Doctor Sam
Age: 125
Total Posts: 19257
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Mujh se Pehli c Mohabbat mere mehbooob na Mang...!
main ne samjha tha k Tu hey to darakhsahan hey Hayat
tera ghum hey to ghum-e-dehr ka jhagrra kya hey
teri soorat se hey aalam main Baharon ko sabaat
teri aankhon k siwa duniya main rakha kya hey
Tu jo mil jaye to taqdeer niguN ho jaye
Yun na tha main ne faqat chaha tha, Yun ho jaye
Mujh se Pehli c Mohabbat mere mehbooob na Mang...!
Mujh se Pehli c Mohabbat mere mehbooob na Mang...!
Un ginat sadiyon k tareek baheemana talism
resham-o-atlus-o-kamkhawab main bunwaye huye
jabaja bikhray huye koocha-o-bazar main jism
khaak main lithrray huye khoon main nehlaaye huye
Laut jati hey udhar ko b nazar kya kijye
ab bhi dilkash hey tera husn Magar kya kijye
or bhi dukh hain zamanay main Mohabbat k siwa
rahtain aor b hain wasl ki rahat k siwa
Mujh se Pehli c Mohabbat mere mehbooob na Mang...!
Sung by Noor Jehan Poetry by: Faiz Ahamd Faiz
Doctor Sam
Age: 125
7302 days old here
Total Posts: 19257
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
happy to c some one with good sense of poetry, Faiz ko pasand kerne ka matlab, poetry ka acha zouq.
Infact main ne ye nazm yahan post b isliye ki thi just to find out a person with acha Zouq.
Well, ye main ne Noor jehan ki gaai hui nazm post ki thi, usmain ye lines nahi hain, correction rather addition ka shukriya,
Faiz ki Bahar aayi perhi hey aap ne Sall?