my own poetry

1587 views 28 replies
Reply to Topic
madgirl

Age: 124
Total Posts: 1010
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
kabhi aah bharti hai thi wo mere liye
kabhi hasti muskuraati thi mere liye
apni raato ko waqf kar diya,
mere sukoon ki khatir,jaagi raat bhar mere liye
meri aankho k har ek ashk ko,
apni hatheli par saja lene waali,
har waqt dua go rahne waali mere liye
mere dard par tarrap jaane waali,
apna dard bhool jaati thi mere liye
wo mujhe pyaar se lori sunaati thi,
kabhi bhi haar na maanti thi mere liye
uski garm baaho mai jab mera sir jaata,
to esa lagta khuda ne banai wo bahe mere liye
us k haatho ka narm lams ko mahsoos jab hum karte,
to us mai bhi serf pyaar hota mere liye,
aaj wo nahi per uski khushboo to hai,
uska ahsaas us k jaane k baad bhi hai serf mere liye
har ek aahat pe chonk jaate hai hum,
par yaad aata hai k ye aahat nahi mere liye
mujhe yaad aata hai wo zamana saara
jab maa k haath dua k liye uthte serf mere liye
muntazir hoo mai aaj phir maa tere dua ki,
par jaanti hoo tu nahi aasakti ab mere liye


Posted 31 Dec 2005

Reply to Topic