meri fav poem chuunu munu he thi...but aik ore thi ..i think it's not a poem ...it's Dua...Iqbal uncle ki thi...jo humeen itni raatayee jaati thi kay humeen sirf lafz he yaad rehtay thay un ka matlab nahi....lub pay aati hai ko hum loog....lupay aati hai partay thay...magar phir be ess poem mai ajeeb sei attraction thi...uss wakt be ore abb be mai essay parta hoon tu meray jism mai sansanahat sei honay lagti hai.
Lub pay aati hai dua buun kay tamanaa meri
zindagi shamaa ki sooraat ho khudayaa meri
Ho meraa kaaam ghareboon ki hemayaat karnaaa
daardmandooo sei zaeefoon sei mohabaat karna
Ho meray dum sei yunheen meray vataan ki zeenaat
jis tarhaa phool sei hooti hai chamaan ki zeenaat
zindagi ho meri parvanay ki soooraat ya Rub0
ealaam ki shamaa sei ho muj ko mohabaat ya Rub
meray alllah khaar buraei sei bachanaa muj ko
naik jo raah ho uss raah pay chalana muj koo