Business Report of KTSK.

1909 views 13 replies
Reply to Topic
Ghayas

Age: 124
Total Posts: 113
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
Reema Ki Film Ney Pichley 56 years ka Record Tod diya is film ney 1 Haftey mein Mulk Bhar mein 90 lac say 1 crore ka business aur Mulk bhar mein kamiyaab Numaish jari hai is Film ney Karachi aur hyderabad mein 22 lac ka business kiya aur yeh aik record hai. Multan Mein is ney 8 lac ka bussiness kiya aur Faslabad mein 7 lac ka business kiya.Punjab ke poorey circat mein is ka business 75 sey 80 lac ka hai yeh aik tareekhey record hai.
Kafi logon ka kehna hai Film bhut acchi hai Lekin Reema ko is ke Tempo par Ziyada Tawajho deni chahiye thi aur Babrik shah ko poory Film zaya kiya Veena Malik ka kardar ki mazeed barhaya ja sakta tha lekin jaldi khatam kar ke badi ghalti ki hai Reema ney poory Film mein Reema khud chai rahi dosrey number bada kardar Momer rana ka tha aur Poory Film mein Reema chai rahin. Lekin Reema ki aik acchi Film hai isey dobara bhi dekha ja sakta hai. Film Beno ney Yeh bhi kaha Is Ka music itna ziyada accha miyar ka naheen tha jo ziyada hit ho sakey Baqi Film Hit ho gai hai Agar Reema ziyada Tempo Par Tawajho deti to Yeh film Aik block Buster Film keh lati.
Awaam ka kehna hai Is saal ka Music Ajab Gul Ki Film Ka Tha Jisey Dekney mein aesa lagta tha hum koi Badi Indian Film Dekh rahey hain. Ajab Gul Ki Film ko Indian Film ke Muqabley Mein lagaya ja sakta hai. Sony Televisioan pey Ajab Gul sey Interview Dubai liya gaya Indian Film nein bhi Ajab Gul Aur Reema ki Film dekh chahateyn hain. Ajab Gul ney bahir Apni Film Release karney ke barey mein Sony Television Asia sey Interview detey huwey kaha ke Bhut Jald Film Aik Saath America, Canada, Uk, Aur Dubai mein Aik Saath Release karon ga . Reema ney bataya Agar Sarmaya huwa to mein apni agli film mein Aamir kha ko cast karongi.
Posted 19 Aug 2005

Reply to Topic