4- Special Inspiring Beauty !!

678 views 4 replies
Reply to Topic
nice_roni

Age: 124
Total Posts: 114
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
AIESA SHAYAD PEHLI BAAR HUWA HAI KE HAMARI NAZAR KISI CHEHREY PER TEHER SI GAYEE HO, HAMAREY SAAMNEY SE WO CHAHRA HAT JAANEY KE BAWAJOOD HAMARA WAJOOD USI LAMHEY KA QAIDI HOGAYA THA, HUM TAU NAIN SE HAT HI NA SAKEY, AIK SUKOOT, AIK UNMIT SA PIYAARSA SA IEHSAAS THA JIS NE HAMEIN JAKRA HUWA THA, HUM CHAHTEY HUWEY BHI WAHAN SE FARAR HASIL NAHIN KAR PARAHEY THEY, KON JEETA HAI USKI ZULF KE SURR HONEY TAK!!

AIESEE AANKHEIN NAHIN DEKHIN

AIESA KAAJAL NAHIN DEKHA

AIESA JALWA NAHIN DEKHA

AIESA CHEHRA NAHIN DEKHA

JAB YE DAAMAN KI HAWA DEIN

AAG JUNGLE MEIN LAGA DEIN

JAB YE SEHRAOON MEIN JAYE

RAIT MEIN PHOOL KHILAYE

AIESEY DUNYA NAHIN DEKHI

AIESA MANZAR NAHIN DEKHA

AIESA AALAM NAHIN DEKHA

AIESA DILBAR NAHIN DEKHA

US KE KANGAN KA KHANAKNA

JAIESEY BULBUL KA CHAHEKNA

USKI PAZAIB KI CHAMM CHAMM

JAIESEY BARSAAT KA MAUSAM

AIESA SAAWAN NAHIN DEKHA

AIESEE BAARISH NAHIN DEKHI

AIESEE RIMJHIM NAHIN DEKHI

AIESEE KHUWAHISH NAHIN DEKHI

USKI BEBAAK SE BATEIN

JAIESEY SARDI KI HO RAATEIN

UFFF YE TANYAHEE YE MASTI

JAIESEY TOOFAN MEIN KASHTI

MEETHI KOYAL SI HAI BOLI

JAIESEY GEETON KI RANGOLI

SURKH GALOON PEY PASINA

JAIESEY PHAGUNN KA MAHEENA

AIESEE AANKHEIN NAHIN DEKHIN

AIESA KAAJAL NAHIN DEKHA

AIESA JALWA NAHIN DEKHA

AIESA CHEHRA NAHIN DEKHA

TAB HAMEIN UNKO JAAN’NEY AUR KURBAT PAANEY KA MOQA MILA TAU YE JAANA KE AIESEE AANKHEIN JIN MEIN ZINDAGI HAI LEKIN WO CHAMAK SIRF LAMHA BHAR KE LIYEE THI, SHAYAD WO CHAMAK KISI KHAS ANDAAZ KI WAJA SE THI YA YE KUDARTI IEHSAAS HAI JO HUM NE PAYA, TAB YE IEHSAAS BEDAAR HUWA KE KUCH LOG KITNEY BADNASEEB AUR BADQISMAT HOTEY HEIN JO KAINAAT KO PAAKAR BHI KHO DETEY HEIN, KUDRAT TAU ZINDAGI MEIN SIRF AIK MOQA DETI HAI. KHUSHKISMATI SIRF AIK BAAR DASTAK DETI HAI AUR JAWAB NA AANEY PER APNI RAAH LETI HAI LEKIN BADKISMATI US WAQT TAK DASTAK DETI REHTI HAI JAB TAK DARWAZA KHUL NA JAYE, AGAR HOSLA NAHIN HOTA HAI TAU LOG KIYUN PIYAAR JAIESA PEKEEZA IEHSAAS KA MAZAK URATEY HEIN, KIYUN DIL KI NAGRI BASNEY SE PEHLEY AAG LAGA DETEY HEIN, DIL KI NAGRI BASTI BHI SIRF AIK BAAR HAI AUR UJERTI BHI AIK BAAR HAI, PIYAAR SIRF AIK BAAR HI HOTA HAI US KE BAAD PIYAAR NAHINUNSIYAT HOTI HAI. HUM NE UNKO AIESA PAYA JAIESEY ……. !!

KOYEE FARYAAD TERY DIL MEIN DABI HO JAIESEY

TU NE AANKHON SE KOYEE BAAT KAHI HO JAIESEY

JAAGTEY JAAGTEY AIK UMRR KATI HO JAIESEY

JAAN BAAQI HAI MAGAR SAANS RUKI HO JAIESEY

HAR MULAKAAT PE MEHSOOS YAHEE HOTA HAI

MUJH SE KUCH TERI NAZAR POOCH RAHEE HO JAIESEY

RAAH CHALTEY HUWEY AKSAR YE GUMAAN HOTA HAI

WO NAZAR CHUPP KE MUJHE DEKH RAHEE HO JAIESEY

AIK LAMHEY MEIN SIMAT AAYA HAI SADYON KA SAFAR

ZINDAGI TAIZ BUHAT TAIZ CHALI HO JAIESEY

IS TARHA PEHRON TUJHE SOCHTA REHTA HON MEIN

MEREI HAR SAANS TERY NAAM LIKHI HO JAIESEY

KOYEE FARYAAD TERY DIL MEIN DABI HO JAIESEY

TU NE AANKHON SE KOYEE BAAT KAHI HO JAIESEY

JAAGTEY JAAGTEY AIK UMRR KATI HO JAIESEY

JAAN BAAQI HAI MAGAR SAANS RUKI HO JAIESEY

TAB ! AASMAAN PER SAAREY TAARON KO JAMA KAR KEY AIK PIYAAR BHARI KIRAN BANAKAR UNSE APNA MUDDA BAYAN KEKEY DUA KI DARKHUAST KI KE AE PARWARDIGAAR MERI ZINDAGI KO WO SAARI KHUSHAIN INYAT KARDEY JO US SE LE LI GAYEEIN HEIN, USKO WO SAZA KO MAAF FARMADEY JIS KA WO KUSOOR WAAR BHI NAHIN HAI, US KA MAAN, US KA IEHTERAAM LOTA DEY, USKO HAR WO PAKEEZA JAZBA LOTA DEY JO US KA HAQ HAI, USKEY HAR ARMAAN KO TAARON KI KIRNON SE SAJA DEY, HO SAKEY TAU HAMARI HISSEY KI KHUSHAIN BHI WAHAN DEDEY AUR WAHAN KE GHAM AUR AANSOO HAMARI JHOOLI MEIN DAALDEY .. AAMEEN SUMMAA AAMEE …. TAB HALKI KI AIK KOOK AATI HAI AUR KEHTI HAI KE ……

RAAT KHAMOSH HAI CHAND MADHOSH HAI

THAAM LE NA MUJHE JARAHA HOSH HAI

MILAN KI DAASTAN DHARKANON KI ZUBAAN

GA RAHEE HAI ZAMEEN SUN RAHA HAI AASMAAN

GUNGUNATI HAWA DERAHEE HAI SADA

SARD IS RAAT KI GARM AAGHOSH HAI

MEHAKTI YE FIZA JAIESEY TERI ADA

CHAHRAHA ROOH PER JAANEY KAIESA NASAHA

JHOOMTA HAI JAHAN AJAB HAI YE SAMA

DIL KE GULZAAR MEIN ISHQ PURJOOSH HAI

RAAT KHAMOSH HAI CHAND MADHOSH HAI

THAAM LE NA MUJHE JARAHA HOSH HAI

TAB UMEED KI KIRAN HAMARI BENAYEE PER AATI HAI AUR UMMEED-E-KUBOOLIAT KI NAVEED SUNATI HAI AUR KEHTI HAI KE …….

RUKH SE PARDA UTAHDEY ZARA SAAQIYA

BAS ABHI RANG-E-MEHFIL BADAL JAYEGA

HAI JO BEHOSH WO HOSH MEIN AAYEGA

GIRNEY WAALA HAI JO WO SAMBHAL JAYEGA

TUM TASSALLI NA DO SIRF BETHEY RAHO

WAQT KUCH MEREY MARNEY KA TALL JAYEGA

KIYA YE KAM HAI MASIHA KE REHNEY HI SE

MAUT KA BHI IRADA BADAL JAYEGA

TEER KI JAAN HAI DIL, DIL KI JAAN TEER HAI

TEER KO NA YUN KHAINCHOO KAHA MAAN LO

TEER KHAINCHA TAU DIL BHI NIKAL AAYEGA

DIL JO NIKLA TAU DAMM HI NIKAL JAYEGA

IS KE HANSNEY MEIN RONEY KA ANDAAZ HAI

KHAAKH URANEY MEIN FARYAAD KA RAAZ HAI

IS KO CHERO NA ANWAR KHUDA KE LIYEE

WARNA BEEMAR KA DAMM NIKAL JAYEGA

RUKH SE PARDA UTAHDEY ZARA SAAQIYA

BAS ABHI RANG-E-MEHFIL BADAL JAYEGA

HAI JO BEHOSH WO HOSH MEIN AAYEGA

GIRNEY WAALA HAI JO WO SAMBHAL JAYEGA

TAB !! HUM NE APNI DAANIST MEIN SAMJHA YA KE ZINDAGI NAAM HI QURBANI KA HAI, HAMAREY RISHTEY HAMEIN SAB SE ZIYADA AZIZ HOTEY HEIN, UN RISHTON KI QADRO-MANZILAT HAMEIN APNI JAAN DEKAR BHI SAMBHALNI HOTI HAI AUR KHAS KAR JAB UN RISHTON MEIN MUHABBAT KA SAFAR SHAMIL HOJATA HAI ….. AIESEY !!

BARI NAZUK HAI YE MANZIL MUHABBAT KA SAFAR HAI

DHARAK AAHISTA SE AE DIL MUHABBAT KA SAFAR HAI

KOYEE SUN LE NA YE QISSA BUHAT DARR LAGTA HAI

MAGAR DARNEY SE KIYA HAASIL MUHABBAT KA SAFAR HAI

BATANA BHI NAHIN AASAAN CHUPPANA BHI KHATTHIN HAI

KHUDAYA KIS QADAR MUSHKIL MUHABBAT KA SAFAR HAI

AUR PHIR WO HEE HASEEN ARMAAN AUR JAZBAAT PARWAN CHAHRTEY HEIN JIN SE IBTIDA HUWEE THI HAMARI BANDAGI KI ….

BUHAT !! KHOOBSOORAT HEIN AANKHEIN TUMHARI !!

AGAR HO INAYAT AE JAAN-E-MUHABBAT

BANA DIJEYE IN KO KISMAT HAMARI

JO SAB SE JUDA HAI WO ANDAAZ HO TUM

CHUPPA THA JO DIL MEIN WO HEE RAAZ HO TUM

TUMHARI NAZAKAT BANI JAB SE CHAHAT

SUKOON BAN GAYEE HAI HAR AIK BEQARARI

BUHAT !! KHOOBSOORAT HAIN AANKHIN TUMHARI

NA THEY JAB TALAK TUM HAMARI NAZAR MEIN

NA THA CHAAND SHAB MEIN NA SOORAJ SEHER MEIN

TUMHARI IJAZAT TUMHARI HUKUMAT

YE SARA DAGAL HAI YE DHARTI HAI SAARI

BUHAT !! KHOOBSOORAT HEIN AANKHEIN TUMHARI

AGAR HO INAYAT AE JAAN-E-MUHABBAT

BANA DIJEYE IN KO KISMAT HAMARI

ZINDAGI KO AASAAN BANA SAKTEY HEIN SIRF ZARA SI HIMMAT, ZARA SA APNA PANN, ZARA SA PIYAAR AUR ZARA SA KISI APNEY KA APNEY PAAS HONEY KA IEHSAAS, HUM KO ZINDAGI MEIN LOTADETA HAI, HAMARI ROOTHI KHUSHIAN HAMEIN WAAPIS MILJAATI HAIN, AUR PHIR WO YAADEIN ITNI MUSARRAT DETI HAI AUR YAADEIN YAADGA
Posted 04 Mar 2005

valandrian says
bd34643bd34643bd34643bd34643bd34643bd34643bd34643bd34643bd34643bd34643bd34643bd34643bd34643bd34643bd34643bd34643bd34643bd34643bd34643bd34643bd34643
bd34643bd34643bd34643bd34643bd34643bd34643bd34643bd34643bd34643bd34643bd34643bd34643bd34643bd34643bd34643bd34643bd34643bd34643bd34643bd34643

bd34643
Posted 08 May 2018

Posted 17 Sep 2018

Posted 21 Oct 2018

Posted 09 Nov 2018

Reply to Topic