aik dafa aik bacha apni maan se poochta hai keh main kase paida hoa tha. maan ne kaha k beta main ne aik baray se bartan main mati dal k use aik konay main rakh diya.kuch arsay baad dekha to tum thay . bachay ne foran aik bartan uthaya or us main mati daal k use aik konay main rakh diya. kuch dinon baad dekha to us main mandak (frog) tha us nay usay pakarna chaha laikin haath na ata or uchal k doosri jaga chala jata. akhir tang aa k bachay ne kaha "dil to chahta hai tujhay goli maar doon laikin kia karoon tuM meri oulaad hai