Age: 124
7269 days old here
Total Posts: 357
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Zindagi hmmm zindagi Its Like a Child's play... he plays with toys happy to have a new one sad to lose a dear one... then goes on... he never have time to look back even he does ... thers sympathy for his broken moments ... just 4a while... then he goes on with hope n fear for new ones...
well n when u understand LIFE u r too late to Live it...
Age: 124
7795 days old here
Total Posts: 26285
Points: 0
Location:
Lahore, Pakistan
zindagi aik aisay ghoray ki tarha hai jis per aap sawar to hain but oos ki lagam aap k hath nahin ... aap k paon oos ki rakaab main phansay hui hain kabhi jhatkay say aik paon rakaab say nikal jata hai aur hum door tak thokarain khatay hain phir doosaray jhatkay main dobara sanmbhal jatay hain....aur phir sawar ho jatay hain aur yeh chakker chalta hi rehta hai
Age: 124
7586 days old here
Total Posts: 9535
Points: 0
Location:
United States, United States
QUEEN VICTORIA said:
Zindagi kya hai............? Kya aap nay zindagi ko samajh liya.........?
ZINDAGI DAR HAQEEQAT MAIYN_E_ALFAZ MAIN NAHI LAI JAA SAKTI AKHIR KO ZINDAGI KO SAMAJHNA ITNA AASAN NAHI ZINDAGI DUKH SUKH KA SAAYA HAI JIS MAIN KHUSHI , GHUM , ANSOO MUSKURAHATEIN SAB KUCH SHAMIL HAIJIS TARAH AIK DOBTE HOWE RAAT KE BAAD AIK UBHARTA HOWA DIN HAI USE TARAH HER GHUM KEY BAAD KOI NA KOI KHUSHI HAI. BUS ZINDAGI KO SAMAJHNE KEY LIYE US KE SATH QADAM SE QADAM MILA KER CHALNA ZAROORI HAI AUR THORA HOSLA AUR SABAR ZINDAGI KI KAMYABI KI PEHLE SERRHI HAI AUR IS TARAH HER GUZARTE HOWE WAQT KE SATH AAP SAMAJH PAYAIN GE KEY ZINDAGI KYA HAI?? KYUONKEY ZINDAGI HER MOUR PER AIK ALAG RANG MAIN KHARRE AAP KEY LIYE MUNTAZIR HO GE
Age: 124
7255 days old here
Total Posts: 20
Points: 0
Location:
,
Arey aap nay ZINDAGI ko muamma bana dya, main batata hoon ZINDAGI kia hai.
ZINDAGI asal main aik QUESTION PAPER hai, jo humain solve karna hai, examiner Allah hai, aur interesting baat yeh hai kay iss QUESTION PAPER ka SOLUTION bhi humain de dya gya hai, aur hum nay is solution ko apni ANSWER SHEET par copy karna hai bas, marking is base par ho gi kay kon kitna behtar copy karta hai.
Age: 124
7258 days old here
Total Posts: 5612
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Mr annonymous nay bilkul theek kaha, mera bhi yahi khyal hai, rahi baat cheating ki tu main bata deta hoon thats another interesting point kay cheating fully allowed hai, arey seedhi si baat hai jab QUESYION PAPER aik hai, solution aik hai, aur sab kay pass hai, tu phir cheating ki zaroorat reh nahi jati, fact tu yeh hai iss exam main aik doosray ki help khud karni chahiye, yahi good will hai iss exam main, aur Allah ka hukam bhi hai.
Age: 124
7255 days old here
Total Posts: 20
Points: 0
Location:
,
mai nay nahi kaha ZEE aap hi ne tu kaha hai, mai ne tu aap ke words chori kar liye , is ke liye sorry, it was a great definition of ZINDAGI, i fully agree with it. wese herat hai aap ko bura nahi laga yeh bulkay aur explain ker diye baghair kuch kahay.