Akhri Sham (My OwN)

753 views 9 replies
Reply to Topic
junaidrauf

Age: 124
Total Posts: 95
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
AKHRI SHAM

Woh December ki ek Yekh Basta Sham thi jo aab dhalny laggi thi,Asman par Halkay Surmmai Badal tair rahy thy Hawa kaffi Khunk thi,Parindy apne apne Ashiyano ko waopas laut rahy thy barra hi Dilawaiz or Haseen Manzar tha Sham ka-Magar woh dono irdgird kay Mahol se bay niyaz Gum Sum 1 Darakht Tally Sogawar or Dhuan Dhuan se Chehrry liye ek dosrry se Sharminda Bay basi se apne Honth Kat ty hoye woh aaj ek dosrry ko har Aihad se Azad kar chuky thy Majbooriyon ki Zanjeer nay unn kay pairon ko kuch aisse Jakkar liya tha kay woh aab ek dossry kay saath chalny se qasir thy koi bhi Bewaffa na tha magar shayyad taqdeer unn se Bewafai kar rahi thi woh ek dossry ko aaj apni Ankhon main Jazb karlayna chahtty thy ek dosrry ko Dhundhlai hoi Ankhon se dekhtty hoye apni Baybassi ka Ronna ro rahy thy.
Go kay Hont kuch kahnny se Qasir thy magar woh ek dosrry kay Jazbat ko Bakhobi samjh rahy thy , SHAM Ahista Ahista Bhig rahi thi Tarriki ki taraf Barh rahi thi aisse main wohek dossry se Alwidaiya Kalamat kahtty hain or na Chahtty hoye bhi ek dossry ko Akhri Bar dekhty hoye apni apni Rah layty hain iss Aihad kay saath kay aab agar Taqdeer unnhain kissi Mor par millai gi bhi to woh ek dossry kay liyan ANJAN honggy.
Ek SHAM ka Karz apni Roh par liye woh Thakky Thakky se Qadmon se apni Manzil ki taraf chal dayty hain ek dossry kay saath guzzari hoi ZINDAGI ki Akhri SHAM ki Lazawal Yadoon ko Samaitty Hoye!


Uss k Naam Jiss se Bay Panah Mohabbat ki Magar Majbooriyon nay Humain Ek na Hony Diya.
Posted 07 Apr 2005

Reply to Topic