media vs society

6570 views 52 replies
Reply to Topic
Ashii

Age: 124
Total Posts: 31001
Points: 0

Location:
France, France
umm,,,
media : including bolly wood, lolly wood, dramas, music, books and even our folk litterature
(i named bolywood coz yeh hum logon ki first hobby hai,, and lollywood,,, arey yar aap acha kaho ya bura but bohott log dekhte hein yeh movies agar na dekhte hote to yeh industry kab ki khatam ho chuki hoti)

society : well,, def ki zarorat nahi hai,, yani k HUM LOG


i sometiems feel k media sirfff aik propoganda hai,, nothing else,, lemem tell u reasons

1/ i read somewhere that books aur movies mei jo shaks "kaido" ka role karta hai usse villain kehte hein aur "ranjha" is the hero,,
but real life bilkul opposite hota hai.. Y ??
hamare apne parents heer ranjha, laila majnu type ki stories k fan hein,,, but they cant imagine their own daughter/sister doing same thing




2/ being a gal i always notice discrimiation towards women,, sirf hamare han nahi poori dunya mei yeh aik aam si baat hai,, khair back to media
hamari movies mei,, chahe woh boly movies hon heroine chahe kitttnnniiiiiiii bhi "modern" ho but she ll alwys b a 'satti savitri' u know wot i mean,,
(there r always few exceptions offcourse)
uss mei zyada se zyada yeh burai hogi k woh bohooottttt magroor ho

bohot si movies mei hota hai k hero is a bad guy,,, A REALLL BAD GUY (sharab, jua, gals, chori) but a gal's love changes him.. magar heroines chahe kissi brothel mei pali ho, hogi woh hamesha 'achi larki'
Y ??
kya mard k pyaar mei itni takat nahi hai k woh aik galt larki ko chang kar sake ??

if she s a dancing gal to first man in her life is the hero
even if a gal is abused in a movie to woh hamesha mar jati hai,, suscide most of the time,,,
DOES IT MEAN AN ABUSED or 'BAD' GAL HAS NO RITE TO LIVE ??


Posted 11 Mar 2005

Badal says
arey baba realities ko daikhain, aur realities ko media say compare mat karain

waisay yeh 'satti savitri' kon hai
Posted 11 Mar 2005

Ashii says
uff ho,,,
stoooopid
kehne ka matlab yeh k jab hum dil se aik cheez ko pasand nahi karte to usse dekh k khush kyun hote hein
isnt it our frustration


satiii savitri,,, ohh han,, hamare han usse kya kehna chaiye,, hmmmmmm,, NAIK PARVEEN
Posted 11 Mar 2005

Blue Oasis says
Sall I it's all about what sells. The Mills and Boon sterotype of the good girl who changes the bad ass guy or the the pure gentle girl who loves the bleek Samurai is apparently a romantic notion and one which people like to see.

When the tables are turned, it apparenty becomes less romantic and more 'shame-less'. the whore is a whore who doesn't deserve love becauses she sells her body, whatever circumstances put her there, plus the guy who does love tends to be a man cheating on his wife, in which cause the whore is also blamed because she seduced him. People like having someone in the movie to hate as well.

A tried and proven formula which gets people to buy theater tickets, and again this is all the producers are interested in.
Posted 11 Mar 2005

Freddy says
1/ i read somewhere that books aur movies mei jo shaks "kaido" ka role karta hai usse villain kehte hein aur "ranjha" is the hero,,
but real life bilkul opposite hota hai.. Y ??

kya opposite hai ??real life mei kaedoo hero hai ore ranja villan ????
agar hai tu.....movies mai kaedoo ko villan dekhanay ka reason ye hai kay hum loog buray aadami ko uss kay mun paar boora nahi keh saktay..woe kya hai na kay goli shooli wajnay ka hatra ho jata hai.........magar hum dil sei unheen bura samajtay hain......wohi chupay hoyee jazbaat jub movie mei dekhayee jatay hain tu hum apnay dil ki bharass nikal letay hain.........ess leye socity ore films mai ye difference hai.......aik zamanay mei amitab ki films bohot hit jatii thi......mostly story ye hoti thi kay hero ki behen ki koi izzat loot leeta hai or hero uss ka badla leenay kay leye tara tara kay kartaab dekhata hai............offcourse hero aik ghereeb aadmi hota tha......uss zamanay mai india mai larkioon ki izaat lotna aik aam sei baat ho geye thi...................jo lotata tha woe takatwar hota tha.........kamzoor uss ka kuch nahi bigar sakta tha.....ess leye jub aestara ki movies bani tu bohot pasand ki geye..khaas kaar ghareboon mei...unheen apnay jazbaat nikalnay ka moka mil geye........ore producers ko tijoriyaan bharnay ka....







2/ being a gal(aab itna be jhoot na bolo...seedha seedha girl he keh deya kekekekek) i always notice discrimiation towards women,, sirf hamare han nahi poori dunya mei yeh aik aam si baat hai,,


khair back to media
hamari movies mei,, chahe woh boly movies hon heroine chahe kitttnnniiiiiiii bhi "modern" ho but she ll alwys b a 'satti savitri' u know wot i mean,(no i don't know what you mean..zara samjana tu kekekekeke), (there r always few exceptions offcourse)
uss mei zyada se zyada yeh burai hogi k woh bohooottttt magroor ho



kue kay jo saati savitri nahi ho gey.....hum uss kay sath friendship tu kaar saktay hain paar shaadi vaadi nahi........essi leye tu sahalyeen shaadi sei pehlay dulhan ko samjati hain....behan haar cheez apnay husband ko bata deena magar tumhara kisi kay sath chakar raha hai ye nahi batana...........woe kya hai na kay hum mard loog ess mamlay mai thoray sensitive shensitive hotay hain kheer sei.......


bohot si movies mei hota hai k hero is a bad guy,,, A REALLL BAD GUY (sharab, jua, gals, chori) but a gal's love changes him...
(ma kay paeet sei bura koi be nahi paeda hota....bachpaan sei he talakh tajurbaat,ma baap kay ghalaat ruvayee ..logoo ki chubti hoyee bateen,shafqat ka na milna, unheen socity sei bhaghi kaar deti hai..ore unheen hum shareef loog bura aadmi ya badmash wagera kehtay hain.......buss wohi pyar unheen jub kisi aurat sei milta hai tu un kay aandar ki woe kuchli hoyee rukh..sokoon panay lagti hai....duniyaa acchi lagnay lagti hai....uss mei jeenay ki khusaesh paeda hoti hai....tu woe khud he change hota jata hai........ususally aik badmash kisi na kisi tavaeef ka dewana zaroor hota hai......kue kay woe normal loog nahi hotay ess leye pyar ki kami ko poora karnay kay leye jhootay,masnoyee saharay letay hain.......zaroori nahi kay woe pyar unheen kisi aurat sei he milay......baaz janwaroo sei pyar karnay lagtay hain...baaz parendoon sei ore baaz darendoon sei...ore enn chezon ko insanoo pay tarjeh detay hain........so we call them a bad guy...halakay woe hamara keya he hameen lota rahay hotay hain



magar heroines chahe kissi brothel mei pali ho, hogi woh hamesha 'achi larki'
Y ??

uppar walay comment pay aik baar phir ghor keya jayee.......usually ye hota hai khas kaar teens mai kay woe jub movie dektay hai tu agar larki hai tu woe apnay app ko heroien ki jaga dekhti hai....larka hero ki jiga..........tu larkay hamesha ye he chahta hain kay un ki gf sirf un sei pyar karay kisi ore sei nahi...sirf un ki taraf dekhay wagera wagera............halankay woe ye baat jantay hain kay aik tavaeef ki zindagi mei woe pehlay aadmi nahi mager woe phir be ess khush fehmi mai rehna chahtay hain kay woe sirf un ki hai(i don't know ess mi kon sei navseyaati girah hai...maybe bachpan mei pyar ki kami wagera)

(aab loog sayanay hotay ja rahay hain....aab movies mei ye trand chala hai kay larki ki pehlay kisi sei mangni ya shaadi vagera ho chuki hoti hai ore uss kay baad koi ore us ki zindagi mai aa jata hai.....zaher hai aab aik larki or woe be mashriki 2oe,2oe sei pyar tu nahi kaar sakti ess leye qurbani ka bakra pehlay wala banta hai....kabi kabi 2sra be baan jata hai)


kya mard k pyaar mei itni takat nahi hai k woh aik galt larki ko chang kar sake ??
tumheen kis nei keh deya mard pyar karta hai ?????kekekeke





if she s a dancing gal to first man in her life is the hero
aesa sirf teens kay sath hota hai.........jis larkay nein pehlay aankh maaar dei....saza kay toor pay sari zindagi uss ki jaan nahi choorni......wohi baat kay zeyada movies teens dekhtay hain....ess leye unheen kay jazbaat dekhayee jatay hain most of the movies mai.....


even if a gal is abused in a movie to woh hamesha mar jati hai,, suscide most of the time,,,
DOES IT MEAN AN ABUSED or 'BAD' GAL HAS NO RITE TO LIVE ??
kue kay kue kay kue kay.............................haam kabi be ye nahi chaheen gey kay hamari auraat ko pehlay kisi nei choaa ho.......hum movie dekhtay hoyee hero ki jaga pay hotay hain ess leye hameen sachi savitri mil jati hai ore woe larki hamari jaan bachatay hoyee jamay shahadad nosh farmati hai......jisay hum baad mai kabi yaad be nahi rukhtay........agar bach jayee tu kisi comedian kay hisay aa jati hai....ya phir kahi doooooor chali jati hai.......

conclusion ye hai.....films mai hum wohi dekhtay hain jo hamaray mashera mai hota hai..........kisay kay culture ko janana ho tu un ki movies dekhoo...........
Posted 12 Mar 2005

Bazigaar says
sab fraud hae
Posted 12 Mar 2005

Ashii says
hum aap ki post ka jawab baad mei dein ge freddy
thnx
Posted 13 Mar 2005

Bazigaar says
maybe what u think is not intelligent is intellegent for that person who replied and when u open a topic, u can't stop anyone like that
one example of media and society
Posted 14 Mar 2005

Ashii says
hmmmmmmmmmmm..
aap ki baat se mujhe itna samajh aaya freddy k
hum log kyunke bohot BUZDIL hein iss liye jo khud kar nahi sakte usse cinema screen pe dekh k khush ho jate hein
am i rite ??



agree to ur BAD GUY definition,,
i beleive koi shaks (man or woman) bura nahi hota,, sirf direction aur lead karne ki zaroorat hoti hai,,


"films mei hum woh dekhte hein wjo hamare maashre mei hota hai"
hmmm,, sahi,, aur galt
movies mei wohi hota hai jo hamari society ka hissa hai
par movies ka END woh hota hai jo hum kar nahi sakte aur apni kam-himmati ko chupane liye screeen pe dekh k khush ho jate hein



as jia said
""When the tables are turned, it apparenty becomes less romantic and more 'shame-less'""
hehehehhehehee...
hansi hi aati hai itne dogle pan pe... par kya karein its part of OUR culture



AGRRREEEE bazu
wakai sab fraud hai
Posted 14 Mar 2005

SALL said:

........kya mard k pyaar mei itni takat nahi hai k woh aik galt larki ko chang kar sake ??.......



hmmmm

aaj abhi takk ka pehla serious topic nazar se guzra hai.

pehle to main yeh kehna chahta hun ke aap aik baat bhool gayi haiN, jo ke filmon me aur reality me aik hi hoti hai. musalman (abdul). ji haan musalman hamesha indian movie me hero par qurban ho jata hai jaisay koi afroamerican hollywood ki movies me, goli kha kar aur kalima parrh kar. khair yeh to joke tha.

serious baat par: faudiya saheb ne apne farudya hone ke bawajood buhat si achi baaten ki hai, najaanay konsa fraud khela jaraha hai.

i just wanted to comment on one of ur comments, sall.
aap ne poocha ke kya mard ke pyaar me itni taqat nahi hoti ke kissi larrki ko badal sake.
yeh ajeeb si baat ki hai aap ne. mere khayal me kissi ke pyaar me koi taqat nahi hoti kuch bhi change karne ko. yeh jiss taqat ka zikar ho raha hai yeh uss insan me hoti hai jo apne aao kochange karta hai. agar koi mard khud ko kissi larrki ke liye change karta hai to yh to mard ka hausla hai, kionke uss ne taqat ka izhar kiya khud ko badal kar, larrki ne kya kiya? siraf khwahish ke mard change ho jaye?
issi tarah agar koi mard larrki e yeh chahe ke woh badal jaaye to yeh kya taqat ka izhaar hua janab? yeh to balke buzdali hui ke aik to pyaar ka izhar aur doosri taraf ajeeb ajeb si khwahishat ke aisay hojao waisay hojao wagheira wagheira. aur ab agar larrki hi khud ko na badal sake to iss me bechare mard ka kya qasoor. kamzor to iss se larrki sabit hui, na ke mard. kehna ka matlab siraf itna hai ke taqat ka assal izhar woh insan kar raha hota hai, jo kud ko badal raha hota hai (mard ya aurat), na ke pyaar ka siraf khali alfaz me izhar karne wala.

ummeed hai aap samajh jayengi ya mujhe samjha paayengi.
Posted 09 Apr 2005

Ashii says
i shd say aap ki nazar kamzor hai dj

baat media ki ho rahi thi,,
waise jo aap ne bollywood movies mei "kurbani dene waale muslim" ki baat ki to yeh to samajhne ki baat hai,, yeh to aik damm pure political chaal hai,,, wohi muslim ab movies mei terrorist kyun ban gae hein ??
its simple,, uss zamane mei indian gvt ki policy kuch aur thi,, muslims ko raam karne ka tareeka tha,, jaise kuch saal pehle Rajhastan was in fashion,, and now Punjab (sikhs)
bager reason k kuch nahi hota



and now ur long paragraph,,,,,,, kya naa,,,
pooooora topic chor k aik baat ko pakar liya aap ne
mujhe aap ki post sahi se samajh hi nahi i waise

i ll read it later and will try to answer it

Posted 15 Apr 2005

Bazigaar says
ye sab media ka kamal hae
Posted 16 Apr 2005

Ashii says
hmm,, got it dj
kehne ka matlab yeh nahi tha k larki change nahi hoti
matlab yeh tha ka koi mard usse change karne ki koshish hi nahi karta

i hope mujhe sahi samajh i aap ki baat

Posted 18 Apr 2005

SALL said:

hmm,, got it dj
kehne ka matlab yeh nahi tha k larki change nahi hoti
matlab yeh tha ka koi mard usse change karne ki koshish hi nahi karta
i hope mujhe sahi samajh i aap ki baat



hahah i got a very funny jawab to this.

asal me baat yeh hai ke kuch cheezen badli nahi jasakti, like the security lacks in wondows, like the tail of dogs, like pisa tower in itlay, like guzra hua bachpan, king ka diya hua faisla, like maulwi ka diya hua fatwa(khair yeh to har roz badalta rehta hai), or like marra hua insan, kuch insanon ki himaqat, D.L. ki banai hui chaaye. wagheira wagheira wagheira (taaliyaN)
Posted 03 May 2005

Ashii says


answer to hamare paas bhi hai
but it s not that funny
dil pe lage ga tha kar k
Posted 09 May 2005

Who said media's art? Its a commercial transaction! a poltical and governmental tool! rich man's keep.

Movies... show only what they want to show. its no art, its the artistic performance of artists purchased to create effects and to tinker emotions.

Sonia Gandhi claimed India conqured Pakistani culture with deep inroads into it.

Implementation: most will not be able to do it. Smooth_daddy38484.8720138889
Posted 10 May 2005

Ashii says
Smooth_daddy said:

Sonia Gandhi claimed India conqured Pakistani culture with deep inroads into it.



sochne ki baat hai



Smooth_daddy said:

Implementation: most will not be able to do it.


and y notttttt...
Posted 12 May 2005

SALL said:

Smooth_daddy said:

Sonia Gandhi claimed India conqured Pakistani culture with deep inroads into it.



sochne ki baat hai



Smooth_daddy said:

Implementation: most will not be able to do it.


and y notttttt...


Pak people find glamor so much in Indian culture that pakis have absorbed many aspects of that culture. Subtle absoprtions which seem insignificant but they alter the outlook of a society. Paki society is a case in perspective.

To resist media on-slaught and what it glamorises and kindles desires for, it takes a well rounded, morally sound and firmed in belief person. Do you think most people fall in that category? I say they don't, and thus they will succumb to temptations.
Posted 13 May 2005

Ashii says
hmm,,, tell me one thing
wot do u think galti pe kaun hai,, ya zyada galti kiss ki hai
MEDIA (or indian policy) or HUM LOG ??
Posted 14 May 2005

We are at greatest fault. Our weekness allows their policy maker to create media glamour that captivates our thoughts and intelligence.
Posted 16 May 2005

Ashii says
thnx GOD,,
i bet koi aur answer karta to indians ko galiyan deta

Posted 19 May 2005

Because we don't seek guidance from its source. Quran tells us 'On the day of accounting, people will blame satan for their wrong doing and satan will respond saying ' I only invited you but you did what you did with your own choice'"...
Posted 20 May 2005

Ashii says
SDDDDDDDDDDDDDDDDDDDDDDDDDd...
aap ne hamre dil ki baat keh di
aik dammmmm,,
this is wot i alwaysss say,, par koi samajhta nahi
gunahgar insaan hota hai,, shetan ka to kaam hi behkana hai

u r the best jb member,,
sach
Posted 20 May 2005

Then why don't we seek guidance, strength and peace from Quran? Then why do we want to indulge in immorality? Why pleasing people is dearer to us than pleasing the One Who provides sustenance when people provide nothing?
Posted 25 May 2005

Ashii says
bcoz then we ll have to quit seeking money, power
our desires

colorlesss life





u know wot,,, in reality life is not that colorless without all these earthy pleasures like money, power, fame, beauty
but how to renounce love,, how to stop praying for someone's company
how to live ONLY for Allah
mushkil hai na
Posted 31 May 2005

Ashii says
ppl provide nothing
but khud ko sab ki nazar mei uncha dekhna,,,
hehehehe,,
yeh hai sab fasad ki jar

vanity
Posted 31 May 2005

well, we just assume its hard without ever giving it a chance. It simplifies life and its styles.
Posted 31 May 2005

Ashii says
we r world addicted
koi hai jo ilaaj kare
Posted 31 May 2005

Addictions of body and sole are different. Its only a matter of change of hearts.
Posted 01 Jun 2005

Ashii says


do u think if we pray a lottt for someone
that person's heart/soul can change
??
Posted 03 Jun 2005

prayers must be matched by action. Pray but also help that person. Its a great tool and connection with the creator and shall never be underated.
Posted 05 Jun 2005

Reply to Topic