friend_16
Age: 124
Total Posts: 10089
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
" Aur un kay paas neechi nigahoon waliaan aur khubsoorat ankhoon waliaan hon gee ... " ( surat saffaat- ayat 48)
ye Jannat ka zikr hai kay wahaan mardon ko "neechi nigahoon waliaan" millain ge .. aur ye HAYA show kerti hai..
" keh dijyay momin mardoon say kay wo neechi rakhein apni nighahoon main sey ..... " ( Surat Noor - Ayat 30)
pehlay mardoon ko hukm aya hai phir aurtoon ko:
" aur keh dijyay momin aurtoon say kay wo neechee rakhein apni nighaoon main sey.. "
idher i would like to mention "nighaoon main say" .. is say muraad BURI nigah hai .. har nigah nahi hai .. kyun kay kabhee zaroorat kay liay deekhna bhee hota hai .. raasta deekhna hai .. kaheen aana hai , jana hai .. sirf kuch "specific" nigahoon say deekhnay ko rooka gia hai..
nazrein neechi rakkhna -- > Haya ko show kertee hein
aik jaga Quran main "Hayya". ka word bhee use hua hai..
" tu ayee un kay paas un dono main say aik aurat chalti huee HAYA par (kay saath) " (Surat Al-Qasas - Ayat 25)
Allah Tallah ko us aurat ki ye khubi itnee achee lagee kay us ka zikr Quran main ker dia ..
aik Haya say ROKA bhee gia hai jaisa kay Hazoor (SAW) nay farmaya: " ilm do cheezon say zaya hota hai HAYA aur KIBR"
wo Haya jo ilm hasil kernay say rookay (kuch loog sharma jatay hein kuch poochaty huay is sharm say bhee roka gia hai) .. aur KIBR = Takbur .. kay mujhay saab kuch ata hai ..
aik hadit ka mafhoom hai :
Admi apnay tamaan hoosh-o-hawaas say ZINNA kerta hai ... DEKHNA --> ankhoon ka zinna hai , LAGAWAT KI BATEIN kerna --> Zaban ka zinna hai , AWAZ SAY LAZZAT laina --> kanoon ka zinna hai, haath lagana aur na jaiz kamoon kay liay chalna haath paoon ka zinna hai...
Admi direct itnay baray gunnah ka irtikaab nahi kerta balkay kayee stages say guzr ker wo is main mulawis hota hai...
DEKKHNAY say shoro hota hai ... ab aik admi jis main haya ho gi wo apni nazarein kisi par nahi dalay ga aur aik aurat o kay fully covered ho ge usay koi deekh bhee lay tu us kay dil main koi bura khayal nahi aiy ga ..
Hazoor (SAW) nay Hazrat Ali (RAU) say farmaya : "Aye Ali! aik nazar kay baad dossri nazar maat dalna .. pehle tu mauf hai magar dosri nahi"
Aik dafa Hazoor (SAW) apnay chacha zaad bhai Fazal Bin Abbas (RAU) kay saath ja rahay thay .. Fazal (RAU) us waqat jawan larkay thay .. raastay main say jaab aurtein guzarnay lageen tu Fazal (RAU) un ki taraf deekhnay lagay Hazoor (SAW) nay un kay chehray par haath rakh ker dosri taraf phair dia"
is say pata chalta hai kay jahaan say aurtein guzr raheen hoon ya kharee hoon tu wahaan un ki taraf ghoor ghoor ker nahi deekha chahyee balkay jis kaam say bhee mard guzr rahay hein guzr jain..