Wafaa k bhes mei koi raqib e shehr bhi hai hazaar,, k shehr k qatil tabeeb e shehr bhi hai
wohi sipaah e sitam khemzan hai charon taraf jo mere bakht mei tha ab naseeb e shehr bhi hai
udhar ki aag idher bhi pohonch na jaae kahin havaa bhi teiz hai jungle kareeb e shehr bhi hai
ab uss k hijr mei rote hein uss k ghayal bhi khabar na thi k voh zaalim habib e shehr bhi hai yeh raaz na'raa e mansoor hi se hum pe khula k chaub e mimbar e masjid saleeb e shehr bhi hai
kadi hai jung k ab k mukable pe Faraz ameer e shehr bhi hai aur khateeb e shehr bhi hai