quote:
Originally posted by untouchable
Bohat dino ki baat thi
shabab per bahar thi
fiza bhi khushgawar thi
na jaane kioun machal para
main apne ghar se chal para
kisi ne mujh ko rok ker
bari aada se tok ker
kaha ke laut ayyee
meri qasam na jayyee
meri qasam na jayyee
magar mujhe khabar na thi
mahaul per nazar na thi
na janey kioun machal para
main apney ghar se chal para
phir shehar se main aa gaya
khayal tha ke paa gaya
usey jo mujh se durr thi
magar meri zaroor thi
phir ik haseen shaam ko
main chal para salam ko
gali ka rang dekh ker
naye tarang dekh ker
mujhe bari khushi hui
main kuch isi khushi main tha
kisi ne jhank ker kaha
paraye ghar se jayyee
meri qasam na ayyee
wohi haseen shaam hai
bahar jis ka naam hai
chala hoon ghar ko chor ker
na janey jaoon ga kidhar
koi nahin jo rok ker
koi nahin jo tok ker
kahay ke laut ayyee
meri qasam na jayyee
meri qasam na jayyee
quote:
Originally posted by sharara
Zindagi tujh ko manaanay niklay
Ham bhi kis darjaa deewaane niklay
Kuchh to dushman thay mukhaalif saf mei
Kuchh meray dost puraanay niklay
Nazar_andaaz kiyaa hai us nay
Khud se milnay ke bahaanay niklay
Be-basaarat hai yeh basti yaaro
Aaiinaa kis ko dikhaanay niklay
In andheron mei jiyoge kab tak
Koii to shamaa jalaanay niklay