<~>~<~>Usay Kehna.....<~>~<~>

5465 views 34 replies
Reply to Topic
Doctor Sam

Age: 124
Total Posts: 19257
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan

Usay kehna
kabhi milnay chala aaye
humaray paaon main jo raasta tha
raastay main paird thay
pairdon pe jitni taaeron ki toliyaan
hum se mila karti thien
ab wo urdtay urdtay thak gai hain
wo ghani shakain jo hum per saaya karti thien
wo sab murjha gai hain
Tum usay kehna
kabhi milnay chala aaye
labon par lafz hain
lafzon main koi daastan,qissa kahani
jo usay aksar sunatay thay
kisay ja kar sunaien gay
bataien gay
k hum mehraab-e-abru main sitaray tanknay walay
dar-e-lab , bosa-e-izhaar ki dastuk se aksar kholnay walay
kabhi bikhri hui zulfon main hum
mehtaab k gajray bana kar bandhnay walay
charaagh aor aaienay k dameyaan
kab se sar-e-sahel kharay mojon ko taktay hain
usay kehna
usay hum yaad kartay hain
usay kehna
hum aa kar khud usay miltay
magar maqtal maqtal badaltay mosamon k khoon main rangeen hain
aor hum
qataar undar qataar aisay bohat se mosamon k dermeyaan
tanha kharday hain
janay kab apna bulawa ho
k hum main aaj bhi
ik umar ki waraftagi aor wehshaton ka raqs jaari hey
wo baazi jo bisaat-e-jaan pe kheli thi
abhi hum ne na jeeti hey na haari hey
usay kehna kabhi milnay chala aaye
k ab ki baar
shayad apni baari hey

Saleem Kousar



Posted 15 Jul 2005

Reply to Topic