friend_16
Age: 124
Total Posts: 10089
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
---> hum saab jaantay hein kay ye wo maheena hai jis main Hajj hota hai .. aur ye aik khas maheena hai muslims kay liay coz hajj kay baad qurabani hoti hai aur Eid atee hai ..
---> laiken Eid say pehlay .. kay jo ye days hein ye kafee imp hein ..
--->wo is tarhaan kay jo looj hajj kernay jatay hein naik neyatee say apnay gunahoon ki maufi maangtay hein aur saray waqat hajj kay deoon main ibadat kertay hein..
---> ab jo loog nahi gaiy un kay liay bhee chance hai kay wo waheen reh kay apnay gunnah mauf kerwa lein ..
---> wo is tarhaan kay in 10 deoon kay fazael hamain hadit say milltay hein ..
---> youm-e-arafaat kay baray main Hazrat Aisha (Razi-ul-anha) farmatee hein kay "youm-e-Arafaat ka din wo hai jis din saab say ziada loog mauf kiay jatay hein"
---> tu hum loog us din rooza rakh saktay hein.. Allah ka zikr ker saktay hein "Allah kay zikr say diloon ko sakoon hasil hota hai" aur sakoon kay ilawa Allah ka ajar bhee ziada milta hai.. Hazrat Muhammad (PBUH) nay farmaya "kay Allah ka itna zikr karoo kay loog tumhay majnoon kehnay lagein" .. "jaab Allah ka zikr nahi hota tu shaitani waswasay atay hein" .. aik aur jaga farmaya kay "jo Allah ko yaad kerta hai us ki masaal zidoon jaisee hai aur jo nahi yaad kerta uskki masaal murdoon jaisee hai"
--->iskay ilawa Namazein parhein aur namzoon main jo nafil hein wo bhee pooray kernein .. Qayamat kay din saab say pehlay NAMAZ ka sawal hoo ga .. aur nafil agar parhein hoon tu wo namazein jo choot gaiyeen ya jin main hum say kotahee hoo gaiyee wo namazoon kay badlay rakh dee jain ge..
--->aur in deoon main Zakat dainay aur Sadqa kerna ka ziada sawab hai.. Allah Tallah nay Quran main farmaya "kay jo risk hum nay tumhay dia hai us main say kharch karoo...."
--->aik aur jaga Hazrat Muhammad (PBUH) nay farmaya kay "Qayamat kay din koi saya na hoo ga tu sadqa insaan kay liay saya baan jaiy ga" aik aur jaga farmaaya kay "sadqa kernay main jaldi karoo kyun kay balaein sadqoon say agay nahi bharteen".. Harzat Muhammad (PBUH) apnay ghar say kisi sahil ko khalee haath na janay daitay thay..
---> 9th zilhij ko Rooza rakhnay ka bohat sawab hai aur niyaat apnay gunaah mauf kerni ki ho.. Nabi (PBUH) aik rooza pasand nahi farmatay thay is liay 2 rooza rakh lainay chahyee.. 10th ko Qurbani kerni chahyee aur Allah Tallah say dua kerni chahyee kay wo hamaree Qurbani kabool farmayee...