Question..

3041 views 36 replies
Reply to Topic
Ashii

Age: 124
Total Posts: 31001
Points: 0

Location:
France, France
Islam mei mard ka darhi rakhna FARZ hai ya SUNNAH ??
Posted 21 Mar 2005

friend_16 says
jahaan taak mainey parha hai is main different views hein .. kuch imaam kay nazdeek ye farz hai aur kuch kay nazdeeek ye sunnat hai ...

kuch history bhee hai kay pehlay saab loog darhi rakha kertay thay tu aik cristian (father) i dont remember his name .. unhoon nay muslims aur christians ko differentiate kernay kay liay christians ko bola kay wo darhi na rakhein .. agar ab christians darhi nahi rakhtay aur hum muslims bhe nahi rakhtay tu phir ye tu un ki similarity hoo gaiy aur non-muslims say similiraity kay liay mana fermaya hai..

Posted 21 Mar 2005

agar ALLAH ki taraf se hota tu farz hota like namaz...zakar..haj etc...yeh HAZRAT MOHAMMED (PBUH) KI TARAF SE HAI...YEH SUNNAH HAI...
Posted 21 Mar 2005

Badal says
jee bilkul ye Farz nahi hai Sunnah hai aur sirf humaray Nabi ki hi nahi bulkay tamam Ambia ki sunnat hai, isi liye is ki importance farz jaisi hai.
Posted 21 Mar 2005

friend_16 says
par phir bhe farz hai kay sunnat .. coz kaafi logoon say pocha hai kuch kehtay hein farz hein kuch sunnat..

srk sunnat main bhee kuch cheezein farz hoti hai..
Posted 21 Mar 2005

sunnat main bhee kuch cheezein farz hoti hai.. ---> like?
Posted 21 Mar 2005

Ashii says
confusion hai na yarr
kafi log kehte hein k yeh sunnah hai..
sunnah se matlab k aisa karna farz nahi hai,, karo ge to sawab hoga nahi to koi gunah nahi
RITE ???



but i read somewhere k mard ka darhi shave karna aisa gunah hai jo harr wakt amaal mei likha jata hai
2nd thing,,, mard ka takhne dhakna.. iss k baare mei bhi kuch aisa hi likha tha k yeh hissa jahanum ki aag mei jale ga agar dhaka jae
Posted 21 Mar 2005

sunnah se matlab k aisa karna farz nahi hai,, karo ge to sawab hoga nahi to koi gunah nahi---> wrong..sunnah means key agar karo gey tu sawaab milega...nahi karogey tu gunaah nahi milega


Posted 21 Mar 2005

Ashii says
shahrukh khan said:

sunnah se matlab k aisa karna farz nahi hai,, karo ge to sawab hoga nahi to koi gunah nahi---> wrong..sunnah means key agar karo gey tu sawaab milega...nahi karogey tu gunaah nahi milega



i think i said exactly the same thing
Posted 21 Mar 2005

yeah
Posted 21 Mar 2005

Badal says
So the question was not that "darhi rakhna FARZ hai ya SUNNAH", it was, is it obligatory to do so?

In fact the questions is, Is is Obligatory to Follow Sunnah?

Check this topic.

What is Sunnah? :: Is it Obligatory?
Posted 23 Mar 2005

Ashii says
yeh yehi samajh lo
coz sunnah aur farz ka fark bohot baar samajh nahi aata
farz ki to kissi surat mei maafi nahi hai
par kuch sunnah ki maafi hai aur kuch ka na karna gunah kaha gaya hai


lemem check ur topic
Posted 23 Mar 2005

friend_16 says
shahrukh khan said:

sunnat main bhee kuch cheezein farz hoti hai.. ---> like?



jaisay Quran main sirf Namaz ka hukm hai .. Aur tareeqa us ka sunnat say milta hai.. tu kind of ye farz he hua na .. matlab namaz kaisay parhein gay agar tareeqa he nahi pata ho ga..
Posted 23 Mar 2005

Ashii says
hmmm..
rite saheli

but yeh topic to wahin ka wahin raha
yeh topic wali sunnah farz hai ya mustahib ??
Posted 25 Mar 2005

namaz farz hai..not sunnat..
Posted 25 Mar 2005

Ashii says
shahrukh khan said:

namaz farz hai..not sunnat..


who said that
ya Allah iss ko akal de
Posted 25 Mar 2005

Ashii says
SALL said:

shahrukh khan said:

namaz farz hai..not sunnat..


Posted 25 Mar 2005

friend_16 says
SALL said:

hmmm..
rite saheli

but yeh topic to wahin ka wahin raha
yeh topic wali sunnah farz hai ya mustahib ??



yahi tu mainey bataya hai kay sunnat main kuch cheezein farz hein aur kuch mustahib ..

jaisay farz main namaz ka tareeqa .. janazay ko dafn kerna ye farz hein ..

mustahib mein tu boht sari cheezein hein .. jaisay har kaam kay soro aur baad duain kerna .. sotay .. jaagtay .. khatay peetay.. etc
Posted 25 Mar 2005

SALL said:

shahrukh khan said:

namaz farz hai..not sunnat..


who said that
ya Allah iss ko akal de


akal nahi hai
Posted 25 Mar 2005

friend_16 says
koi baat nahi Allah say dua karein aa jaiy ge..
Posted 26 Mar 2005

Badal says
I think namaz main tu koi confusion naho honi chaiye.

Namaz itself is farz (as shahrukh insisted) and there are many Sunnah in Namaz without which Allah does not accept anyone's Namaz (that is meant by f16), these Sunnah are obligatory.
Posted 26 Mar 2005

Ashii says
no doubt abt it

but me khud jab job karti thi to zahir hai kaza namaz adaa karni hoti thi,, aur kazaa to sirf farz ki hoti hai,,, but later when i finished job tab bhi me sirf farz namaz parhti thi,, just coz......... for no reason

and one day i realised k yar,, yeh kya kar rahi hu me
24hrs mei se aik aadh ghanta bhi mujh se namaz mei guzara nahi jata,, to bass akal aa gai khud se
Allah ka shukar hai
Posted 28 Mar 2005

friend_16 says
.. achee baat hai akal aa gaiyee .. laiken agar koi masla ho .. koi jaldi ho tu sirf farz bhee parhay ja saktay hein..
Posted 28 Mar 2005

SALL said:

sunnah se matlab k aisa karna farz nahi hai,, karo ge to sawab hoga nahi to koi gunah nahi
RITE ???
but i read somewhere k mard ka darhi shave karna aisa gunah hai jo harr wakt amaal mei likha jata hai
2nd thing,,, mard ka takhne dhakna.. iss k baare mei bhi kuch aisa hi likha tha k yeh hissa jahanum ki aag mei jale ga agar dhaka jae



darrhi agar koi na bhi rakhe to usse koi gunah nahi hai, issi tarah agar koi rakh bhi le to lazmi nahi hai ke usse koi sawab milta rahega. aisi baaton par woh hadis poori utarti hai ke amaal ka daromadar niyyat par hota hai. ab kissi insan ne darrhi na rakhi ho aur usse maloom hi na ho ke yeh sunnat hai to usse koi gunah nahi diya jasakta. issi tarah kissi ne darrhi rakhi ho aur usse yeh maloom hi na ho ke darrhi rakhna sunnat hai to usse bhala kioN sawab mile? ya ho sakta hai uss ne darrhi siraf musalmanoN par impression daalne ke liye rakhi ho? phir to ulta maulwi saheb ko gunah milega jaisa ke aajkall buhat soN ko mill raha hoga.

doosri baat jo aap ne takhne ke baare me parrhi hai uss ka background kuch aur. Hazrat Muhammad (saws) ke zamanay se pehle aik grupp aisa tha ko gharoor ki nishani ke taur par apne takhnoN se neeche tak libaas rakhte the. this was a sign of their proud to other ppl. this practice ist condemned. ab aaj ke zamanay me agar djeedja lotta sardi se bachne ke liye lambi paint pehen le to bechaare ka kya qasoor?

iss topic to buhat se "maulana hazrat" ne islam ki nishani bana liya hai, darrhi ho, "gittoN" se ooper shalwar ho, haath me lotta ho, kandhe par dupatta type kappra ho, chalo ji hamm poore musalman. mubarak ho ji.
Posted 15 Apr 2005

Bazigaar says
SALL said:

Islam mei mard ka darhi rakhna FARZ hai ya SUNNAH ??



it's sunnah
Posted 19 Apr 2005

SupidGuy says

i agree Sall Mard ka Beard rakhna farz hai.....aur Takhnay bhi nangay rakhna......
how is it possible ke yeah Sunnat hai????? yeah almostly 1 Lac 24 thousand Nabioon ki sunnat hai......
and i agree ke yeah aisa gunnah hai jo har waqt saath rahta hai.......namaz ke time bhi, hajj ke time bhi, holy quran ki talawat ke time bhi......
and Sall woh baat bhi bilkul theek hai Takhnooon wali......waqai mein ne khud ek aalim se yeah suna hai face to face baat karte hoay......




SALL said:

confusion hai na yarr
kafi log kehte hein k yeh sunnah hai..
sunnah se matlab k aisa karna farz nahi hai,, karo ge to sawab hoga nahi to koi gunah nahi
RITE ???



but i read somewhere k mard ka darhi shave karna aisa gunah hai jo harr wakt amaal mei likha jata hai
2nd thing,,, mard ka takhne dhakna.. iss k baare mei bhi kuch aisa hi likha tha k yeh hissa jahanum ki aag mei jale ga agar dhaka jae




Posted 19 Apr 2005

Ashii says
hmmm.......
me ne bhi bilkl yehi suna aur parha hai stooopid
tabhi yeh question kiya



dj
baat aap ki bhi galt nahi,, par aise to i can say one more thing par uss k baad mujhe bohot galiyan parein gi sab se






hmmmmmm..
to phir,,,, koi hall nahi nikla ???
Posted 20 Apr 2005

Ashii says
just one thing,,, agar kissi ko bura na lage to

most of clean shave muslim men call it SUNNAH
others call is FARZ
exactly like muslims women like me parde k baare mei kuch alag sa point of view rakhti hein




topic se bahir na jaya jae to behtar hai
Posted 20 Apr 2005

its sunnah,
farz shayad wo log kahtay hon gay jo hmmm theek word yad nahin a raha wohi na jo niyat kar k rakhtay hain darhi kay ab nahin katain gay,
wo shave karen baad main to gunah milta hay.

baki logon ka kiya hay wo jo khud behtar samajhtay hain mantay and kahtay hain ab sab to sahi nahin ho saktay na..
Posted 20 Apr 2005

SALL said:

dj
baat aap ki bhi galt nahi,, par aise to i can say one more thing par uss k baad mujhe bohot galiyan parein gi sab se



baat agar (aap ki raaye me) sahi hai to kar deni chahiye. gaaliyan to naikon ko bhi parrti rehti hain. baat aisi point par akar ruk jati hai. iss liye yeh sabit karne ke liye woh sari ahadis analyse karni hongi, jinn me darrhi ko lazim qaraar diya gya hai, unn ahadis ke rawi ko analyse karna hoga aur dekhna hoga ke hadis sahi hai, wagheira wagheira wagheira. agar aap ne kissi "aalim" ki kissi "ilm se bhari hui" kitaab me siraf itna parrha hai ke yeh farz hai to yeh ghalat hai. itni si baat to mujhe bhi maloom hai. iss liye hawala jaat paish kiye jaayen ya aqli dalayel se apna mastoor wazeh kareN, bibi ji.
Posted 26 Apr 2005

Ashii says
aap ki urdu bohot achi hai DL



ehem,, okk lemme say it
u said ""buhat se "maulana hazrat" ne islam ki nishani bana liya hai, darrhi ho, "gittoN" se ooper shalwar ho, haath me lotta ho, kandhe par dupatta type kappra ho, chalo ji hamm poore musalman. mubarak ho ji""

just like hamare han aurat k muslim hone ki nishani yeh hai k woh parde mei rahe aur apne ghar walon (father, brother, husband, son) ki "ghulam" rahe
mubarik ho jii,, hum hein poore musalman :)

khair,, yeh mazak tha,, dont think that im against parda,, i know well and im satisfied with the status of women in islam but sirf itna k "symbols" seems to b more important in our eyes when it concens women




welll,, this topic is finished i think,,
only an aalim can tells us k yeh sunnah hai ya farz
Posted 01 May 2005

Reply to Topic