dua nahin to gila deta koi meri wafaon ka sila deta koi. jub muqaddar hi nahin tha apna deta bhi to bhala kya deta koi. haasil-e-ishq faqat dard hai aye kaash pehle hi bata deta koi. taqdeer nahin thi gar aasmaan chhoona khaaq mein hi mila deta koi. bewafa bhi humen bewafa kah gaya isse jiyada kya daga deta koi. gumaan hi ho jata kisi apne ka daaman hi pakad kar hila deta koi. arse se atka hai hinchkiyon pe dum achchha hota jo bhula deta koi. ye to ro ro ke kat gayee "sagar" kya hota agarche hansa deta koi.