- Forums
- Poetry Cafe (URDU)
- ~ AIETERAAF ~
Reply to Topic
nice_roni

Age: 125
Total Posts: 114
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
wafa teri piyaar tera is tarha bulata raha mujhe
hawa ka har zor teri oor khainchta raha mujhe
mein masroof-e-maaush mein gum tau tha magar
teri talab teri tarap ki har sada tarpati rahi mujhe
yun tau tha pardais mein tanha aur udass buhat
lekin hamesha teri bahon ka hisaar jakra raha mujhe
maahol ki karbnaak tapish ne jhulsa tau diya mujhe
teri chahat ki be panaah thandak behlati rahi mujhe
tanha hokar bhi apney aapko tanha na paa saka mein
terey honton ke haseen lams chaoomtey rahey mujhe
band aankhon mein khuwab saja kar mahfooz karta raha
aankh khuli tau teri har piyari baat gud gudati rahi mujhe
naarazgi ka gumaan huwa tau dil beth sa gaya mera
terey qadamon mein thori si jaga paana hai mujhe
komal si aawaz suni tau besukon dil ko qarar tau aagaya
taalib-e- dua hon ke ab tau paa kar buhat chahna hai tujhe
reh ke dur tum se is baar karlia bardasht buhat magar
nahin guzarna ab aiesa aik bhi pal tumharey bina mujhe
nahin rehsakta rohail ye aaj barmala aieteraaf karta hai
zindagi ab tau hardam terey saath hi guzarni hai mujhe
ROHAIL
nice_roni

Age: 125
7357 days old here
Total Posts: 114
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
kaash hum juda na hotey khabhi alwida na kehtey
chaha nahin tha phir bhi para hum ko jaana
tum hum ko yaad rakhna khabhi dil se na bhulana
hum paas hon ya na hon hamein piyaar se bulana
bail jo aangan mein thi phool wo laati hogi chuntey tau hongey kalyaan
hum nahin hain tau phir bhi mehfilein sajti hongi sooni na hongi galiyan
aiesey mein thori si aankhein bharr laana
kaash hum juda na hotey khabhi alwida na kehtey
chaha nahin tha phir bhi para hum ko jaana
tum hum ko yaad rakhna khabhi dil se na bhulana
hum paas hon ya na hon hamein piyaar se bulana
saamney aati hogi koyee bhi meri nishani yun hi kahin chaltey phirtey
dil tarap jaata hoga dekh kar sookhey pattey shaakh se pairr ki gir key
aiesa tau hota hai dil ko samjhana
kaash hum juda na hotey khabhi alwida na kehtey
chaha nahin tha phir bhi para hum ko jaana
tum hum ko yaad rakhna khabhi dil se na bhulana
hum paas hon ya na hon hamein piyaar se bulana
ROHAIL
nice_roni

Age: 125
7357 days old here
Total Posts: 114
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Tera gila tha mujh ko tujh se piyar nahin tha
Such hai ke tujhe piyar mera derkar nahin tha
Teri ana thi tu ne jo iqraar na kiya
Per mujh ko tere piyar se inkaar nahin tha
Samjha tha men ne piyar ko kaanton ka raasta
Lekin jo chal ke dekha to purkhaar nahin tha
Perh ker jisey tu rakh ke kahin bhool gaya tha
Wo khat tha mera ,shaam ka akhbaar nahin tha
Jo nasha ishq bakhashta hai chashme yaar ko
Aisa teri nigaah men khumaar nahin tha
Umrein guzarin apni maine ik teri khatir
Aur tu,ke tujhe mera intizar nahin tha
Jo saath do qadam bhi chalay,yaar hota hai
Ik tu ke humsafar to tha per yaar nahin tha...!!!
ROHAIL
nice_roni

Age: 125
7357 days old here
Total Posts: 114
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
ASMAN KO NEEND AYE TO SULAEIN KAHAN,
DHARTI KO MAUT AYE TO DAFNAEIN KAHAN,
SAGAR MEIN LAHAR AYE TO CHUPAEIN KAHAN,
HUME AAPKI YAA D AYE TO JAYEN KAHAN
ROHAIL
DejaVu077

Age: 125
7309 days old here
Total Posts: 4508
Points: 0
Location:
United States, United States

Very nice rohail
nice_roni

Age: 125
7357 days old here
Total Posts: 114
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Mujay Nahi Yaad K Main Nay Kisi Ka Dil Tora Ho
Phir Kioon Kooi Mujay Hee Tor Raha Hai
Mujay Nahi Yaad K Main Nay Kisi Ki Aankh Nam Ki Hoo
Phir Kioon kooi Mairay Aansoo Baha Raha Hai
Mujay nahi Yaad K Mian Nay Kisi Ki Muskaan Cheeni Hoo
Phir Kioon Kooi Mairi Zindagi Hee Cheen Raha Hai
Mujay Nahi Yaad k Main Nay Kisi Ko Chot Laganay Ki Koshishi B Ki hoo
Phir Kioon Kooi Mujay Hee Rafta Rafta Mita Raha Hai
Mujay Nahi yaad K Kooi Maira Raqeeb B Mujay Nagawaar Guzra hoo
Phir Kioon Kisi Apnay Ko Hee Maira Wajood Gawara nahi
Mujay Nahi Yaa……Mujay Nahi Yaad…..Phir Kioon
ROHAIL
Reply to Topic