disable chennels

2479 views 22 replies
Reply to Topic
AI-Irhab

Age: 124
Total Posts: 27
Points: 0

Location:
,
Assalam-o-alikom

aik sawal hay ager pak gov foreign countries k chennels disable kerdey sirf informative chennels ko hi enable rakhein internet se P**Nography disable kerdein to kiya humarey is ma'ashrey may koi tabdeeli ronama hogi yah nahi ???
Posted 02 Nov 2005

Ashii says
not a bad idea
but y gvt ????
y cant we stop our children ourselves ???

coz then how will u disable i-net and all illegal markets ????

the best thing is to disable thse sick minds
Posted 02 Nov 2005

jjpr says
AI-Irhab said:

Assalam-o-alikom

aik sawal hay ager pak gov foreign countries k chennels disable kerdey sirf informative chennels ko hi enable rakhein internet se P**Nography disable kerdein to kiya humarey is ma'ashrey may koi tabdeeli ronama hogi yah nahi ???

Yes i think so, especially bollywood, it has influenced pakis so much and is desttroying the country.
Posted 02 Nov 2005

SALL said:

not a bad idea
but y gvt ????
y cant we stop our children ourselves ???

coz then how will u disable i-net and all illegal markets ????

the best thing is to disable thse sick minds

right,,,insaan ke paas aqal bhi hai..sab kuch gov nahi karegie
Posted 02 Nov 2005

sall aur srk sai keh rahey hain
humarey samnai acha bura dono hain
abb deikhna yeh hai hum kia choose kartey hain achai ya burai burai main attraction ziyadah hai ess liye mostly loag burai ki taraf chaley jatey hain
Posted 03 Nov 2005

nikama says
within 4,5 years most of the channels we now watch through cable will b seen with t.v antennae only.gov.kya kya stop karey.its a free world jis ka jo ji chahta he vo dekhay.cable anay se pehlay hum konsa angels thay
Posted 03 Nov 2005

insaan ko khud sochna chahiyey kya theek hai aur kya galat..doosra nahi batane ayega
Posted 04 Nov 2005

nikama says
exactly
Posted 04 Nov 2005

~Fragi~ says
nikama said:

within 4,5 years most of the channels we now watch through cable will b seen with t.v antennae only.gov.kya kya stop karey.its a free world jis ka jo ji chahta he vo dekhay.cable anay se pehlay hum konsa angels thay

bilcul sahi kaha
shoro sey aisa hee hai ...bus apney aap per control ho tu kuch bhi bura nahi
Posted 05 Nov 2005

nikama says
FRAGIIN SERIOUS CORNER...MASHALLAH..chashm-e-badoor
Posted 05 Nov 2005

~Fragi~ says
arey hum tu aatey rehtey hain
Posted 05 Nov 2005

aikalone says
Question bhee acha or answers bhee bohat achay. But confusion hay. Aqal to sab kay pass hay likin phir bhee buraee kee taraf hee kiyoon jate hain. Naikee kee taraf kiyoon nahee jate hain. Cable par agar kabhee aap koee movie dekh rahe hain to kisi or kisi doosre channel se koee religious program aa raha hay to ham loog wo nahee dekhte hain balke movie main he dil lagate hain.
Bachoon ko to ye bhee nahee pata hota wo to jo bhee dekhte hain foran admit karte hain or us ko real main bhee karne ki koshish karte hain. Likin kiya young and old peoples try nahe karte ye sab karne kee jo wo TV par dekhte hain. Jahan koee larkee dekhee beautiful for tapkee raal. Jahan koee larka dekha very rich for lapkeen girls us par like bees. Phir where is aqal?

Jahan tak baat hay channels disable karne kee agar government ye kar bhee detee hay or mera khayal hay kay Karachi Level par to bohat se channel disable bhee kar diye hain. to us se bohat faida hoga. Kam uz kam children to bachain gay hee bare bhee bachain gay.

Or baqee ham sab ko apnee apnee koshish karnee hogee kay apnee society ko sudharen.

Himmate Maradan Madade Khuda.
adding
Himmate Ooratan Madade Khuda.

kiya khayal hay
sirif batoon se kam nahee chale ga kuch karna hi hoga.

Posted 07 Nov 2005

mmja says
hamaray han to kafi band ho jatay hain khas kar english or movies weghaira kay or cd par bhi natay lagti hain
Posted 08 Nov 2005

nikama says
mmja,dear do u live in raiwind
Posted 08 Nov 2005

aikalone says
nikama said:

mmja,dear do u live in raiwind

Yahee to masla hay hamara agar kaheen par is tarah kay religious kaam hotey hain to loog ye samjhte hain kay ya karne waley ka background religious hay ya wo khud religious person hay.

Hamko isi cheez koo khatam karna hooga as a muslim as a nation as a family Agar ham sab milkar pakka irada karlain to har buraee se bach sakte hain.

Kiya khayal hay

Posted 08 Nov 2005

nikama says
yea,but it was just meant to b a joke.mmja se zara mazak chalta he na is liay
Posted 09 Nov 2005

aikalone says
Posted 09 Nov 2005

Badal says
agar kisi hole say gandagi nikal kar aap kay ghar main gir rahi ho tu us gandagi ko saaf karna akalmandi hai ya wo hole band kar dena jo gandagi ka source hai? i think its very simple, its common sense.

channels band karna asaan hai, logoon ko dekhnay say rokna ya khud rukna mushkil hai. agar agovt level par jahaan kam log involve hotay hain kaam karna asaan laikin sari nation ko karna par jaye tu mushkil hota hai. its also common sense.

Islamically, jis tarah aap par apnay bachoon ki responsibility hai, isi tarah govt par poori nation ki responsibility hai. Humaray Nabi nay farmaya, har shaks nigahban hai aur har shaks say unsi raiyat kay baray main sawaal hoga, buhat bar sun aur parh chukay hain hum, phir pata nahi kyun yaad nahi rehta.

aur channels bhi close ho saktay, chahay wo cable ho ya wireless, aur internet illegal stuff bhi. internet kay baray main govt level par baat bhi chali thi, and only PTCL or PTC was required put the filters in the cetral data servers, magar apply is liye nahi kiya gaya kay is tarah internet ki speed slow ho jati hai kuch (1 or 2 sec?), content checking and analyzing ki waja say. laikin govt kay kuch evil minded ppl ko speed ziada pyaari hai apni awaam say (maybe unkay personal interests bhi hoon).
Posted 09 Nov 2005

nikama says
haan ye internet ki baat khoob kahi.kabhi kabhi main ghar k bajay aik qareebi net cafe jata hoon to vahan documents main ya history main vo kuch dekhne ko milta he k Khuda ki panah.aik poori generation he i mean school colleges k larke larkian jo study k bajay in clubs main a ker bethe hotay hain
Posted 10 Nov 2005

valandrian says
bd44204bd44204bd44204bd44204bd44204bd44204bd44204bd44204bd44204bd44204bd44204bd44204bd44204bd44204bd44204bd44204bd44204bd44204bd44204bd44204bd44204
bd44204bd44204bd44204bd44204bd44204bd44204bd44204bd44204bd44204bd44204bd44204bd44204bd44204bd44204bd44204bd44204bd44204bd44204bd44204bd44204

bd44204
Posted 20 May 2018

Posted 19 Sep 2018

Posted 26 Oct 2018

Posted 12 Nov 2020

Reply to Topic