yar yeh slow poison wali baat to mujhe nahi pata
coz honestly me ne aaj tak koi indian serial dekha hi nahi
par jitna nazar se guzra mujhe yehi samajh aaya k 1 episode mei kahani agae barhti hi nahi,, same khandanon aur business k jhagre,, iss liye kabhi gaur hi nahi kiya
par itna zaroor hai k i ve noticed yeh saari auntiyan (toba hai) itni shok se indi paki dramay dekhti hein k khud bhi aisi hi ho gai hein,,
we ppl r sooo filmi
stage progz
ufff tauba,, Khuda maaf kare
yarrr itni badtameezi,, itni ghatya batein k banda akele mei bhi sharminda ho jata hai
damnn,,, aur wahan log live shows dekhne gae hote hein
hadddd hai..
last time me ne aik paki drama ki episode dekhi thi,, its damnnnn slow.. pooore ghante mei kuch bhi nahi hua
aik damm indian drama hi lag raha tha
i cant see a big difference..
par yar yeh media bhi to business hai na,, market mei wohi cheez aae gi jo log dekhna chahte hein
if ppl want a slow poison to dene waale ka kya jata hai
that day mom aur aik aunti jii baatein kar rahi thi k "tauba tauba paki channels mei yeh kya kuch aane laga hai,, aise aise dialogue aur kapre.. Allah maaf kare,, gvt ko kuch karna chaiye"
and i simply said "gvt ne aap k sar pe bandok rakh k to majboor nahi kiya cable lagwane ko, band karwa do"
aunti jii khisyani ho gaeen aur amma jaan ne unn k jaane k baad meri class le li
so i wd say..............
awaam kharab hone mei 'khud kafeel' hai hum logon ko kissi doosre mulk ya gvt ki madad ki zaroorat nahi hai
aaj gvt channels band karwa deti hai kal ko via internet new channels aane shuru ho ja'ain ge unhein kaun control kare ga ??
aur yeh jo Masha Allah se pirate copies movies wagera ki harr jaga milti hein itni cheap k gareeb se gareeb shaks bhi afford kar sake unn ka kya hoga ??
aur phir media ki azaadi ka sawal uthe ga, gvt pe dictatorship ka label lagaya jae ga
khair im not at all FOR this gvt par hum sab galtiyon ka ilzam unn logon ko nahi de sakte
apni zimmedariyon ki taraf bhi aik nazar dalni chaiye