Currency waqt k saath........

935 views 26 replies
Reply to Topic
QUEEN VICTORIA

Age: 124
Total Posts: 26285
Points: 0

Location:
Lahore, Pakistan
Namak

Kya aap jantay hain k “namak haram” “namak halal” ya phir “namak khana” jaisay mohawaron k peechhay kya haqeeqat hai?


Qadeem Yunaan aur Miser k tajir pehlay zamanay main tijarat ziada ter Namak k zariye kya kerta thay . Jab who Ghulamon ki khareed o farokht kya kertay to badlay main namak mangtay. Lihaza ghulamon ka lain dain namak k badlay main hota issi liye to kaha jaat ahain k main nay aap ka namak khaya ya namak halal kerna waghaira.
Word "Salary" bhi Salt hi say bana hai.





KODIYAN

Urdu zuban main akser aik jumla ya mohawara bola jata hai k “do kodi ka nahin”.kabhi aap nay ghour kya hai k derhaqeeqat KODI kya cheez hai?
Der asal yeh white ya yello colour ki porsileen numa 1cm-3cm ki SEEPI hoti hai. Kodiyun kay istamal ka aghaz qadeem Cheen say hua jahan kodiyan raqam k tor per istamal hoti theen. Ibtadaye Cheeni zuban main paisay ko KODI hi ki shakal di jati thee.India say wapsi per Tajir yeh Seepiyan apnay saath apnay mulak lay aaye jo baad main west afreeqa tak pohanch gaye. Afreeqa k baaz areas main yeh seepiyan 20th century k mid tak istamal hoti rahi.



2 b continued…….


Posted 10 Aug 2005

Reply to Topic