~ AIETERAAF ~

587 views 9 replies
Reply to Topic
nice_roni

Age: 124
Total Posts: 114
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
wafa teri piyaar tera is tarha bulata raha mujhe

hawa ka har zor teri oor khainchta raha mujhe



mein masroof-e-maaush mein gum tau tha magar

teri talab teri tarap ki har sada tarpati rahi mujhe



yun tau tha pardais mein tanha aur udass buhat

lekin hamesha teri bahon ka hisaar jakra raha mujhe



maahol ki karbnaak tapish ne jhulsa tau diya mujhe

teri chahat ki be panaah thandak behlati rahi mujhe



tanha hokar bhi apney aapko tanha na paa saka mein

terey honton ke haseen lams chaoomtey rahey mujhe



band aankhon mein khuwab saja kar mahfooz karta raha

aankh khuli tau teri har piyari baat gud gudati rahi mujhe



naarazgi ka gumaan huwa tau dil beth sa gaya mera

terey qadamon mein thori si jaga paana hai mujhe



komal si aawaz suni tau besukon dil ko qarar tau aagaya

taalib-e- dua hon ke ab tau paa kar buhat chahna hai tujhe



reh ke dur tum se is baar karlia bardasht buhat magar

nahin guzarna ab aiesa aik bhi pal tumharey bina mujhe



nahin rehsakta rohail ye aaj barmala aieteraaf karta hai

zindagi ab tau hardam terey saath hi guzarni hai mujhe



                          ROHAIL

Posted 30 Apr 2005

Reply to Topic