SALL said:chashmatic
apni aulad se umeed rakhna k woh hamara sahara banein ge galt nahi hai
par unhein sirfff iss liye palna,, aur baat baat pe jatlana
aur unhein sirff iss kabil banana k woh iss kabil ho sakein k hamara sahara ban ja'ain,, baki sab gaya bhaar mei
this is SELFISHNESSS
aulad Sadka e Jariya hoti hai
par hamare han parents ko sirf yeh fikr hoti hai k hamare burhape mei hamara kya hoga
HH
yeh baat ap apne parents se puchiye
abba jii ka joota tha kar k pare ga
sorry yeh mazak tha,,
maa baap ka haq hota hai iss mei koi shak nahi,, par baat wohi aa jati hai, k amal k bager aap ki naseehat mei koi asar nahi hota
look around u,, sab k sab parents kehte hein k aulad na-farmaan hai
par woh yeh nahi sochte k KYUN