mughl-e-azam said:
Is Raat Ki...Tanhayeeon K
Sab Rang Badal Gaye Hain
Chand Nikla Hai Waisay He
Andharay Badal Gaye Hain
Jin K Bharosay Theen Khushian
Woh Badal Thahar Gaye Hain
Manzilain To Ab Bhi Woh He Hain
Kuch Rastay Badal Gaye Hain
Jin Pe Kiya Tha Bharosa Hum Nay
Woh Dost Bichar Gaye Hain
Dekhay Thay Jo Hum Nay
Woh Khwab Badal Gay Hain
Jo Banay Thay Kabhi Humsafar
Aaj Woh He Mukar Gaye Hain
Iss Tutay Huay Dil K Saray
Jazbaat Badal Gaye Hain
Na Badlay Kabhi Hum
Na Badlay Humaray Khayalat
Bas Rona Hai Yehi
KUCH LOG BADAL GAYE HAIN
mughl-e-azam said:yun to guzra hai her ek pal khushi ke saath phir bhi koi kami si hai kyun zindagi ke saath
rishte, wafayen, dsoti sab kuch to paas hai kya baat hai pata nahi Dil kyun uddas hai
her lamha hai haseen nayi Dilkashi ke saath phir bhi koi kami si hai kyun zindagi ke saath
chahat bhi hai sakoon bhi Dilbari bhi hai aankhonmein
khuwaab bhi hain labon par hansi bhi hai
Dil ko nahi hai shikayat kisi ke saath
phir bhi koi kami si hai kyun zindagi ke saath
socha tha jaisa waisa hi jeewan to hai magar
ab aur kis ki talaash mein bechain hai nazar
Qudrat ki to meherbaani hai darya Dili ke saath
phir bhi koi kami si hai kyun zindagi ke saath...