suna hai tum buhat masroof ho masroof bhi itnay ke fursat tum se milnay ko tarasti hai
suno!!
masroofiyat ke daairay ko paat kar fursat se milnay ka kabhi moqa mile tau sab se pehle khud se milna... phir faragat ka koi lamha bache tau gham ke num-aalood raston par kahin se dhoop la rakhna bhataki shaam se purwa ke dheemay geet sun-na aah'ton ki titliyon ke rang chun'na baadlon ki dhund main chuptay huay manzar se tasweerain banana
phir bhi fursat ki poonji bach rahay tau aaina-ru-sa'aton ke aks aankhon main sajana waqt ke sahil pe geeli rait se ek ghar bnana haath ki mehrab se dil ke diye ki tharthrati lao ko bujhnay na dena pairron ke daman se lipti chaaon main mehki hui baatain chupana aur parindon ki chehak se nazm ke misray bnana
ya, paron ki oat se chinti hui kirnon se yaadon ki dhanak bharna gar nahi tau... kaasni phoolon ki soorat man ke soonae-pan main khilna