Age: 124
7239 days old here
Total Posts: 19257
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Ye jo sham dhal rahi hey isay sehl bhi na jano ye theher gai jo dil main ye hi shub halakton ki ye hi dopeher kardi hey
pas-e-gard-e-Ehd-o-PaimaaN ye jo hijr ki ghardi hey ye fishaar-e-jaan ka mosam ye jo dil garaftagi hey ye jo wehm hey lahu main ye jo sehm aankh main hey ye sinaan c waswasoN ki jo khyaal main gardi hey
ye jo ik khalish wafa ki tera jor seh gai hey ye jo unkahi kahani mere dil main reh gai hey
ye thakan rah-e-janooN ki jo utar gai ragoN main ye teri meri khushi hey
ye charaagh chahtoN k jo hawa main jal rahay hain inhain kab talak sanbhalain
chalo phir se tord dalain wo tamaam ehd-o-PaimaaN k main tujh main g raha hun k tu mujh main buss raha hey
chalo phir se sochtay hain k main tujh se na-shanaasa k tu mujh se ajnabi hey
ye jo rasm-e-dosti hey ye rahay to jaaN salaamat na rahay to phir bhi janaaN tera ghum sanbhalnay ko abhi zindagi pardi hey
Age: 124
7239 days old here
Total Posts: 19257
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Mere liye kon sochta hey. juda juda hain mere qabeelay k log saray juda juda sab ki sooratain hain sabhi ko apni anaa k andhay kunwain ki teh main parday huye khwahishon k pinjar hawas k tukrday hawaas raizay haraas kankar talaashna hain sabhi ko apnay badan ki shah-rug main qatra qatra lahu ka lawa undelna hey sabhi ko guzray dinon k darya ka dukh waraasat main jhelna hey
mere liye kon sochta hey sabhi ki apni zarooratain hain meri ragain cheelti jaraahat ko kon bakhshay shifa ki shubnum meri udaasi ko kon behlaaye
Kis ko fursat hey mujh se poochay k meri aankhain gulaab kion hain meri mushaqqat ki shaakh-e-uryaan pe sazishon k azaab kion hain
meri hatheli pe khwab kion hain mere safar main saraab kion hain mere liye kon sochta hey sabhi k dil main kadooratain hain
Age: 124
7239 days old here
Total Posts: 19257
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Mohabbat ki kahani
Mohabbat ki kahani main bardi dushwaar ghaatain hain mohabbat amn ki sathi Mohabbat chain ki dushman ye ik dasta hey phoolon ka ye hey kaanton bhara daman Ajab kirdaar hain is k, anokhi in ki baatain hain Ye hey ik aag ka paikar yehi shabnum ka qatra bhi ye hey ik habs ka aalam yehi khushbu ka rasta bhi Andheri hey sehar iski,Chamakti iski raatain hain Mohabbat ki kahani main bardi dushwaar baatain hain