+_+ Question"{>?"

2917 views 31 replies
Reply to Topic
joker

Age: 124
Total Posts: 8892
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
Dont know app ko mery topic kasay lagain bore or u dont like but main kuch na kuch janna chahta hoon.......
ajj irsa kay aik topic say mujy aik baat yaad ayii and main nain samjha koyoo na app say poochi jay....
hum nain akser suna hoo ga and dakha bii hooo..
kay akser log shadi say phaly apnain parents ko bohaat

Piyar kerty hain but after shadi nahii un ko akela ker dayty hain ,,,mean alag ho jaty hain
AKaher koyoooooo

jub wo old hoty hain to un ko old house main bayj dayty hain
akher koyooo

^i know asa zayda bahir hota haii but pakistan main bi asa hota haiii,,,,

parents hum say humeedain laga ker rukhty hain but un kay old honain per hum un kay sath bura salook and un ko hurt koyoo kerty hain...

plzz jawab dil say and sach
no jhoot no number barhanain kay leay jawab dii jeay ga,,,

i want truth....

why we r so bad and why we do this ???????????????????

Posted 21 Jun 2005

Dreams, ambition, lust, intolernce...
want more!
Posted 22 Jun 2005

joker says

i know all
but i want to know about my question
Posted 22 Jun 2005

agree..happens alot...because kuch logoon ko wives aisi milti hain key woh unke ghulam ban jaate hain...you know in our neighbour lives a dutch family...admi ka father unke saath rehta tha aur phir uski biwi ne kaha esay old house main chor aao...very strange...us admi ne uski baat bhi maanli...aur kuch saal baad his father died...he was crying last year wife ne husband ko ghar se nikal diya dont know what was the reason...jab tak Insaan ke ander apne parents ke liye mohabbet hogie wo kabhi nahi chore ga...aur jo chor dete hain...wo bare unlucky hain
Posted 22 Jun 2005

Freddy says
you should ask that question to your parents .....kay woe kue apnay parents sei seprate hoay thay
Posted 22 Jun 2005

joker says
well khan shadi kay baad wife akser kan bartii rahtii haiii and us ko sometime kuch acha nahii lagta.
wo har baat ko apnain leay prob samjhti haiii and wo chahti haii kay mera raj hoo is ger per..
and us ki reason bi yay hi hoo gii
and mr faradiya ALLAH na kary kabi asa hoo kasii kay sath..
but asa nahii kahty mery parents nahii howy alag and main just app logo ki thinking janna chahta hoon and kuch batana chahta hoon

"Yaad rukhna jo jaisa kerta haii waisa bharta haii mean to say jo apnain parents kay sath bura kary ga us kay sath bi asa hi hoo ga"
Posted 23 Jun 2005

shaista says
mere khayaal main insaan shadi ke baad do hisson main bat jaata hai. eik to apna ghar basane ke khwaab. we think we wd be happier if we would live apart from our parents. apna eik ghar basayein, apni dunya main blablabla...

but i think ke jaisa hum apne parents ko ab treat kareinge waise hi humari aulaad humain treat karegi.
so we shouldn't be selfish. taking care of our parents means a brighter future for us
Posted 23 Jun 2005

joker says
yes but yay hi sawal haii akher hum sub janty hain phir koyoo asa kerty hain
wo parents jo humain sarii zindagi khush rukhty hain
hum bemar hoon to humara khayal rukhty hain and yahan tuk kay apni khushi bhool ker humara khayal rukhty hain
phir asa koyoooo
asel main shadi kay baad larka and larki dono per depend kerta haii wo kia prog banaty hain kia mood haii un ka
kia sochty hain like that,,,,
Posted 23 Jun 2005

shaista says

baat yeh hai ke insaan bahut hi ziada khudgharz ho gaya hai. aggar hum apne aap se bhi dhoka kar sakte to woh bhi kar guzarte to parents kia cheez hain....

Posted 23 Jun 2005

Ashii says
shadi k baad seperate ghar lena koi galt baat nahi hai
par parents ka khyal na rakhna,, unhein akela chor dena,, yeh sab galt hai

jahan tak mera khyal aurat ka zyada kasoor nahi hota,, agar bande k dil mei apne parents ki izzat aur pyaar hai to woh apni bv k kehne mei kyun aae ga bhala

kyun ka jawab yeh hai k
- log parents aur apni personal life mei balance nahi kar sakte
- selfishness
- i ve seen parents bhi kabhi kabhi sir hi char jate hein,,, apni aulad ki zindagi kharab karne pe tule rehte hein


we cant compare ouselves to europe,, coz yahan aisa iss liye hai k old homes mei rehne walon ne apne parents k saath bhi yehi kiya tha,,
waise bhi its another way of life,, most of ppl pehle se hi tayyari kar rakhte hein k budhe ho k konse old house mei rahein ge,, ya phir kya karein ge
Posted 23 Jun 2005

joker says
hmmmmmm
u r all right
but baat yay haii kay
main nain kasii ka kasoor nahii kaha but look humary parents humain koyoo bara kerty hain ( i am talking about muslim worlds)takay hum un kay burhapy (old) per un ka sath dayain un ki help karain.
but sall u know aik aurat aik mard ko apnain kabo main ker suktii haii bohaat asaani say jub kay mard bohaat mushkil say,,,,,
and ALLAH asa din kasii ko na dakhy ameen
but ager app wahan haal dakhain to app ko pata chaly ga saray ka sara kasooor larki ka nikalta haii
koyoo is main kuch wajhoohat aa jati hain
like larki nain kan bary
larka larki rehna nahii chahty ger chota haii or any thing
parents ya wo lerty hain har roz aik dosry say
ger main tension rahtii haiii
etc etc

but is ka elaj kia haii??????
Posted 23 Jun 2005

Ashii says
ehemm,,
parents aulad ko apne burhape k liye palte hein
i wld call it selfishness

selfish logon ki aulad selfish hi hogi na


khair,, yeh mera apna opinion hai,, aur mere opinion se aam log khafa hi hote hein,, hehehe,,
forget it



okk theek hai,, maan liye larki ka kasoor hota hai
par tell me one thing,, maa baap larki k hein ya larke k ??
yarr,, mard ko aurat kabu kar leti hai,,,,,, wots this rubbish,, mard itna masoom hota nahi hai jitna apna matlab nikalte wakt ban jata hai
khair,,, u dont wanna know the real reason,, coz start se hi aap aik ki galti maan k bathe ho

Posted 23 Jun 2005

well kisi ne kaha hai world is round so jo aap karo gay kal ku ap ke bachon ne wohi apke sath karna haii in urdu we call it MAKAFAAT E AMAL aur yehs ab kuch halaat pe bhi depend karta hai but parrents ka yeh expect karna apnay bachon se ke woh old age mein unka sahara banengay is not a selfishness at all even QURAN MAJEED mein yahan tak kaha gaya hai ke agar tumharay ghar pe borhi maan ya baap hein tu tum jihad pe na jaou unki khidmat karo tumharay liay yehi jihaad hai aur yeh ek natural si baat hai ke jab parrents sari zindagi apnay bachon ko paal pos kar bara karengay tu unki bhi expectations hongi ke bachay unkay burhapay mein unka khiyaal rakhen.
Posted 23 Jun 2005

joker says
right sall and chriz

but sall jub hum per koyii waqt ata haii hum nahii sochty kay dosra kia kahy ga.
simple ager app money kerch karoo to theek ager dosra kary to galat like app kud aik kam kerty hain and jub wohi choty kerna chahty hain to app un ko mana kerty hain what this
app is ko selfish kahtii haii jub ki bakiyo ki nazer main yay un ka haq haii...
Posted 26 Jun 2005

Ashii says
chashmatic
apni aulad se umeed rakhna k woh hamara sahara banein ge galt nahi hai
par unhein sirfff iss liye palna,, aur baat baat pe jatlana
aur unhein sirff iss kabil banana k woh iss kabil ho sakein k hamara sahara ban ja'ain,, baki sab gaya bhaar mei
this is SELFISHNESSS

aulad Sadka e Jariya hoti hai
par hamare han parents ko sirf yeh fikr hoti hai k hamare burhape mei hamara kya hoga



HH
yeh baat ap apne parents se puchiye
abba jii ka joota tha kar k pare ga


sorry yeh mazak tha,,
maa baap ka haq hota hai iss mei koi shak nahi,, par baat wohi aa jati hai, k amal k bager aap ki naseehat mei koi asar nahi hota
look around u,, sab k sab parents kehte hein k aulad na-farmaan hai
par woh yeh nahi sochte k KYUN
Posted 26 Jun 2005

SALL said:

chashmatic
apni aulad se umeed rakhna k woh hamara sahara banein ge galt nahi hai
par unhein sirfff iss liye palna,, aur baat baat pe jatlana
aur unhein sirff iss kabil banana k woh iss kabil ho sakein k hamara sahara ban ja'ain,, baki sab gaya bhaar mei
this is SELFISHNESSS

aulad Sadka e Jariya hoti hai
par hamare han parents ko sirf yeh fikr hoti hai k hamare burhape mei hamara kya hoga



HH
yeh baat ap apne parents se puchiye
abba jii ka joota tha kar k pare ga


sorry yeh mazak tha,,
maa baap ka haq hota hai iss mei koi shak nahi,, par baat wohi aa jati hai, k amal k bager aap ki naseehat mei koi asar nahi hota
look around u,, sab k sab parents kehte hein k aulad na-farmaan hai
par woh yeh nahi sochte k KYUN





well sall aunty i dont think ke ki aisay bhi parrents hongay jo apni aulaad ko sirf is liay paal poss kar juwan karengay ke woh unka sahara baneay aur baqi kuch na karay agar aisa ho tu woh unki shadi hi kyun karen bas apna sahara na bana lein and for ur kind information genuine parrents ki khushi unki aulaad ki khushi mein hoti hai aur aisay hi parrents ki aulaad phir unka sahara bhi banti hai and i dont know ke kis ke haan parrents ko yeh fiker hoti hai hai ke burhapay mein hamara kiya hoga har urooj ka zawal hota hai yeh baat sa jantay hein aur being a muslim hamara sab se bara beleive yeh hai ke ALLAH ki zaat se bara sahara aur koi nahi hota aur jahan tak rahi apnay bachon se expect karnay ki baat tu woh maan baap ka pyaar hota hai aur apko jis se pyaar hota hai expectations khud ba khud ban jati hai us se and one thing i often discuss these things with my parrents cuz we have to aur mujhay aj tak abba je ka jota nahi para cuz mein ne un se clinton monica scandal pe baat nahi ki ek social issue discuss kiya hai and i dont think ke koi educated parrents yeh baat pochnay pe pitai lagayengay
Posted 27 Jun 2005

Ashii says
chashmatic
aap to aise tap rahe ho jaise me aap ko keh rahi hu
joota thing was just a joke,,, if u mind it then i shut up

par me wohi keh rahi hu jo me ne zyada tar dekha hai
zyada door tak sochne ki zaroorat bhi nahi parti, aik nazar dalna kafi hai apne aas paas,,
hamare han k parents apni aulad ko kya sikha rahe hein uss ka result to samne hai

its a good thing that u can discuss openly with ur parents,, me larki hote hue bohot kuch apne parents se aram se discuss kar leti hu,,, par dunya me aur meri family nahi hai
apni naak se agay dekhne ki koshish karni chaiye
Posted 27 Jun 2005

well i dont mind at all aur mera sochna yeh hai ke we shud think abt our self first apnay aapko dekho if ur rite then forget it cuz dosron ko ap samjha saktay hoo zabardasti amal nahi karwa saktay thats it.. and u dont need to be shut up balkay its gud we shud discuss these things.
Posted 27 Jun 2005

Ashii says
being ignorant is a sin,, just as leaving others in ignorance

im not critisizing our parents,, i know koi parent yeh forum visit nahi karte,, its just to make ppl aware,,, akhir yahan pe jitne memebers hein they ll b parents one day
Posted 28 Jun 2005

allrite i agree
Posted 29 Jun 2005

I am a parent - ofcourse not of an adult
Posted 29 Jun 2005

Ashii says
RITE.......................
same here

im sillyy,, stupiddd,, and a real dufffer
always making fun of others, arrogant,, and . . . . .

does being a mother wash all my mistakes ???
im sure NO
Posted 01 Jul 2005

BadShaH1 says
they say when u have ur own kidz, u like them even when u hated kidz bfore?
Posted 02 Jul 2005

Ashii says
we all love ourselves,, all we want is to leave our own image in this world thru our children

jo me nahi kar saka/saki woh mere bache kar sakein,,
jo mujhe nahi mila woh unhein mile
who cares its GOOD or BAD for them
Posted 02 Jul 2005

...and sometimes even beyond. I don't see anything wrong wid't. Why not if we want our kids to be better people than ourselves, or that we help them avoid mistakes we made in the life. Newer generations will learn and move forward in other fields of knowledge beyond where we left off. So why not in life?
Posted 06 Jul 2005

LiL_DollY says
thinkin
Posted 06 Jul 2005

joker says
hmmm
acha howa kuch samjh aya and kuch samjhaya...
but sach bohaat karwa hota haii like us
Posted 06 Jul 2005

valandrian says
bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266
bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266
bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266
bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266
bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266
bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266
bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266
bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266
bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266
bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266
bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266bd44266
bd44266
Posted 20 May 2018

Posted 18 Sep 2018

Posted 24 Oct 2018

Posted 12 Nov 2018

Reply to Topic