Bhaiyon, Behnoon or Qadardanoo,
Main ney aap logoon sey kaha tha key main kaal aap logoon ko P3 ke puri story sunaoon ga kyon ke main ne aapney uncle sey us key barey main poocha hey jin ka doost Lollywood main hey. So lejey story aap key samney hain.
Ye baat bilkul such hey key Mubasher Lucman Sahib ney film key print chori sey India sey nikalway or Pakistan mey la kar release kar diyey. Is waja sey film Digital sound main nahin chaal rahi or us key print bhi bahut kharab hain. Akhbaroon main Bangkok Lab ke khaber bilkul such hey key unhoon ney apne consulate ko Pakistan main likha hey Mr. Lucman ke harkat key kilaf.
Magar afsoos key film bhi itni kharab nikle key woh cinemaoon per bilkul zalil ho gayee. Lahore main P3 teen cinemaoon mey lage Sozo, Empire or Gulistan. Woh keh rahey they key Eid per teenoon cinemaoon main itna kharab business aaj tak nahin howa jitna key P3 ka howa hey. Or Eid ke 5 filmoon main saab sey kharab business P3 ka hi hey.
Yoyo shayed aap kisee or P3 ke baat kartey rahey hain kyon key meray uncle ka kehna hey key P3 ney Lahore key teen cinemaoon sey 10 lakh ka bhi business nahin kiya, pehley haftey main, tu 85 lakh Pakistan sey karna na mumkin see baat hai.
Lucman Sahib ko aab hum sirf yahee nashiyat kar sakte hain ke aglee bar film banain to us ka naam "Anth key Fraudiey" zaroor rakhain.
Kahani Khatum
Paisa Hazam
Pakistan Zindabad