Raqs-e-Bismil

2010 views 21 replies
Reply to Topic
Doctor Sam

Age: 124
Total Posts: 19257
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
By Abida Parveen
Zabardast poetry selection and beautifully sung by her,
any one who wants to discuss..

Mujhe bay-khudi ye tu ne bhali chaashni chakhaai..
Posted 22 Jan 2006

i like her but havent listened this particular song of her..have u listened dhoondo gay agar mulkoon mulkoon..damn good song
Posted 27 Jan 2006

song nahin hai bhai wo gazal hai

jab say tu nay mujhay deewana bana rakha hai
is also
Posted 28 Jan 2006

Doctor Sam says
raqs-e-bismil main ye ghazalain nahi hain.
raqs-e-bismil is a collection of deep deep KALAAM..

i hope i can post it..soon Insha Allah...

NA JANOON RAHA NA PARI RAHI...
Posted 28 Jan 2006

Ashii says
ooooooooooo,,, i lovve her songs
aur raqs e bismil to bassss
zabardast hai

mere paas saabbb songs hein
jisse kahiye khaab e ghaflat, wohi neend mujh ko aai

and ishq mei tere koh e gham
and
jee chahe to sheesha ban ja
Posted 28 Jan 2006

waiting kub ker rahy hain post
Posted 29 Jan 2006

Ashii says
Doctor Sam said:

NA JANOON RAHA NA PARI RAHI...

daktarrrrrrrrr
yeh me ne post ki thi aik baar, ab to mujhe topic bhi nahi yaad

par mujhe bohoottt achi lagti hai

woh ajab ghari thi me jiss ghari liya dars nuskha e ishq ka
k kitaab akl ki taaq mei, ju dhari thi tyuni dhari rahi
Posted 29 Jan 2006

Doctor Sam says
wow.. SALL i need this ghazal.

ye kuch lines Abida parveen ne gai hain, "Mujhe bakhudi ye tu ne bhali chashni chakhai" is se pehle gai hain ye lines.

well kafi lambi lambi ghazlain hain,
Posted 29 Jan 2006

Doctor Sam says
khuli jab k chachm-e-dil-e-hizeen
to wo namm raha na tari rahi
hui hairat aisi kuch aankh pe
bay-asar ki bay-asari rahi
pardi gosh-e-jaan main ajab nida
k jigar na bay-jigari rahi
Na to TU raha na MAIN raha
jo rahi so baykhabri rahi..

mujhe bay-khudi ye tu ne bhali chashni chakhai
kisi aarzu ki dil main nahi ab rahi samai

(kuch words mujhe samajh nahi aatay, so ab hum mazeed nahi likh rahay)
Posted 29 Jan 2006

Ashii says
daktarrrrr

"mujhe bekhudi yeh tu ne"
is by a Sufi shayar Hazrat Shah Niyaz

iss ghazal k start mei jo aik sher hai
"na to tu raha na to me raha, jo rahi so bekhabari rahi"
is just one line taken by a ghazal of Siraj Orangabadi (check that other topic)
dont know abt the rest.. it seems woh siraj k sher ki zameen mei kahi gai hai
Posted 29 Jan 2006

Doctor Sam says
well i really wanted to know the exact background of this ghazal,
so it seems k ye ghazal aik mixture hey,
konsa topic check keroon?
Posted 02 Feb 2006

Doctor Sam says
i have checked that topic also.. and i say again,
IF ANYONE KNOWS, i want to have background info of the song.
ow wo jo start main aik do farsi ki lines hain, wo bhi koi bataye,,
Posted 04 Feb 2006

are these songs? should be in poetry caffe section
Posted 04 Feb 2006

Doctor Sam says
jee jee these are songs By Abida parveen...
Posted 05 Feb 2006

Doctor Sam says
zahid ne mera hosla-e-imaan nahi dekha
rukh pe teri zulfon ko pareshan nahi dekha

aaye thay sabhi tarah k jalway mere aagay
main ne magar aey deeda-e-hairaan, Nahi dekha
zahid ne mera hosla-e-imaan nahi dekha
rukh pe teri zulfon ko pareshan nahi dekha

kya kya hua hangaam-e-janoon ye nahi maloom
kuch hosh jo aaya to gareeban nahi dekha
zahid ne mera hosla-e-imaan nahi dekha
rukh pe teri zulfon ko pareshan nahi dekha
Posted 05 Feb 2006

Doctor Sam says
ishq main tere koh-e-ghum sir pe liya jo ho so ho
aish-e-nishaat-e-zindagi chord diya jo ho so ho

aqal k madrasay se uth,ishq k mai-kaday main aa
jaam-e-fana-o-baykhudi ab to piya jo ho so ho

hijr ki jo museebtain arz kien us k rubaru
naaz-o-adaa se mukura kehne laga jo ho so ho

hasti k is saraab main raat k raat buss rahay
subh-e-adam hua namood paon utha jo ho so ho

Posted 15 Feb 2006

Ashii says
background to hum ko nahi pata daktar aur farsi bhi nahi aati

par yeh album hai zabardast,,,
kya kya hua hungama e junoon yeh nahi maloom,,
kuch hosh jo aaya to gireban nahi dekha

and my fav one jo end mei post ki aap ne
akl k madrasse se uth,, ishq k maikade mei aa
Posted 15 Feb 2006

Ashii says
i ve got 7 songs

Ishq mei tere koh e gham sar pe liya
jalwa bakadr e zarf e nazar dekhte rahe
jee chahe to sheesha ban ja
mujhe bekhudi yeh tu ne
roshan jamaal e yaar se hai anjuman tamam
yaar ko hum ne jabaja dekha
zahid ne mera hosl e imaan nahi dekha
Posted 15 Feb 2006

Doctor Sam says
yes ye seven songs e hain Raqs-e-bismil main,
i desperatly want to know about the background, and i wish i could understand Farsi..
Posted 15 Feb 2006

valandrian says
bd33826bd33826bd33826bd33826bd33826bd33826bd33826bd33826bd33826bd33826bd33826bd33826bd33826bd33826bd33826bd33826bd33826bd33826bd33826bd33826bd33826
bd33826bd33826bd33826bd33826bd33826bd33826bd33826bd33826bd33826bd33826bd33826bd33826bd33826bd33826bd33826bd33826bd33826bd33826bd33826bd33826

bd33826
Posted 07 May 2018

Posted 20 Sep 2018

Posted 28 Oct 2018

Reply to Topic