~CHANDNI~
Age: 124
7848 days old here
Total Posts: 56416
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Malika-e-Dasht-e-Wafa
Emaan ke liye daulat-e-bedar hai fizza
Batil ke liye raah ki deewar hai fizza
Darbani sadaat ka mayaar hai fizza
Horoon se fuzoon sahib-e-kirdar hai fizza
Itna bara ezaaz kanizi mein kahan hai?
Zehra ne behan keh diya husnain ki maan hai
Ismat ke liye shama shabastan hoon to aisi
Seerat ke liye daulat-e-irfan ho to aisi
Taseer dar-hazrat imran ho to aisi
Zehra ki haweli ki nigheban ho to aisi
Fizza jo na chahe to kali tak nahi khilti
Jibreel-e-amin ko bhi ijazat nahi milti
Paband amal,fiqar ki amil rahi fizza
Emaan-o-aqidat mein bhi kamil hia fizza
Ta-umar ibadaat ka hamil rahi fizza
Quran ki satron bhi shamil rahi fizza
Jab soorat kaaba hamein nazar aae
Fizza bhi gilaf sar-kaaba nazar aae
Chamka hai malaik se bhi barh ker tera maqsoom
Agoosh mein palte rahe husnain se masoom
Tazeem ko uthte rahe konain ke maqdoom
Har daur mein ki tu ne madad-gari mazloom
Har yaad mughe “hin-um-minad-dahar”ka qissa
Sadaat ne aayat mein baksha tughe hissa
Faaqe ke siwa tu ne basar raat nahi ki
Phir bhi kabhi taqeer munajaat nahi ki
Tu ne to kabhi fiqar-e-makanat nahi ki
Quran ki siwa tu ne koi baat nahi ki
Kiya baat hai fizza teri tauqeer gari ki
Chadar teri masnad hai zamane mein nabi ki
Rutba wooh tughe mila hai khatoon ke gher mein
Jachti nahi dunya ki bulandi bhi nazar mein
Ejaaz hai wooh teri duaoon ke asar mein
Tasbeeh malaik mein na jibreel ke par mein
Yun bhi tere ezaaz ki takmeel hoi hai
Jannat mein bhi ahkam ki tameel hoi hai
Shamil tere hisse mein mohammad ki dua hai
Islam ko tu ne bhi sar-faraz kiya hai
Hai laik-e-tauqeer kabhi aabla-pa hai
Yeh bhed to mehshar mein khule ga ke tu kiya hai?
Jannat mein jab aae gi sharifon ki aamari
Tu lae gi khatoon-e-qayamat ki sawari
Khatoon ka gher tu ne to abad bhi dekha
Konain ke maqdoom ka dil shad bhi dekha
Iss dehar ko majmoa izdad bhi dekha
Kis tarah huwa gher wahi barbaad bhi dekha
Tughe ko to khabar hai kis kis ne rulaya hai?
Haan tu ne to zehra ka janaza bhi uthaya!