jab dil pe zakhm koi lagta hai aankhon se lahu tapakta hai gar dekhne wali aankh ho to pathar ko mom yeh karta hai
rangeen daaman ko karte hein kadmon mei sajde karte hein jo raiza raiza bikhre hein yeh kankar, la'al ya heere hein pehchaan sako to pehchano !!
yeh mere dil k tukde hein.....
jisse tum ne apnaya tha seene se yun lagaya tha k dunya jannat lagti thi tumhari khushboo mei duubi ik larki gum sum phirti thi
phir jaane tum ne kyun uss ka nazuk sa dil tor diya kuch khushiyan paane ki khatir yun tanha uss ko chor diya
tumhari khushboo mei duubi woh aaj bhi gum sum rehti hai kuch kirchi kirchi khaabon ko palkon mei chupae phirti hai kuch lamhon ki tasveeren hein kuch vaadon ki zanjeerein hein ik lams.. ik sargoshi hai jahan jhoomti thi hansi kabhi unn honton pe khamoshi hai aankhon se lahu tapakta hai rangeen daaman ko karta hai..
uss lamhe mei hai quad abhi jahan tum ne uss ko chora tha ik aas hai zinda iss dil mei ik baar tum mur ker dekho ge socho parkho samjho ge yeh kankar, la'al, yeh heere tum chun'ne ko aao ge !! jo vaada kiya tha tum ne woh poore karne aao ge !! iss zakhmi dil pe honton ka marham rakhne tum aao ge !! tum aao ge !!!!