Age: 125
7277 days old here
Total Posts: 20016
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Tere Harfoon Tere Lafzon Kay Diyay Jaltay rahain Tere Jugno Kisi Suraj Kay Liyay Jaltay Rahain Tu Bi Is Aatish Gulrang Main Soo Baar Jalay Ham Bi Is Aag Ko Gulnaar Kiyay Jaltay rahain Tere Dildar Hain, Apna Bi Koi Chao Hay KUCH AGAR HAY TO MOHABBAT HI KA PHELAO HAY
Age: 125
7277 days old here
Total Posts: 20016
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Koi Khoshbo Bikharti Hay Zameen Aur Aasman Kay Darmyan,Phelay Manazir Main Bohat Ahistagi se Jab Koi Khosbo Bikharti Hay To Aankhon Main Sitaron Ka Ajab Mela Sa Lagta Hay Hawa Sargoshiyan Pehnay Darichon Se Guzarti Hay Koi Khoshbo Bikharti Hay
Age: 125
7277 days old here
Total Posts: 20016
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Darahton Se Juda Hotay Hoay Be-Hanuma Patey Safar Aghaaz Kartay Hain To Sapnon Par Haqeeqat Ka Koi Par.Tu Sa Parhta Hay Saba, Kos-e-Qaza Ki Rah Main Zeenay banati Hay Aur Ik Be-naam Si Aahat Dabey Paun Utarti Hay Koi Khoshbo Bikharti Hay
Neya Mosam,Puraney Raaston ki Dhool Se Chehra Uthata hay To Shabnam Kasa-e-Gul Main Kaien Sikkey Girati hay Zameen Pehlo Badalti Hay Koi Khoshbo Bikharti Hay Bohat Ahistagi se Phir TERI KHOSHBO BIKHARTI HAY
Age: 125
7302 days old here
Total Posts: 19257
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
gaye dinon ki azeez batain nigaar subhain Gulaab ratain bisaat-e-dil bhi ajeeb shay hey hazaar jeetain hazaar maatain judaiyon ki hawaien lamhon ki khushk mati urda rahi hain gai ruton ka malaal kab tak chalo k shakhain toot-ti hain chalo k qabron per khoon ronay se apni aankhain hi phoot-ti hain
Age: 125
7302 days old here
Total Posts: 19257
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Inkashaaf
Na vaada hey koi Tum se Koi rishta nibhanay ka Na koi aor hi dil main Tahaiyya ya Irada hey Kai din se magar dil main Ajab uljhan c rehti hey Na tum is DaastaaN k sarsari kirdaar ho koi Na qissa itna saada hey Taluq jo main samjha tha kahein us se Zyada hey
Age: 125
7302 days old here
Total Posts: 19257
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Sadaa-e-Aashna
Teri aahat sulagti dopeher ko aik pal main sham kerti hey utarti hey sawad-e-hijr main kuch istarah jese sada-e-aashna koi ghanay, gehray, andheray junglon ki bay yaqeeni main nai manzil dikhati roshni ka kaam kerti hey