’’ URDU ’’

5808 views 89 replies
Reply to Topic
Ashii

Age: 124
Total Posts: 31001
Points: 0

Location:
France, France
yarrr.. aik baat jo me ne notice ki
hum pakis iss kadar kharab URDU kyun bolte hein,, matlab k aik jumle mei 50% english k lafz hote hein
KYUN ???

jo log europe america mei rehte hein unn ki baat to chalo aur hai na,,, par sabbb se ghapla pak mei rehne waale karte hein,,, no exception,,
yahan tak k anparh log bhiiii

urdu channels dekh lo,,, presenters itna ghayta accent mei bolte hein k mu tor dene ka dil karta hai,,, aise jaise kissi angreiz ki olad hon,,,

achaaa naaaaaa,, mujhe pata hai,, me konsa kam hu,,, iss post mei bhi kafi english lafz hein
par aisa kyun hai




humein yeh baat nahi bhoolni chaiye k URDU sirff pakistan mei boli jati hai ya phir india mei,, wahan ka haal yahan se bhi gay guzra hai,, iss tarha to kuch arse baad our language will b a dead language
Posted 06 Mar 2005

Bazigaar says
mae to israel se hoon...what can i say..bas bol he leta hoon
Posted 07 Mar 2005

Awaaara says
LoG sHoKhE hO gaYe HaIn
Posted 07 Mar 2005

Badal says
hmmmm, thats true, is tarah urdu almost dead hi ho jaeygi, par yeh kusor bhi tu urdu ka hi hai, it can accept any word from any language. urdu khud bhi tu kai languages say mil kar bani hai. kasor logoon ka ye hai kay wo half sentence english half urdu main boltay hain.

waisay ye accent wali baat aap nay sahi nahi kahi, kyunkay logoon ka lehja different hota hai aur kuch us language ki bhi requirement hoti hai, maybe i am wrong.
Posted 07 Mar 2005

Ashii says
""urdu khud bhi tu kai languages say mil kar bani hai""
name me one language jo khud se ban gai ho ???
english french spnish german,,,, inn sab ki base greek, latin aur germanic hein
arabi k bohot se word hebru se milte hein,,, akeli urdu to aise nahi hai


i think u didnt get me,,, accent se matlab english accent ka tha,, if u r a paki born in an other country tab to samajh aati hai,,, par loook at all thes ptv/ary presenters,, iss kadar bure tareeke se bolte hein k sir peetne ka dil karta hai
if someone speak english in a weird accent ppl ll laff at him/her... calling them paindu,,, par koi urdu ko eng lehje mei bole to aikk dammm cooooooooool lagta hai
Y

not much ppl read urdu litterature,,, aur poetry,,, hadd hai yar,,, faiz tak ko nahi jante log,, baki ka hashar bigar diya hai indi movies nei,,,

HUM LOG APNI ASLIYAT SE ITNA KYUN SHARMINDA HEIN
Posted 07 Mar 2005

"urdu" turki zaban ka lafz hai jis k mani hain "lashker"

is main bohat si zubanaon k lafz shamil hain jis main hindi arbi farsi waghaira shamil hain

hum jo urdu boltay hain woh asli urdu ka shayad 25 feesad bhi nahin

waisay main akser koshish karti hoon k mukamal aur theek urdu bolon
Posted 07 Mar 2005

khansak says
URDU nahi mer sakti. Shoa'ara (urdu poets) zinda hain and Urdu Zuban ko bi zinda rakhin gay.
Posted 07 Mar 2005

Ashii says
koshish to meri bhi yehi hoti hai queeeny par zuban phisal jati hai kabhi kabhi


yep u r rite,, urdu turkish word hai jiss ka matlab hai LASHKAR,, yeh language bohoott zyada purani nahi hai,, when turkish aur persians sub continent mei aae to unn ki fauj mei bohot se nationalities k log the,,, turkish, persian, arabian, indians,,,
our URDU BAZARS mei kitabein bikni bohot baad mei shuru hui,,, basically yeh jaha fauj k rashan k liye istemal ki jati thi,,
how funny




khannn
urdu shoara ko koi parhe ga tab naaa,,, hamare haan parhna parhana sirfff school college univ tak mehdood hai
kitabein shairi yeh sab bohooott kam parhi jati hein,,
kuch arsa pehle me ne aik topic post kiya tha,, "ur fav book"
most of members answered "quran pak"
and the rest said itna time nahi hota
Posted 07 Mar 2005

Doctor Sam says
Darasal baat ye hey sall,

k kuch alfaz hamari routine ki baaton main itne mix ho gaye hain k hamain khud bhi nahi pata chalta, aor ab to jese farq hi khatam ho gya hey,

iski aik waja ye bhi hey k shayad ye hamara EHSAAS-E-KAMTARI hey.

english zaroor seekhain zaroor bolain, lekin apni zabaan ko bhi ehmiyat dain.... jo hum nahi dete...
Posted 07 Mar 2005

Doctor Sam says
mujhe khushi hey k aap ne is baat ko ehmiyat di...



ye sirf sochnay ki baat hey, agar hum soch lain to shayad sudhar bhi jaien

Posted 07 Mar 2005

Tv Ti Baat Talen Chall to Wo To PatA hi Hay tay Dusey Channels Ti Copy Kartey Hain Na,,, And Puri Koshish Main Hotay Hain Khud Ko Farangi Sabit Talnay Main

Jahan Tak aam Logon Ti baat hay To Wo Bi Media Tay asar main Hain,,, English Lang Fasion Ti Tarha Use Hoti Hay Ab To Na ,,, Ab Paki Tion Pichay Lahain    

Jahan Tak Baher Ti Countries Ti Baat Hay To
Wo To Ziada Kasoor Parents Ta hota hay ,,,
Hamari Family Main To Ghar Par Kids To Toi Norwegian Nahi Bolnay Deta Tay URDU BOLOOO khekhe APNI zuban Bi Nahi Ati etc Etc
Norwegian Sirf School And Friends Tay Saath

To Aicha Talain Chab To Kion Nahin Bolain Gay Thek Urdu Sab
Jin Logon Ko Apni Rawaeton Ki Kadar Hay And Payar Hay Wohi Urdu To Zinda rakhain Gay Na Chall

Khekhe Main Thak Dai Ab To
Posted 07 Mar 2005

Doctor Sam says
kArObi_sA said:

Tv Ti Baat Talen Chall to Wo To PatA hi Hay tay Dusey Channels Ti Copy Kartey Hain Na,,, And Puri Koshish Main Hotay Hain Khud Ko Farangi Sabit Talnay Main

Jahan Tak aam Logon Ti baat hay To Wo Bi Media Tay asar main Hain,,, English Lang Fasion Ti Tarha Use Hoti Hay Ab To Na ,,, Ab Paki Tion Pichay Lahain    

Jahan Tak Baher Ti Countries Ti Baat Hay To
Wo To Ziada Kasoor Parents Ta hota hay ,,,
Hamari Family Main To Ghar Par Kids To Toi Norwegian Nahi Bolnay Deta Tay URDU BOLOOO khekhe APNI zuban Bi Nahi Ati etc Etc
Norwegian Sirf School And Friends Tay Saath

To Aicha Talain Chab To Kion Nahin Bolain Gay Thek Urdu Sab
Jin Logon Ko Apni Rawaeton Ki Kadar Hay And Payar Hay Wohi Urdu To Zinda rakhain Gay Na Chall

Khekhe Main Thak Dai Ab To



Nice karobi

wese agar hamaray teachers aor parents chahain to aik eham kirdaar adaa ker saktay hain....

Posted 07 Mar 2005

Doctor Sam says
chalain hum hi aik kaam kion na shurooo kerain

kam az kam is Topic (Mozu) main baat kertay huye hum koshish kerain ge k poori Urdu main baat kerain...

kion g kya khayal hey...?
Posted 07 Mar 2005

khansak says
bara accha khayal hai. aab iss mowzoo main engrazi ka koi lafz istimal na kerna.
Posted 07 Mar 2005

Doctor Sam says
theek hey G

koshish kerain ge k na ho
Posted 07 Mar 2005

khansak says
ye sirf sochnay ki baat hey, agar hum soch lain to shayad sudhar bhi jaien


Agr potroun kay bigray hain tu sudharna namumkin tu nahi lakin mushkil zaroor hai.
Posted 07 Mar 2005

wo tu aap bhi english lafz use kar rahi ho
Posted 07 Mar 2005

Ton Main Chaluth?

Di Haan Tion Tay Apni Urdu Phil Bi Itni Athi Nahin Na

Posted 07 Mar 2005

khansak says
shahrukh khan said:

wo tu aap bhi english lafz use kar rahi ho



yeh kis ko lika hai bai, main nay tu koi ghair mulki zaban ka lafaz istimal nahi kiya
Posted 07 Mar 2005

Ashii says
meri apni halat to sab se buri hai
iss liye k jab hum dost/behen/bhai bolte hein to french, eng, urdu,, sabbb ka kachoomra nikal dete hein




yar eitraz angrezi bolne pe nahi hai,, matlab k aik urdu k jumle mei angrezi ka tarka bhi lagate jaate hein,,
yeh theek nahi lagta

hmmm,, abhi se me koshish karu gi,, angrezi ka paivand na lagane ki
Posted 07 Mar 2005

Ashii says
Bazigaar said:

mae to israel se hoon...what can i say..bas bol he leta hoon


hum logon ko sharam aani chaiye
isreal k rehne waale itni theek urdu bol lete hein,, to phir hum logon ko kya takleef hai
Posted 07 Mar 2005

Ashii says
theek kaha balich,,,
mera chota bhai france meipaida hua hai,, par aisi fit urdu bolta hai k pak mei logon ko shak bhi nahi hota k yeh france se hai


meenu ko bhi hum ne teeno zubanein sikhani hai Insha Allah
Posted 07 Mar 2005

lolz...he lives in canada...not isreal
Posted 07 Mar 2005

khansak says
Lahore main aik sahib auto rikshaw walay say ler rahay thay aur aakhir main unhon nay dhons di kay "you don't know me, I'm the Head of the Urdu Department in Punjab University" Iss ko aap kiya kahin gay? Urdu ka alalim or dhons angrazi main...
Posted 07 Mar 2005

Ashii says
ufff ho sarrruuuu
he said 'im from israel'
kya naaaa,,, sarial hi rehna tum


hahahhaaa....
khan angrezi mei dhons dene ka alag maza hai,, hamarelog impress jaldi ho jate hein,,, han albatta gali punjabi mei hi dete hein
Posted 07 Mar 2005

SALL said:

ufff ho sarrruuuu
he said 'im from israel'
kya naaaa,,, sarial hi rehna tum


hahahhaaa....
khan angrezi mei dhons dene ka alag maza hai,, hamarelog impress jaldi ho jate hein,,, han albatta gali punjabi mei hi dete hein



he is from canada...
Posted 07 Mar 2005

apni besti kar rahi ho
Posted 07 Mar 2005

But Meri Urdu Tholi Kashmiri Mix Hay But Ham Kids And Apas Main Bi Diada Tal Urdu Hi Boltay Hain

English To Chilph Net Pal Hi Use Hoti Hay Coz Easy To Write Na And Yah Bi tay Agla Banda Samajh Bi Jaey Kuch Hamali Baat Asaani Chay

daitha meli urdu ti grammer Bi norwegian ho dai hay

" Aik Dafa Ait Indian Nay Mudhe Taha, Wow Aap ti HINDI titni athi hay khekhe
Ham Nay Taha Di ITS URDU "
Aday Chay Bolti Band khekhe
Posted 07 Mar 2005

khansak says
yeh canada aur israel pakistan main kahan per hain? Khunkay Narowal kay akser log apnay aap ko Norway ka batatay hain.
Posted 07 Mar 2005

khansak says
SALL said:

hahahhaaa.... khan angrezi mei dhons dene ka alag maza hai,, hamarelog impress jaldi ho jate hein,,, han albatta gali punjabi mei hi dete hein



Mashoor novel nigar Mushtaq Ahmed Yousfi apni aek kitab main liktay hain "gali, ginti aur ganda latifa apni madri zuban main hi maza datay hain"
Posted 08 Mar 2005

khansak said:

yeh canada aur israel pakistan main kahan per hain? Khunkay Narowal kay akser log apnay aap ko Norway ka batatay hain.



Then I Am Phlom Narowal
Posted 08 Mar 2005

Reply to Topic