Doctor Sam
Age: 124
Total Posts: 19257
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
wohi galiyaan wohi koochay wohi sardi ka mosam hey
usi andaaz se apna nizaam-e-zeest barham hey
ye husn-e-ittefaaq aisa k bikhri chandni bhi hey
wohi har simt veerani, udaasi, tishnagi c hey
wohi hey bheerd sochon ki, wohi tanhaaiyaan phir se
musafir ajnabi aor dasht ki pehnaaiyaan phir se
mujhe sab yaad hey kuch saal pehle ka ye qissa hey
wohi lamha to veerany ka ik aabad hissa hey
meri aankhon main wo ik lamha mojood ab bhi hey
wo zinda raat ki tanhai main sargoshyaan ki thien
kisi ki narm guftaari ne dil ko loriyaan di thien
kisi ne meri tanhai ka sara karb banta tha
kisi ne raat ki chunri main roshan chand tanka tha
chamaktay jugnuon ka seel ik bakhsha tha raaton ko
dhardakta sa naya unwaan diya tha mere khwabon ko
mere sheron main wo ilhaam ki soorat main utra tha
maa'ni ban k jo lafzon main pehli baar dhardka tha
wo jis ki hone se ye zindagi naghma saraai hey
usay kehna k
bheegi january phir lot aayi hey