Kaya Ishq???

6249 views 44 replies
Reply to Topic
Virdan

Age: 124
Total Posts: 652
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
Kaya Ishq Sirf Daikh Kar, Sun Kar, Chho Kar, Mehsoos Kar K He Ho Sakta Hay Waisay Nahee? Aap Ka Kaya Khyal Hay Apnay Views Bataiyay
Posted 03 Jan 2006

Ayesha says
is kay ilawa ishq kaisay hota hay?
haan Allah mian say ishq ho sakta ha is tarah:)
ishq-e-hqeeqi
Posted 03 Jan 2006

Virdan says
kiyon kisi am person ko kaya daikhay ya baghair ishq nahe ho sakta kaya?
Posted 03 Jan 2006

Virdan said:

Kaya Ishq Sirf Daikh Kar, Sun Kar, Chho Kar, Mehsoos Kar K He Ho Sakta Hay Waisay Nahee? Aap Ka Kaya Khyal Hay Apnay Views Bataiyay

ho sakta hai bagair daikhay bagair cho kar bagair mahsoos kar k bilkul ho sakta hai... sirf baat kar k... sirf chat say bhi sirf awaz sun kar...
ishq insaan say hota hai uski shakal say nahin
us k dil say hota hai... uski batoon say...
i fell in luv wid a guy widout even seeing him without even touching him... n im still in luv wid him... we both luv each other alot... hum nay daikhay bagair pyar kiya hai inshallah we will be together soon forever inshallah
Posted 03 Jan 2006

Virdan says
Right,

AllAH TALA aap ko apnay is hasil e zindagi k silsilay mein kamyaab karay ameen

yaad rahay jo shakhs hamein sab se zayda azeez hota hay is ka matlab woh hamari zindagi ka hasil hota hay aur Zindagi ka hasil kho jaaiy to its mean Zindagi bhar ki mehnat kho gai aur jo time us k hasool mein surf huwa woh bhi waste

kuchh log khud ko kho kar bhi kuchh pa nahee saktay Allah Tala aap ko kuchh kho.aiy baghair sab kuchh panay ki tofeq dein ameen

baqi aap se baat hoti rahay gi thanks 4 reply
Posted 03 Jan 2006

yaar kiya is aj kal ki duniya mai ishq jasi cheez ho sakti hai hai nahiiiii haan joo hoti hai woh insaan zara emotional ho jata hai aur hum us ko love ishq etc kah datya hain

n rahi baat Allah say ishq Tu subhan Allah kiya baat hai us ishq ki
Posted 04 Jan 2006

Virdan says
sorry to say sir or madam
dunya mein kabhi bhi aisa kuchh khatam nahee hota hay han yeh ho sakta hay keh aap ya hum jis mehfil ya jis society mein move kar rahay hon wahan yeh khatam ho gaya ho warna dunya se kabhi aisi cheezein bilkul na paid nahee hoti hope u will understand
Posted 05 Jan 2006

exactly...

ishq hota nahin sab k liyay
ya bana hai
ya bana hai
ya bana hai
ya bana hai
kisi kisi k liyay
Posted 05 Jan 2006

AGE KIYA HAI APP KI BY THE WAY? VARDAN
Posted 05 Jan 2006

Profile main jo likha hai agar us say andaza lagaya jaay tu in ki age hai 22 years and 9 months 22 days....
Date of Birth: 14-March-1983
Posted 05 Jan 2006

Virdan says
yes u r eaxactally right its mine date of birth 14.3.1983
u can say that i m in 23rd year.
Posted 08 Jan 2006

abhi tu time hai
Posted 09 Jan 2006

Virdan says
time kis baat mein?
time hamaisha hota hay aur time kabhi nahee hota dono batein he such hain
Posted 10 Jan 2006

yaaa
Posted 10 Jan 2006

Virdan says
aap ka kaya khyal hay hum pyar kiyon kartay hain?
Posted 13 Jan 2006

Rapunzel says
~Mysteriousgal~ said:

Virdan said:

Kaya Ishq Sirf Daikh Kar, Sun Kar, Chho Kar, Mehsoos Kar K He Ho Sakta Hay Waisay Nahee? Aap Ka Kaya Khyal Hay Apnay Views Bataiyay

ho sakta hai bagair daikhay bagair cho kar bagair mahsoos kar k bilkul ho sakta hai... sirf baat kar k... sirf chat say bhi sirf awaz sun kar...
ishq insaan say hota hai uski shakal say nahin
us k dil say hota hai... uski batoon say...
i fell in luv wid a guy widout even seeing him without even touching him... n im still in luv wid him... we both luv each other alot... hum nay daikhay bagair pyar kiya hai inshallah we will be together soon forever inshallah

INsha allah
Posted 14 Jan 2006

Rapunzel says
pata nahi aise hota hai ya nahi
duniya mein dhoka itnahai k pata nahi chalta kaun fair hai n kaun nahi
2nd bina dekhe hota hai
bina jane bhi hota hai but if both persons r sincere
Posted 14 Jan 2006

rapunzel said:

pata nahi aise hota hai ya nahi
duniya mein dhoka itnahai k pata nahi chalta kaun fair hai n kaun nahi
2nd bina dekhe hota hai
bina jane bhi hota hai but if both persons r sincere

ya sahi kaha

jee han magar baaz dafa sincerity karnay walay baaz ogo k dabao se ya baaz halat se majboor ho kar kinara kash ho jatay hain un k baray mein aap ka kaya khiyal hay haya woh buzdil hotay hain be wafa ya majboor mafi k qabil
Posted 15 Jan 2006

Rapunzel says
majboori lerkoon k liyee kya manni rakhti hai
aise log buzdil hote hain
Posted 15 Jan 2006

lolzzz humesha ladkoon ko majbori ka hi sahara laina parta hai... lolzzzz
Posted 15 Jan 2006

Rapunzel says
ye n in k majborian
4get it
Posted 16 Jan 2006

Virdan says
rapunzel said:

majboori lerkoon k liyee kya manni rakhti hai
aise log buzdil hote hain

sorry to say brother r sister jo bhi hain mazrat k sath aap ki soch mein yahi kaho ga keh wasee nahee hay aap apni soch ko vussat dein to aap ko pata chal jaaiy ga kh larka ya mard kab majboor ho sakta hay 4 example aap larkay hain aap ki mother aap se kehti hain keh baita daikho tum ne is se shadi karni hay kiyon keh yeh be sahara larki hay aur is ka koi nahee hay dunya mein aur yahi mairi khawahish aur hukam hay to aap kisi aur ko pasand kartay hain aap kehtay hain keh mein kisi aur ko pasand karta hon woh bhi mairay baghair nahee reh sakti to aap ki mom kehti hain keh mairi baat ko hukam samjh lo mairay darkhwast samjh lo ya kehti hain keh maira mother honay ka haq do maira maan rakhlo to aap kaya kahein gay keh nahee aap majboor nahee hain tab bhi jab keh ISLAM bhi PArents k hukam ko harf e akhir qarar daita hay agar woh deen k khialf na ho to ab aap bataiyay aap kaya karein gay

aur ap ka kaya khyal hay sirf larkiyan he majboor hoti hay bhai maira is dunya mien har banda majboor hay bus majboori ki ik hadd hay sab ki koi zayda majboor hay koi kamm hope u will understand kenay ko bohat kuchh hay per i think itna he kafi hay aap apnay parents ko razi karnay ki koshash kar saktay hain laikan agar aap kahein keh aap apni marzi kar saktay hain aap majboor nahee hain to mein kaho ga aap ghalt hain kiyon keh tab bhi aap ik ka bharam tor kar dosray ka bharam qaim rakho gay aur majboori mein bharam us ka rakhna chahyay jis ki baram zayda zaroorat hay jis ne 20/22 saal aap ko seenay se laga k rakha hala keh is mein bhi ko shaq nahe hay jo aap ko chahti ho gi woh bhi bohat chahti ho gi sahee ho gi magar parents k muqabilay mein kuchh nahee
Posted 20 Jan 2006

Anoushy says
Virdan said:

Kaya Ishq Sirf Daikh Kar, Sun Kar, Chho Kar, Mehsoos Kar K He Ho Sakta Hay Waisay Nahee? Aap Ka Kaya Khyal Hay Apnay Views Bataiyay

well ishq hmmm is ka tajarba tu nahi but tajziya zaroor hai wo ya kay na ishq sun kar hota hai aur na hi deakh kar aur nahi cho aur mehsoos kar kay... ager deakh kar hota tu majnoo laila say ishq na karta uss kay liya logo say pather nahi khata ishq tu blind hota hai...

app mamoli si hamdardi aur mamoli say lagaoo ko ishq ka nam nahi day sakty mera nahi khayal ajj kay dour main essi koi chees ho ge jess ka nam ishq hoo ohh ishq cjees nahi jazba hai .... haan ya alg bat hai kay ess dour main logo ki majority money say zaroor ishq karti hai............

bahany bahany say chona aur uss ko ishq ka nam dena ya khuch acha nahi lagta .... bahany bahany say chona bad niyati ki category main ati hai aur ishq tu saf shafaf jazba hai kio kia khayal hai
Posted 20 Jan 2006

Anoushy says
Virdan said:

rapunzel said:

majboori lerkoon k liyee kya manni rakhti hai
aise log buzdil hote hain

sorry to say brother r sister jo bhi hain mazrat k sath aap ki soch mein yahi kaho ga keh wasee nahee hay aap apni soch ko vussat dein to aap ko pata chal jaaiy ga kh larka ya mard kab majboor ho sakta hay 4 example aap larkay hain aap ki mother aap se kehti hain keh baita daikho tum ne is se shadi karni hay kiyon keh yeh be sahara larki hay aur is ka koi nahee hay dunya mein aur yahi mairi khawahish aur hukam hay to aap kisi aur ko pasand kartay hain aap kehtay hain keh mein kisi aur ko pasand karta hon woh bhi mairay baghair nahee reh sakti to aap ki mom kehti hain keh mairi baat ko hukam samjh lo mairay darkhwast samjh lo ya kehti hain keh maira mother honay ka haq do maira maan rakhlo to aap kaya kahein gay keh nahee aap majboor nahee hain tab bhi jab keh ISLAM bhi PArents k hukam ko harf e akhir qarar daita hay agar woh deen k khialf na ho to ab aap bataiyay aap kaya karein gay

aur ap ka kaya khyal hay sirf larkiyan he majboor hoti hay bhai maira is dunya mien har banda majboor hay bus majboori ki ik hadd hay sab ki koi zayda majboor hay koi kamm hope u will understand kenay ko bohat kuchh hay per i think itna he kafi hay aap apnay parents ko razi karnay ki koshash kar saktay hain laikan agar aap kahein keh aap apni marzi kar saktay hain aap majboor nahee hain to mein kaho ga aap ghalt hain kiyon keh tab bhi aap ik ka bharam tor kar dosray ka bharam qaim rakho gay aur majboori mein bharam us ka rakhna chahyay jis ki baram zayda zaroorat hay jis ne 20/22 saal aap ko seenay se laga k rakha hala keh is mein bhi ko shaq nahe hay jo aap ko chahti ho gi woh bhi bohat chahti ho gi sahee ho gi magar parents k muqabilay mein kuchh nahee

Virdun ur absolutely right and I am with you…. Bywafa insane (larki ho ya larka) nahi karta bewafi tu zalam waqat karta hain…. Bewafa na larka tehraya ja sakta hai aur na hi larki …… sometime insane ko bohat si majboriya a sakti hain …. Jessa kay app ny kaha kay baharam rakhna chahiya am agree with u …

Wo parents jinho nay app ko itna bara kiya aur app apny do din kay ishq kay pechy bag kar parents ki 20/22 salla mohabbat pyar ko tukra day gy…… infact app pyar karty ho tu kia hova kess pay ahsan kia hai payar kar kay app un logo ko kio nahi deakhty jo app say pyar karty hain na kay un ko jin say app ko payar hai……

Bohat si larkiya younhi gharoo say bhag jati hain aur ya kitny sharam ki batt khai kabhi socha hai uss apny sajan ka bharam tu rakh liya us kay sath bag kar per app us kay parents ka baharm kon rakhy ga wo tu un ki izat ka janaza apny kando per nekal kar lay geee ………………… well yaha per larky ka bi kassor hai baly larki na samjh hai but kam az kam larky ko tu ess chees ka ahsas hona chahiya well main yahi kahoo gee kay kay ess dialogue ko chor ( everything is fair in love and war) duniya badal chuki hai ….

Actually na hum serf apny bary main sochty hain dosaro kay bary main nahi sochty kitni buri bat hai na jessy virdun nay kaha kay appny zehan socho ko wasasiyat day main bi kahoo gee khuch kehny karny say pehly har pehloo per Nazar dallo
And this is the key

As a girl main kehti hooo kay ager app kessi say payar karti bi ho tu kabhi izhar nahi karna …… kio kay jess say app pyar karti hoo kahi wo ess bat ka najyez faida na uthye …. And that’s it

Posted 20 Jan 2006

Virdan says
aap ne bohat umda kaha hay jo bhi kaha sahee kaha

asal mein baat wohi aa jati hay keh mein manta hon keh yeh pyar ka jazba bara shadeed aur bohat jnaooni hota hay aur mairay samait jhar koi chahata hay keh usay us ka mehboob zaroor milay magar plz ik nazar sab sochyay keh ik shakhs ko panay k liyay ik ko kho daina koi aqal mandi hay is se behtar hay keh aap us shakhs jis se aap pyar kartay hain us ki bhi behtari sochyay khud ko takleef de kar usay takleefo se bacha leejiyay no doubt yeh bohat mushkil hay magar such yahi hay keh yeh mushkil zaroor hay magar na mumkin nahee hay kisi ko pa laina he ishq ka ikhtitaam nahee hay.

mein yahan per ik hakait share karo ga keh majno laila k ghar k pass se guzar raha tha aur us ka chera sky ki taraf tha kisi ne awaz di majno laila k ghar ki taraf daikh k shaid woh tujhay nazar aa jaaiy

majno ne kaha mein us sitaray per iktifa karta hon jis ka saya laila k ghar per par raha hay yeh sab kaya hay yeh koi afsanvi batein nahee hain yeh sachay jazbo ki kahaniyan he nahee haqeeqatein posheeda hain in mein.

Khud ko kho kar kisi k bharam ko kisi ki izzat ko qaim rakhna he asal haqeeqat hay aur yahi asal muhabbat kinishaniyan hain Allah Tala hum sab ko yeh samjhnay aur is ki pairvi karnay ki tofeeq de mairay samait ameen
Posted 21 Jan 2006

Rapunzel says
Posted 22 Jan 2006

Virdan says
Thanks
Posted 23 Jan 2006

Rapunzel says
its ok
Posted 23 Jan 2006

Virdan says
u r always welcome dear
Posted 02 Feb 2006

Huda Hanif says
Anoushy... har door main lark ko hi galat theraya gaya hai kiun main pochti hon kiun , galat larki nahi hoti wo buss sahara hi chahati chahati kisi k bhi sath zindagi guzarni hai tu kiun na un k sathguzar lain jin k sath understanding hain phelay maan baap har faisala karne ka ikhtiyar detay haina ur jab zindagi ka ijmportant faisle ka waqt aata hai tu kia hota sab ikhtiyaar bachon k khatam mere bhi parents hain .. main ye nahi kheti k wo galat hotay hain but sorry boys shayad aap ko bura lage lekin main ek larki hon apne kareeb logon ka expirence bata rahi hon aaj kal k larke hi flirt kar rahe hain buhot hurt karte hain badal jatay hain , ek larke ki baat bataon , meri frnd ka lover hai use pehlay us se behad pyuar tha abhi bhi hai phelay wo usse phone karta tha time deta tha but ab kuch nahi karta 2 months ho jatay hain call nahi karta usse pata bhi nahi hota ... us larki ne pocha aisa kiun tu kheta hai k meri nature hai jo ccheez door hoti hai usse pa lon tu us ki value kam ho jati hai us ki nature ne ek larki ki zindagi tabha kar di kia ye theek hai ?????
Posted 04 Feb 2006

Reply to Topic
Copyright ©2024 Janubaba.com - All Rights Reserved.- .016