted 04 Jan 2005

ONLYARBAB says
thanks
Posted 04 Jan 2005

paki_fan says

Yeh Zindagi Bari Ajeeb Si
Kabhi Gulzaar Si Kabhi Bezaar Si
Kabhi Khushi Hamaray Sath sath
Kabhi Ghammon Ki barsat Si
Ye Zindagi Bari Ajeeb Si

Kabhi Tofanon Main Bhi Hain Rastay
Kabhi Manzilon Ka Pata Nahin
Kabhi Do Qadam Pay Zindagi
Kabhi Saddeuon Tak Intizaar Si
Ye Zindagi Bari Ajeeb Si

Kabhi Har Pal Emtihaan Hay
Kabhi Bin Mangay Enam Hay
Kabhi Kuch Nahin
Kabhi Sab Kuch Si
Ye Zindagi Bari Ajeeb Si
Kabhi Gulzaar si Kabhi Bezaar Si...



i
Posted 04 Jan 2005

Fairl_Girl says
Ik Din Baharon Ke Phool Murjha Jayenge,
Jab Bhoole Se Kabhi Hum Yaad Aayenge,
Ehsaas Hoga Tumhe Hamari Dosti Ka,
Jab Door Bahut Door Hum Tumse Chale Jayenge.

NICE PAKI
Posted 04 Jan 2005

ONLYARBAB says
Yehi Wafaa ka sila hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum na diya hai, to koi baat nahi

Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi

noon
salam
Posted 05 Jan 2005

Fairl_Girl says
nice
Posted 05 Jan 2005

ONLYARBAB says
thanks and ur sher
Posted 06 Jan 2005

cutefriend says
Posted 06 Jan 2005

ONLYARBAB says
ok
Posted 07 Jan 2005

paki_fan says
thank janubaby
hmm n se nice? j/k janubaby...

acha n..

hmmmmmmm

Na shakaitain na gila karay
Koi asay shaks howa karay

Jo meray lia saja karay
Jo mujh se batain karay
Na shakatain na gila karay

Kabhi roay jay wo bepana
Kabhi betahasha udass ho
Kabhi chupkay chupkay dabay kadam
Meray pichay aay hassa karay

Na shakaytain na gila karay

Meri qurbatoon kay wo saray pal
Koi yaad rakhay kadam kadam
Main taweel safar main hun agar
Meri wapisi ki dua karay

Posted 09 Jan 2005

Fairl_Girl says
wow
Posted 10 Jan 2005

ONLYARBAB says
Posted 10 Jan 2005

ONLYARBAB says
yeh zindagi kuch aise hay jaisey uljhey howey dhagay
totey howey nikley jinhay samjhwy k sirey hain


Posted 10 Jan 2005

Fairl_Girl says
wow
and also good ur sign
can i ask kia huahai ARBAB KO
Posted 10 Jan 2005

ONLYARBAB says
thanks janubaby
jo howa hay woh mat poocho
jo nahi howa woh poocho

ok
salam

Posted 10 Jan 2005

paki_fan says
thanku thanku

veryy nice arbab...

n againj/k koi baat nahin
hmm
n...
Na main dil ki bat bata saka!
Na main pass us ko bula saka!
Na main dil ki bat bata saka!
Wo hansi hansi me hi chal diya!
K main hath tak na hila saka!
MuJey kya hua muJey kya khaber!
MuJey kitna Gehra khumar tha!
Main khara tha us kay hisaar me!
MereY ird-gird ghubar tha!
Yonhi sochta raha dair tak!
Magar us ko kuch na bata saka!
Na main paas us ko bula saka!
Na main dil ki bat bata saka!
Ye bhi theek hai woh chala gaya...
MuJey band raaste pe chor kar!
Ye bhi theek hai.. na woh aaye ga...
Kabhi buth anaa ka tor kar!
Wo Juda be kese hua ke me!
Koi rasm bhi na nibha saka!
Na main paas us ko bula saka!
Na main dil ki bat bata saka!
Na meri dushmani kisi din say ab!
Hai na dosti kisi raat se!
Hai bacha hi kya jo woh le gaya!
Mujhe cheen kar meri zat se!
Woh muqam hi kuch ajeeb tha!
Ke me khud ko bhi na bacha saka!
Na Main paas us ko bula saka!
Na main dil ki bat bata saka!
Wo hansi hansi me hi chal diya!
Ke main hath tak na hila saka!

a
Posted 10 Jan 2005

ONLYARBAB says
Posted 10 Jan 2005

ONLYARBAB says
salam


ab kiyon udas phirtey ho sardiyon ki shamooon main
is tarha to hota hay is tarha k kamon main



salam
Posted 10 Jan 2005

paki_fan says
bohat acha shair hai yeh very nice arbab

hmm phir n..

YEH NASEEB HAI YA QISMAT KIUN KE
AB TOU DIL MAIN MEHEKTAY HOOAY JAZBAY NAHI MILTAY ....
UJRAY HOOAY GULSHAN MAIN PARINDAY NAHI MILTAY.......
KYUON CHUPKAY SAY UTAR JATAY HAIN WOH LOUG DIL MAIN......
JIN LOUGOON SAY HAMAREE KISMAT KAY SITARAY NAHI MILTAY......
Posted 10 Jan 2005

ONLYARBAB says
Posted 11 Jan 2005

Reply to Topic