Doctor Sam
Age: 124
Total Posts: 19257
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Ye ajeeb fasl-e-faraaq hey
k na lub pe harf-e-talab koi
na udaasiyon ka sabab koi
na hajoom-e-dard k shoq main
koi zakhm ab k hara hua
na kamaaN-ba-dast aduu huye
na malaamat-e-saf-e-dosstaaN
na ye dil kisi se khafa hua
koi taar apnay libaas ka
na hawa ne hum se talab kiya
sar-e-raahguzaar-e-wafa barhi
na diya jalanay ki aarzu
pye-chaara-e-ghum-e-do jahan
na koi maseeha na chaara-gur
na kisi khyal ki justaju
na khalish kisi k wisaal ki
na thakan rah-e-maah-o-saal ki
na dimaagh-e-runj-e-rukh-e-ButaaN
na talaash-e-lashkir-e-Nasehaan
Wohi aik haal hey zabt ka
wohi aik chaal hey dehr ki
wohi aik rung hey shoq ka
wohi aik rasm hey shehr ki
na nazar main khof hey raat ka
na fiza main din ka haraas hey
pye-arz-e-haal-e-sukhan-waraan
wohi hum-sukhan hey rafeeq-e-jaan
wohi hum sukhan jisay dil kahain
wo to yun bhi kab ka udaas hey