Couple of Year........

2194 views 48 replies
Reply to Topic
QUEEN VICTORIA

Age: 124
Total Posts: 26285
Points: 0

Location:
Lahore, Pakistan
Hi jabians!
Aaj say theek do saal pehlay main nay jb join kya tha
aur meray profile main meri dob ki jagha bhi mera joining year likh hai
do saal guzernay kay baad aaj ahsa ho raha hai kay do saal kaisay guzray pata hi nahin chala
main nay in do salon main hamesh ayhi koshsish ki kay meri wajha say koi naraz na ho ya kabhi meri koi baat kisi ko buri na lagay (hallanakay mujhay kaafi kuch bura lagta raha )

aaj saray din main meri yeh second post hai main sirf aap sab say yeh kehnay aaye hoon kay
ager meri wajha say is arsay main kisi ka dil dukha ho to im sorry
Meray post kya hua first topic introduction main HELLOOO tha
aaj bawajood koshish kay main oos topic ko serach nahin ker saki takay main apni pehli post ka time daikh sakoon

main nay jitnay bhi topic post kiye ziada ter yahi koshish rahi kay woh informative hon(aur issi liye meray topics interesting nahin hotay aur 3-4 pages say aagay nahin gaye )

bas ab yahi kehna hai kay ager kisi ko mujh say koi shikayat ho tp woh mujh say keh sakta hai


wol nay mujhay jb ka mod banaya
idon know main apna kaam sahi say ker paye ya nhin yeh to aap ya wol hi bata saktay hain
main nay to sirf koshishs ki
mera khayal hai aap bore ho rahay hain
so i shld leave now
wknd hai
so see u on monday
take care of urselves
Allah hafiz
Posted 20 Aug 2005

Reply to Topic