.. Sunnah, Farz, Life ..

1163 views 13 replies
Reply to Topic
Ashii

Age: 124
Total Posts: 31001
Points: 0

Location:
France, France
okkk...
here i am with a new topic,, may b kuch logon ko title sahi se samajh na aaya ho,,, but see here s my point

* Faraiz woh jo Allah ka ahkaam hai aur k kissi halat mei chorna maaf nahi hai
* Sunnah, Nabi Paak ki zindagi (in simple words)... according to my knowledge,, Khuda k diye hue ehkaam ko poora karne ka behtreen tareeka
Life,,, or i shd say our lifestyle


wot i ve noticed is hum log aksar Sunnah ko Faraiz se zyada ehmiyat dete hein,,, like roze chahe rakhein na rakhein,, par aftaar khujoor se hi karna hai aur pani 3 ghoont mei hi peena hai,,,
meri apni family mei kuch aise log hein jo k aik muslim firke ka (i wont name it) yeh keh k mazak urate hein k woh log saare din ki namaz aik wakt kazaa kar k parhte hein.. me yeh nahi kehti k aisa karna bilkulll theek hai,, but kya uss firke k log unn logon se behtar nahi jo k namaz parhte hi nahi ??????


plzzz koi gussa na ho aur mujhe pagal na samjhe par aisa hai,, Allah ka shukar hai sabb k sab log aise nahi hein but stilll...

i believe that aik muslim k liye Zinagi guzarne ka aur Islam ko follow karne ka sab se behtreen tareeka hai Sunnah pe chalna...
par yahan aik aur masla aata hai,,,,,,,,
lots of ppl believe k woh sab jo sunnah nahi hai Bidah hai....   ummm okk yarr now tell me bidah kya hota hai,, is it something worse than HARAM ???
i guess no...

my question is,,,, agar hum log Sunnah pe chalne ko itna important samajhte hein (jo k mere nazdeek galt nahi hai) to phir just for 5 minutes,,, have a look at our lives

KYA SUNNAH PE CHALNA FARAIZ POORE KARNE SE ZYADA IMPORTANT HAI ???
Posted 13 Feb 2005

Reply to Topic