friend_16
Age: 125
Total Posts: 10089
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
kal mujh say kisi nay poocha kay sadqay ka kuch paisay hein tu kahaan doon ?.. mainney kaha kay Tsunami kay liay kuch loog kaam ker rahay hein wahaan day dein .. to unhoon nay mujhay kaha kay wo kisi bhee tarhaan is kay haqdaar nahi hein .. coz un par Allah ka azaab aya hai .. wo aisay buray kaam ker rahay thay aur un ki society main wo buray kaam itnay common ho chukay thay unhein koi bura nahi jaanta tha (wahaan beaches ka koi haal nahi tha .. aur haram cheezoon main koi farq nahi raha tha .. wo loog pig meat aur pata nahi kia kia kuch haram khatay thay ) tu un par Allah ka azaab aya hai tu we shouldn't b giving our zakat n sadqa to them .. un say haqdaar wo loog hein jo pakistan main hein aur khud kama nahi saktay .. khud kamatay bhee hein tu poora nahi ker saktay .. ya wo aurtein jin kay husbands nahi hein ... n soo on .. pakistan main jo loog hein wo ziada haqdaar hein..
app logoon ki kia opinion hai is baray main???