Dream princess
Age: 124
Total Posts: 105
Points: 0
Location:
United States, United States
sikha do mujhey...
phir se hansna aie hawa..
yaad aatey hain din
bachpan ke is terah..
kabhi khoye nahen wo
paas merey hon jese
ye kehtey huye se...
mujh ko bhi yaad kerti hain
phool kalyaan...
wo sard shamon main
lehaf main karna mastiyaan
aur barron ki dant
pe der tak rotey rehnaa
subh hoti hai..
aansoo to koi nahen..
aur mom ka dher sara piar kernaa...
phir school jana hai..
bag tayaar ker ke...
dhun hai wapsi pe ..
koi sherarat kerney ki
aaj kis ka tiffen chupaoon,
aapi ka bag cherroon..
yaa bhaii ke sath chat pe
patang urraney jaoon...
mom ko pata chaley ga
to wo dad ko bateyn gi..
phir se daant khaani ho gi...
aur mana'ney ko taoo, mamoon
chocolates layen ge..
kese bhool jaoon ..
kitni piyari si zindagi thee..
har lamha har har simt hi khushi thee
thorra thorra ghussa aur dher sara piaar
kis qadar kis qadar har simt hi ayaan thaa..
...
kion laut ker nahen aatey
merey paas phir se
bachpan ke din
bachpan ki raaten..
narm garm dhoop
thandi thandi shamen
kese bhool jaoon
kese bhool jaooon...
sab kuch thaa merey koi kami nahen thee..
koi kami nahen thee sach main...
by, me