~KARB~

505 views 6 replies
Reply to Topic
nice_roni

Age: 124
Total Posts: 114
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
zindagi ki raah mein saath jis ne chalaya wo tum ho

piyaar se piyaar karna jis ne sikhaya wo tum ho



apney kareeb lakar apna jis ne banaya wo tum ho

ishq ki mairaaj se waqif jis ne karaya wo tum ho



bhujey huwey aatish ko piyaar se jalakar tum ne

apney aap se mutaarif jis ne karaya wo tum ho



aap se tum tak ka safar tey kar na saka ab tak

aap se tum kehna jisey chahta hon wo tum ho



khud ko paakar jisey pa na saka wo tum ho

apney haathon se jisey ganwaya wo tum ho



izhaar kar na saka shiddat se chahney ke baad

be hadd muhabbat jis se ki hum ne wo tum ho



piyaar apni jaga, paana tumhein zaroori tau nahin

khuda ke baad ibadat jiski kee hai wo tum ho



tum tau khuda ka inam ban kar mili rohail ko

merey gunaah ki sooli per jo charhi wo tum ho

                    
                       
                        Rohail
Posted 06 Apr 2005

Reply to Topic