Dard...

546 views 8 replies
Reply to Topic
untouchable

Age: 125
Total Posts: 3389
Points: 0

Location:
Netherlands, Netherlands
Issi Say Hota Hai Zahir jo Haal Dard Ka Hai

Sabhi Ko Koi Na Koi Wibaal Dard Ka Hai

Seher Sissaktay Huay Aasmaan Say Utreee To

Dil Nay Jaan Lia Yeah Bhi Saal Dard Ka Hai

Aab Is Kay Baad Koi Rabta Nahin Rakhna

Yeah Baat Tay Hui Lakin Sawal Dard Ka Hai

Yeah Dil ,Yeah Ujdree Hui Chasham-e-Num,Yeah Tanhayee

Humaray Pass To Jo Bhi Hai Maal Dard Ka Hai

Yeah Jhaank Laiti Hai Jo Doosray Dil Main

Meri Nigah Main Yeah Sara Kamal Dard Ka Hai

Hum Us Ko Dekhtay Jatay Hain ,Rotay Jatay Hain

Yeah Sehen-e-Shab Main Para Hai Thaal Dard Ka Hai

Wahein Kahein Kisi Ghatee Main Tera Hijur Bhi Hai

Meray Lahoo Say Jahan Ittisaal Dard Ka Hai

Nafas , Nafas Pay Paray Aabloon Say Lagta Hai

Na Janay Rooh Main Kab Say Ubaal Dard Ka Hai

Kisi Nay Poocha Kay Bohat Haseen Ho Tum

To Muskura Kay Kaha Sab Jamal Dard Ka Hai

Posted 22 Jul 2003

Reply to Topic