~Mysteriousgal~
Age: 125
Total Posts: 6584
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Baba ki rani hoon, aankhon ka paani hoon
Beh jaana hai jise do pal kahaani hoon
Amma ki bitiya hoon, aangan ki mitiya hoon
Tuk tuk nihaare jo pardesi chithiya hoon
Mamta ke aanchal mein jo geet gaaye hain
Baabul ne chhutput jo sapne sajaaye hain
Voh yaad aayenge, gupchup rulaayenge
Doli ke sang mere jab saath jaayenge
Baba ki rani hoon, aankhon ka paani hoon
Beh jaana hai jise do pal kahaani hoon
Khil khil ke hansna yeh sakhiyon ke baaton pe
Anjaane naamon ki mehndi yeh haathon pe
Jab rang laayegi, rimjhim ghiraayegi
Aankhen ghataaon se boondein giraayengi
Baba ki rani hoon, aankhon ka paani hoon
Beh jaana hai jise do pal kahaani hoon
Amma ki bitiya hoon, aangan ki mitiya hoon
Tuk tuk nihaare jo pardesi chithiya hoon
Pardesi chithiya hoon, pardesi chithiya hoon